Twin Pregnancy Symptoms in Hindi – गर्भ में जुड़वा बच्चे होने के लक्षण को पहचाने

Maa banna har mahila ki jindagi ka sabse jyada khushi ka pal hota hai. Garbhavastha ka pata chalte hi har mahila apna bahut hi acchi tarah se khayal rakhti hai jisse wo aur uska aane wala baccha swasth reh sake.

Lekin kai bar aesa hota hai ki mahilao ko garbh ka pta lagane ke bad yeh pta chalta hai ki mahila ek nahi balki do bacco ki maa banne wali hai. Aesi sthiti mai kuch mahilao ko aashcharya ke sath-sath khushi mehsus hoti hai, aur kuch ko ghabrahat bhi hone lagti hai.

Garbh mai do baccho ke hone ke kai karan hote hai jaise parivar mai pehle bhi kisi ko judva bacche huye ho ya fir mahila pehle bhi bacche ko janm de chuki ho. Inn do karno ke alava bhi kai aese karan hote hai jo ki mahilao ke garbh mai judwa baccho ke hone ka karan bante hai.

Yeh janne ke liye yaha padhe Twin Pregnancy Symptoms in Hindi aur jane mahilao ke garbh mai judwa bacche hone ke kya-kya lakshan hote hai.

Twin Pregnancy Symptoms in Hindi: Judva Bacche Hone Ke Lakshan

Twin Pregnancy Symptoms in Hindi

Garbh mai judwa bacche hone ke kai karan hote hai to aaiye pehchane  Causes of Twin Pregnancyin hindi.

  1. Mahilao ka 30 se adhik umra ke bad garbhvati hona
  2. Mahilao ki samanya se adhik lambai hona
  3. Yadi mahila ka vajan uske umra se bahut adhik jyada ho
  4. Mahila ke parivar mai kisi ko bhi judva bacche huye ho
  5. Mahila pehle kabhi garbhvati ho chuki ho

Garbh mai judva baccho ka pta chalte hi kuch mahilaye chintit aur vichlit hone lagti hai aur iss bat ko sochkar ghabra jati hai ki wo do bacco ka ek sath khayal kaise rakh payegi? Lekin dhyan rahe iss tarah ghabrane se bacche ke swath par bura asar pad sakta hai. Isliye jyada ghabraye nahi aur apne aane wale bacche ka khayal rakhe.

You may also like:- Online Dating Advice in Hindi: Inn Baato Ka Rakhe Khyal

Garbh mai Judva bacche hone ke kai lakshan dekhne ko milte hai. To aaiye jane Twin Pregnancy Symptoms in Hindi.

Ulti ya Matli Aana

Mahilao ke garbh mai judva baccho ke hone se garbhvati mahilao mai shurwat ke 3 mahine tak adhik ulti aur matli ki samasya rehti hai. Aur yeh lakshan anya garbhvati mahilao ki tulna mai jyada hoti hai.

Vajan Adhik Hona

Garbh mai judva baccho ke hone se mahilao ka vajan samanya ki apeksha bahut adhik ho jata hai. Yadi garbhvati mahilao ka ausat vajan nikala jaye to 25 pound hota hai. Lekin judva garbhvati mahilao ka vajan 30 se 35 pound tak pahuch jata hai.

Peeth Mai Dard Hona

Judva garbhavastha ke samay mahilao ki peeth mai dard hona aam bat hoti hai. Aur yeh dard sharir ka vajan bahut adhik hone ki wajeh se hota hai.

Garbhashay ka Aakar Bada Hona

Mahilao ka Judva garbhvati hone par unke garbhashay ka aakar samanya se bahut adhik hota hai. Iss wajeh se shayad aap jante honge ki judva garbhavastha hone par delivery samay se pehle hi ho jati hai.

Bahut Adhik Bhukh Lagna

Judva garbhvati mahilao mai bahut adhik bhukh lagne ke lakshan dekhne ko milte hai. Yadi aap bhi judva baccho ki maa hai to aapko bhi samanya garbhvati mahilao ki tulna mai adhik bhukh lagegi.

Twin Pregnancy Symptoms in Hindi: Anya Lakshan Inhe Bhi Padhe

Inn sabhi lakshano ke alava bhi kai aur bhi aese lakshan hote hai jinse garbh mai judva baccho ke hone ka pta chalta hai.

  1. Din mai kai bar peshab jane ki iksha hona
  2. Garbhashay mai aethan ka anubhav hona
  3. Dil ki dhadkano ka samanya se adhik dhadakna
  4. Garbh mai bahut adhik halchal mehsus karna
  5. Stano ka komal ho jana aur bra pehnne par uncomfortable feel hona
  6. Bahut adhik asahishnuta(intolerance) ki bhavna hona aur kisi bhi padarth ki bahut tej badbu ya fir gandh aana

Garbh mai judva baccho ka hona bhi kuch conditions par nirbhar karta hai. To aaiye padhe inn sharto ke bare mai.

Identical Twins

Yeh ek samanya prakar hota hai aur yeh condition 3 mai se 1 mai avashya payi jati hai. Jab garbha mai ek ande ka ek shukranu se milne par yugmanaj banta hai tab yeh yugmanaj apne aap ko do hisso mai vibhajit kar deta hai.

Iss wajeh se garbhashay mai do yugmanaj yani do bhruno ka vikash hona shuru ho jata hai. Iss prakar ek hi naal se nikale dono baccho ke chehre mai bhi bahut adhik samanta hoti hai.

Fraternal Twins

Fraternal twins mai jab do ande do shukranu se milte hai to 2 yugmanaj ka nirman karte hai. Iss prakar ke judva baccho mai samanta nahi hoti hai aur yeh judva bacche ek hi sex ya fir alag alag sex ke bhi ho sakte hai.

Upar aapne jana Twin Pregnancy Symptoms in Hindi. Yadi aap bhi garbhvati hai to upar diye gaye judva baccho ke garbhvati hone ke lakshan ko jane aur doctors ki salah se jane kahi aap bhi judva baccho ko to janm nahi de rahi hai.

Pregnancy Care in Hindi Video – 1 to 9 Month Tips

Loading...

You may also like...