Yakrat aur Hriday Rogo se Mukti Dilaye Solanum Nigrum in Hindi
Bharatvarsh ke prachin rishi-muniyo ko panchamved ki sangya se vibhushit kiya gaya. Chikitsiya paddhti mai ayurved ki jitni prashansa ki jaye unti kam hai. Ayurved hi dakshin bharat mai siddh vigyan ke roop mai viksit hua.
Ayurved ka ek niti shlok hai “Chikitsa se Parhej Behtar” arthat rog ka ilaj hai, un karno ka vinash jinse rog utpann huya hai. Apni dincharya aisi banao ki rog humare aaspas bhatak bhi na sake. Lekin jab rog ho hi gaya hai to uski roktham to karna hi padegi.
Prakrati ne hume aneko aesi aushdhiya di hai, jinke prayog se hum bade se bade rog ko maat de sakte hai. Lekin iske liye jarurat hai un adushdhiy vanaspati ki jankari hona. Bahut si aushdhiya poudho ko hum jangali vanaspati ya faltu samjh kar fek dete hai.
Abhi bhi samay hai agar hum inn aushdhiya poudho ki upyogita ko samjhkar inhe nasht hone se bacha sakte hai. Aisi hi ek divya aushadi hai Solanum Nigrum in Hindi. Jisse samanyatah log Makoi ke naam se jante hai. Sanskrit mai ise kakmachi ke naam se jana jata hai. Kahi-kahi ise chargoti, charboti, kabbaya ya gurumakoi bhi kaha jata hai.
Alag-alag bhasha aur jagho par isse bahut alag-alag naam se log jante hai. Gujrati – piludi, Marathi – laghu kavdi, Panjabi – kachmach, mako, Tamil – Mantakkali kaha jata hai, jabki Mumbai mai ghati, kamuni, mako, Bangal – kakmachi, talidan tatha angreji mai isse common night shade bola jata hai.
Solanum Nigrum in Hindi: Janiye Iske Gun aur Prabhav
Makoi ka poudha mirch ke poudhe ke saman hi hota hai. Iski uchai lagbhag 3 feet tak hoti hai. Iske phul tatha dalia bhi lagbhag mirchi ke poudhe ke saman hi hote hai. Iske phal chote-chote tatha gol hote hai jo samuh mai rahte hai. Pakne ke baad yeh phal lal tatha baad mai yeh kale rang ke ho jate hai. Iske phul chote-chote tatha safed rang ke hota hai jo bilkul mirchi ke phulo ki tarah hi dikhai dete hai.
Makoi ya Kakmachi tridosh nashak arthat vaat, pitt aur cough teeno ka shaman karta hai. Yeh swad mai tilt arthat kadva hota hai. Iski prakrati garm, swar shodhak, virya janak, kod, bavasir, jwar, hichki, vaman ko dur karne wala tatha netro ke liye hitkari aushadhi hai.
Yeh yakrat tatha hriday rogo mai sanjivni ki tarah kaam karta hai. Yakrat ki kriya vidhi jab bigad jati hai to sharir mai sujan, ulti-dast aur piliya jaise rogo ke alawa kai baar bavasir jaise rog bhi utpanna ho jate hai. Inn rogo mai makoi ka sevan bahut hi labhprad hota hai. Yeh aushadhi dhire-dhire yakrat ki kriyavidhi ko sudrad karke rog ka vinash kar deti hai.
Iss aushadhi ke prayog se yakrat jaise rog bilkul samapt ho jate hai. Makoi ke patto ka ras sharir mai pahuchkar vaha ekatrit visho ka nash kar deta hai tatha peshab dwara uss vish ko sharir ke bahar bhi kar deta hai.
You may also like: Punarnava in Hindi : Nav-Yovan aur Swasth Raksha Ek Sath
Solanum Nigrum Benefits: Iske Labh
Makoi ka ras nikalkar usse mitti ke bartan mai rakhkar dhimi aanch mai garam kare, dhire-dhire jab iska rang hare se badami ho jaye tab usse utarkar chaan le.
- Iss prakar taiar ras 100 se 150 gm ki matra mai yakrat ke rog, badi hui tilli tatha hriday rog dur hone lagte hai. Yakrat aur hriday ki sujan hone par iske patto ka ras pine se bahut labh milta hai.
- Yadi sharir mai khujali ki shikayt ho aur wo mit nahi rahi ho to, iska ras 20 se 25 gm matra mai lene se yeh bilkul samapt ho jati hai.
- Khuni bavasir yam uh ke kisi hisse se rakt sttrav ho raha ho to iske patto ka ras pina chahiye.
- Hriday rog ya jalodhar rog hone par iske phalo ka sevan karna chahiye. Iske kale phal dene se mutra tatha pasina adhik matra mai lakar hariday rogio ko aaram pradan karta hai.
- Iske ras ke sevan se rakt shudhha hota hai sath hi rakt se jude rog bhi nasht hote hai.
Iss lekh ke madhyam se aapko Solanum Nigrum in Hindi ke ras ki mahima pata chal gayi hogi. Kisi chikitsak ke sanidhya mai hi iske ras ka sevan kare kyoki alag-alag rog mai iske sevan ki matra bhi alag-alag hoti hai.