Types of Hugs in Hindi – Gale Milne Ke Tarike aur Unka Arth

Gale lagna ek samanya si pratikriya hai, jo nirbhar karti hai paristhiti par. Har samay gale lagne ka arth ek saman nahi hota hai. Kisi ko gale lagana ya kisi ke lagna dono hi ek behad sukhad anubhav ki anubhuti karata hai.

Jab koi huae gale lagata hai to hum bahut accha aur surakshit mahsus karte hai. Gale lagana kisi bhi rishte mai pyar jatane ka sabse accha tarika hai. Aalingan rishte, dosti aur pyar ko paribhashit karne ka sabse accha aur behtar vikalp hota hai.

Koi kitna bhi pareshan kyo na ho kisi apne ko gale lagakar bahut accha mehsus karta hai, kyoki gale lagane se ek vyakti ki atmiya urja dusre vyakti ke man aur chetna mai pravesh karne lagti hai. Isliye isse jadu ki jhappi bhi kaha jata hai.

Galelagna vastav mai prem ka pradarshan nahi balki prem ka chitran hai. Kisi bhi rishte ya sambandhat ko aage badane mai sparsha aur ehsas ki mahtvpurn bhumika rehti hai. Aalingan iski shuruvaat hai tatha chumban iska agla kadam hai.

Yaha hum keval aalingan ki ki baat nahi kar rahe, jo bahut hi anttarang hote hai jo sharirik sambandho tak pahunch jate hai. Yaha hum Types of Hugs and Their Meanings ki baat kar rahe hai.

Log ek dusre ko alag-alag karno se gale lagate hai, lekin aalingan se kai prakar ke arth jude hote hai. Aap kis prakar ek dusre ko gale lagate hai isse gale lagane ka arth pata chalta hai. Jo vibhinn sttro par sambandho ki sundarta ki janch karte hai.

Koi bichdte huye ek dusre ko gale lagata hai, to koi aapas mai milte samay, koi pyar ka ehsas karane ke liye gale lagata hai to koi suraksha ka ehsas karane ke liye. Alag-Alag vyaktiyo se gale lagne ke tarike alag-alag hote hai aur unke mayne bhi alag hote hai. Aaiye jante hai vistar se Types of Hugs in Hindi.

 

Types of Hugs in Hindi: Aalingan ke Prakar aur Iske Arth

 

Types of Hugs in Hindi

 

Types of Hugs and Their Meanings

Aalingan ko ehsas ke sath jodkar dekhe aur iske arth ko samjhe. Yah hum apko Types of Hugs aur unke arth ko paribhashit kar ne wale hai. Maan lijiye ki aap kisi ko date kar rahe hai aur aap janana chahte hai ki, aap dating ke kis star par hai tatha samne wala vyakti aaapke rishte ko kis prakar paribhashit kar raha hai. Yaha hum apko kuch aalingano aur unke arth ko vistrat se batane ja rahe hai. Jo aapke rishte ko aura age le jane mai apki madad kar sakta hai.

 

You May Also Like: First Date Tips in Hindi: Pehli Mulakat Ho Kuch Khas

 

Friends Hug – Dosto ke Sath Aalingan

Dosto ya mitro ko gale lagana ek bahut hi samanya kriya hai. Aksar humne iss prakar dosto ko milte dekha hai. Jab koi mitra hume baju se pakadta hai aur ek hath se humari pith ko thap-thapata hai. Iss prakar ka aalingan darshata hai ki “Hum Dost Hai”. Agar aapka sathi aaapke sath iss prakar aalingan karta hai to veh aapke sath keval dost banker hi rahna chahta hai.

Iske viprit agar koi mitra hume adhik samay baad milta hai to hum khushi se usse jakadkar gale laga lete hai aur kabhi-kabhi usse utha bhi lete hai. Yeh mitro ke bich ka sneh aur apanapan ko darshata hai.

 

Snehpurn ya Namrita purn Aalingan Karna

Namrita purn aalingan keval aupcharikta ya kahne matra ke liye aalingan hota hai. Iss aalingan ko karte samay yeh prayatnn kiya jata hai ki dono ek dusre ko sparsha na kre. Yeh keval formality nibhanae ke liye hota hai. Yeh aalingan karte samay dono ke chehre par halki sim and muskan rahti hai.

Pahli date ki ghabrahat aur apne sathi ke prati asahcharya ki bhavna ke karan tatha aap yeh nahi chate ki apka hone wala sathi apko galat samjhe, isliye first date par aap kuch is tarah shuruvaat karte hai.

