Tips for Healthy Body in Hindi: Swasth Sharir Pane Ke Tarike

Hamare sharir ka swasth rehna hamare liye bahut jaruri hai, kyonki kehte hai na yadi aapka sharir swasth hai to aap jindagi ki kisi bhi jang ko jit sakte hai. Wese bhi aajkal ki bhag doud bhari jindagi mai ham apni sharir ka jyada acche se khayal nahi rakh pate hai.

Swasth sharir ke liye aapko jyada sharirik gatividhi karne ki jarurat nahi hai. Uske liye sirf aapko aapki dincharya ko sahi rup mai gujarne ki jarurat hai. Yadi aap sahi tarike se aapki dincharya ka palan karte hai to aap swasth sharir ke malik ban sakte hai.

Yadi aapka sharir swasth rahega to aapke sharir ki rog pratirodhak kshamta acchi rahegi aur aapko bimari hone ka khatra bahut kam ho jata hai. Sharir ko swasth banane ke liye padhe Tips for Healthy Body in Hindi.
 

Tips for Healthy Body in Hindi: Swasth Sharir Ke Liye Apnaye

 
Tips for Healthy Body in Hindi
 

Subah Jaldi Uthe

Subah subah jaldi uthna aapke swasthya ke liye bahut accha rehta hai. Subah ke wakt ka vatavaran bahut shant aur sukhad hota hai. Tatha subah jaldi uthne se aapka pura din ke kaam sahi samay par nipat jate hai. Jisse aapko kaam niptane ka tanav bhi nahi rehta hai.

  • Rojana subah 6 baje uthe, tatha aap kuch der gehri saanso ka abhyas kar sakte hai.
  • Subah subah gehri saanso ke abhyas se aapke andar sakaratmak urja ka pravesh hota hai.

 

Vyayam Ko Dincharya mai Shamil Kare

Tips for Healthy Living ke anusar sharir ko swasth banane ke liye rojana karib 1 ghante aapko vyayam jarur karna chahiye. Vyayam karne se sharir ki atirikt charbi kam hoti hai aur aapko sakaratmak urja milti hai. Wese bhi aajkal kai sare vyayam hai jinhe karne par aap fit to rahenge sath hi enjoy bhi karenge.

  • Aap subah uthkar vyayam mai gym, yoga, aerobics jis bhi tarah ka vyayam aapko pasand hai use kar sate hai.
  • Yadi aap vyayam ke liye samay nahi nikal pa rahe hai to apne ghar ki sidhiyo par bar bar utare aur chhade.

 

Nashta Bhar Pet Kare

Subah ka nashta pet bhar ke karne se aap pure din urjawan bane rehte hai. Kyonki subah ke nashte mai khaya gaya aahar aapke pure din ki urja ki khapat ko puri kar deta hai tatha yeh khana pure din mai acche se pach bhi jata hai.

  • Aap subah ke nashte mai fruits, low fat tatha low calorie ka sevan kare.
  • Subah ke nashte mai juice ka sevan kare jisse aap pure din fresh mehsus karenge.
  • Aap chahe to nashte mai ande, oats jaisi chijo ka bhi sevan kar sakte hai.
  • Healthy Diet Plan, swasth jindagi ke liye behad jaruri hai.

 

Phalo aur Sabjiyo Ka Sevan Kare

Swath sharir ke liye aapko nashte, dophar ka khana tatha dinner mai sabjiyo ko jarur shamil karna chahiye. Rojana phal tatha sabji ka sevan karne se aapke sharir mai protein, vitamin aur minerals prachur matra mai milte hai.

  • Aap nashte mai phalo ka sevan kar sakte hai inse aapko fiber, vitamins milte hai.
  • Khane mai sabjiyo ka sevan kare, hari pattedar sabjiyo mai kai tarah ke vitamins ,iron, zinc aadi hote jo aapke sharir ke liye bahut jaruri hote hai.

 

Bharpur Nind Le

Aapke swasth sharir ke liye bharpur nind ka hona bahut jaruri hai, aapko bharpur nind lene ke liye 7 se 8 ghante ki puri nind lena chahiye.

  • Yadi aapki nind puri hoti hai to aap subah jaldi uthkar pure dinbhar acche se kaam kar pate hai, warna aapka pura din alas aur chidchidahat se bhara niklta hai.
  • Yadi aapko nind na aane ki samasya hai to iske liye aapko niyamit yoga karna chahiye.

 

Jane Swasth Sharir Ke Liye Kuch Anya Baate

  1. Aapke khane mai sabji, dahi, salad, sabut anaj ka prayog kare.
  2. Khana khane ya kuch bhi khane ke pehle hatho ko jarur dhoye.
  3. Pure din mai karib 4 se 5 liter pani piye taki sharir se vishakt padarth bahar nikal jaye.
  4. Ekagrata badane ke liye yoga ya meditation kare inhe karne se dimag shant rehta hai.
  5. Khane mai namak tatha shakkar, junk food jaisi chijo ka sevan kam se kam kare.
  6. Aapke pas vyayam ke liye samay nahi hai to subah ya sham ko walk kar sakte hai.
  7. 45 ki umra ke bad doctor se regular janch karvate rahe taki bimari hone ke lakshan hone par hi aap savdhan ho jaye.

 

Inhe Follow Kare Inke Liye Samay
Bharpur Nind Le 6 Se 7 Ghante
Pani Piye 8 se 10 Glass Rojana
Vyayam Kare Rojana 1 Ghanta
Doud Lagaye 30 Minute

 
Upar aapne jana Tips for Healthy Body in Hindi. Uprokt di gai jankari mai aapko swasth rehne ke liye kuch tips diye gaye hai jinka palan karne se aap hamesha swasth rahenge aur bimari hone ka khatra bhi kam hota hai.

Loading...

You may also like...