Spring Onion Benefits: Hare Pyaz Ke Swasthvardhak Laabh

Spring onion matlab hara pyaz khane ke bahut se fayde hote hai. Yeh pyaz bahut swadisht hota hai Saath hi poshak tatavo se bharpur hota hai. Bahut samay se hare pyaz ka use Chinese medicine me kiya jata hai. Lekin bahut se log aise hote hai, jo iske fayde ke bare me jante nahi hai. To chaliye aaj hum aapko batate hai, Spring Onion Benefits.

Isme sulphur bahut jyada matra me paya jata hai, jo ki sharir ke liye bahut hi faydemand hota hai. Saath hi isme calorie bahut kum matra me hoti hai.

Hara pyaz me Vitamin C, vitamin B2 and Thiyamain hota hai. Isme Vitamin A bharpur matra me hota hai. Iske saath hi yeh copper, phosphorus, magnesium, potassium, chromium, manganese and fiber ka bhi accha source hota hai. Ye hamare sharir ke liye har prakaar se laabhkari hota hai.

Spring Onion Benefits

You may also like:- Health Benefits of Onions; Your Favorite Kitchen Spice

Spring Onion Benefits: Hare Pyaz Ke Gunkari Fayde

Heart Health

Spring onion heart health ke liye bahut laabh kari hota hai. Yeh cholestrole ke oxidation ko kum karta hai aur coronary heart disease ke khatre ko bhi kum karta hai.

Blood Pressure Control

Pyaz me Sulphur ki matara bahut aadhik hoti hai. Jo ki aapke blood pressure ko control karta hai.

Cholesterol Control

Spring Onion ke sevan se sharir me cholesterol ka level maintain rahta hai.

Diabetes Control

Hara pyaz me chromium ki matra bhut hoti hai jo ki blood me sugar ke level ko control karta hai. Saath hi yeh glucose tolerance ko bhi sudharata hai. Allyl Propyl Disulfide bhi blood me sugar ke level ko maintain karta hai.

Sardi Tatha flu

Spring Onion Benefits ki baat karte hai to tan isak yeha fayda sabse pahle aata hai ki, Hare Pyaz ke sevan se sharir me sardi aur flu se ladne ke liye anti–bacterial gun utpan hote hai. Anti – bacterial gun se pachan kriya bhi theek hoti hai.

Pet Ka Cancer

Hare pyaz me Pectin hota hai, jo ki ek prakaar ka fluids Colloidal Carbohydrate hota hai. Jisse pet ka cancer theek ho jata hai.

Immune System

Hara pyaz ke sevan se sharir ka Immune system badalta hai. Jisse ki aapko kai bimariyo se ladne ki shakti milti hai.

Arthritis and Asthma

Hare pyaz me Anti-Inflammatory and antihistamine gun hote hai, Jisse arthritis and asthma me araam milta hai.

Metabolism

Hara pyaz metabolism ko control karta hai aur macronutrient ko banaye rakhta hai.

Ankho Ke Liye Faydemand

Hara pyaz khane se ankho ki roshani badti hoti hai aur saath hi aankho ki har prakar ki pareshaniya bhi khatam ho jati hai.

Remove Wrinkle

Spring onion ke sevan se sharir aur chehre par padne wali jhurriya (wrinkle) bhi khatam ho jate hai.

Upar aapne jane Spring Onion Benefits, To bas aaj se hi iska sevan start kar de aur iske swasthvardhak laabh ka luft uthaye.

Get more update about Spring Onion from Food.

Loading...

You may also like...