World TB Day Par Jane Tuberculosis Signs and Symptoms
Tuberculosis ya Kshay Rog ek bahut hi aam bimari hai jo ki ek ghatak sankramak bimari hai. TB aamtaur par Mycobacterium Tuberculosis ke vibhinna prakaro ki vajah se hoti hai. Aaiye jante hai Tuberculosis Symptoms se bachne ke kuch upay.
Bharat me Tb ki bimari se bahut si jane jati hai, isliye Signs of Tb ko janana bahut hi jaruri hai. Duniya bhar me har saal 24 March ko World TB Day ka ayojan hota hai. 2012 me 8.6 million people TB ki vajah se bimar hue the aur usme se 1.3 million logo ki jane chali gayi thi.
TB kisi ko bhi ho sakta hai, isse bachne ke liye kuch samanya upay bhi apnaye ja sakte hai. Aaiye jante hai kuch aise hi Tuberculosis Signs and Symptoms.
World TB Day: Janiye Kuch Khaas Tuberculosis Symptoms
1) Cough aur Khansi
Agar aap pichle 2 week se lagatar khans rahe hai aur dard bhara cough ho raha hai to, aapko ek test karwana chahiye, jisse aapko pata chal sake ki aisa kyu ho raha hai. Kyuki ye bhi Tuberculosis ka lakshan hai.
You may also like: Dengue Symptoms in Hindi: Is Bimari ke Lakshan
2) Vajan Kam Hona
Agar bina vyayam aur dieting kiye aapka vajan kam ho raha ho to samjh lijiye ki Iske piche Signs of Tb ka hi haath hai. Aisa hone se rokne ke liye turant acche doctor se sampark kare.
3) Khoon ke Saath Cough Aana
Tuberculosis me sabse purana lakshan hi khoon ke saath cough aana hai.
4) Bukhar Aana
Roz bukhar aana aur khaskar sham ke vakt jyada tez bukhar aana ye sabse bada Tuberculosis Symptoms hai.
5) Kamjori Aana
TB se phailne wala bacteria pure sharir ki energy ko khatam kar deta hai, jisse sharir me kamjori aa jati hai.
6) Lungs me Dard
Agar aapko saans lene me taklif ho rahi hai aur saath-saath aapke lungs me dard ho raha hai, to yeh ek lung infection ho sakta hai. Isse bachne ke liye turant kisi doctor se sampark kare.
7) HIV Positive
Jo log HIV Positive hai, unhe ye rog hone ke chance jyada rehte hai. Agar aap bhi HIV Positive hai, to TB se sambandhit test jaurur karwaye.
8) Raat me Sardi Lagna
Raat ke samay me thand lagna aur thanda pasina aana dono hi bacterial aur viral infection ki vajah hota hai. Yeh ek aisa bacteria hai jo raat ko sharir me thand lagwata hai jisse aapko sardi ho jati hai.
TB se Bachne ke Upay
• Tuberculosis Symptoms se grasit marij ko santulit aahar ke saath high protein diet lena jaruri hota hai. Dudh, egg, murga, machli aadi me behtar protein hota hai. Isliye marijo ko bhojan ke roop me ise hi use karna chaiye.
• Iske alawa tulsi, hing, aam ka ras, akhrot, lahasuna, desi sugar, angur bhi bahut faydemand hota hai.
• Roz Bakri ka dudh pina bhi aapke liye laabhkari sabit hoga.
• Roz subah-sham shahad ke saath ashwagandha churna le. Ye bhi aapke liye laabhkari hoga.
World TB Day ke madhyam se hume Tuberculosis jesi samasya ke vishay me aur isse bachne ke upayo ke vishay me baat karni chaiye. To aaj se hi Signs of Tb ko dhyan me rakhkar iss bimari se dur rahe.
Get more details about Tuberculosis from Diet and Fitness.