 

Kandhe Par Sar Rakhkar Kiya Gaya Aalingan

Iss prakar ka aalingan do paristhiti mai hota hai jab aap bahut jayada bhavuk ho ya aap bahut adhik sahme huye ho.

Yeh aalingan ladke aur adkiyo ko ek khushnuma pal deta hai. Jab dono ek dusre ke sath chipe huye ho ya jab aapka sathi aaapke samip baitha huya ho aur vah apna sar aapke kandhe par rakhkar aankhe band kar leti hai aur yeh darshati hai ki vo aapke sath apne aap ko surakshit aur khush mehsus karti hai, isliye isse slipi shoulder hug bhi kaha jata hai.

 

Majboot Aalingan

Yeh aalingan ka sabse uttam pradarshan hota hai. Aisa tab hota hai jab aap dono adhik samay baad ek dusre se mile ho. Majbooti se padkar aap yeh batana chahte ki aap unse milkar bahut khush hai aur unhe choda nahi chahte hai. Aisa uss sthiti mai bhi hota hai jab dono ek dusre ko bahut miss kar rahe ho tatha unki baho mai jane ka aap intjaar kar rahe the.

Aise mai dono ek dusre ko majbooti se gale lagate hai aur pyar ki lahre unke aaspas mandrane lagti hai.

 

Annturit Aalingan

Anya aalingani ki apeksha yeh thoda ala gaur khatarnaak hota hai. Iss aalingan mai jab aap samne wale vyakti ko aalingan karte ho to vah bina koi harkat kiye murti ki tarah khada rahta hai. Iska yeh arth nikalta hai ki samne wala apme koi ruche ni rakhta hai ya usne aapke bare mai kuch socha nahi hai hai. Kabhi-kabhi narajgi ki wajah se bhi apka sathi aapke sath aisa karta hai.

 

Kaskar ya Dabakar Kiya Gaya Aalingan

Yeh aalingan kisi vyakti ko dhanywaad dene ya khushi jahir karne ke liye kiya jane wala aalingan hota hai. Yeh bhavuk hone ke sath-sath bahut sare sandesh bhi de jata hai aur dil ki gehrai tak mahsus kiya jata hai.

 

You May Also Like: Healthy Relationships in Hindi: Jane Swasth Rishto ke Raaz

 

Jhatpat Kiya Jane Wala Aalingan

Iss prakar ke aalingan mai aap samne wale vyakti ko dabakar ya gale lagkar turan dusri dish mai nikal jate hai. Vastav mai yeh aalingan keval uttejna ke karan hota hai, kyoki jis raste par samne wala vyakti chal raha hai apko bhi vah uss raste le jata hai ya uske pas le jata hai. Yeh bura aalingan nahi hai, balki uttejan se sambandhit hai. Iss aalingan mai yeh nahi socha jata ki samne wala swam ko upekshit to mahsus nahi kar raha.

 

Let kar Kiya Gaya Aalingan

Jab aap TV dekhte samay lete huye ho ya ek dusre ke karib lete huye ek dusre ki baho mai hote hai to yeh aalingan pyar ka ehsas dilane ke liye kiya jata hai. Yeh aalingan ka sabse uttam prakar hai, yeh ek sadharan se pal ko khushnuma bana deta hai. Iska saral arth yeh hai ki aap ek dusre ke karib rahna chate hai aur ek dusre ko khona nahi chahte hai.

Aalingan keval khusi ke moke par hi nahi balki gamy a dukh ke moke par bhi kiya jata hai. Agar apka koi parichit ya mitra ya anya koi vyakti dukhi ho ya kisi prakar ke gam mai ho jab bhi hum gale milkar uske dukh ko kam karne ki koshish karte hai. Isse samne wale ko sukun aur dukh ko sahne ki shakti milti hai, usse akelapan mahsus nahi hota hai aur ek positive energy uske sharir mai aa jati hai hai.

Kyoki aaj ka jamana phale se bahut alag hai. Aajkal hum aise moko par selfies ya picture click kar Chipko Movement in Hindi bhi bana sakte hai aur inn khushnuma aur hasin palo ko apni yaado mai ked kar sakte hai.

 

Health Benefits of Hugging

Gale lagna jaha humari khushi ko darshata hai wahi iske anek labh bhi hai. Aaiye jante hai Health Benefits of Hugging in Hindi

  1. Agar hum udas hai aur achanak koi aakar hume gale laga leta hai to hum accha mehsus karte hai, sath hi yeh rsktchap aur dard ko kam karne mai bhi hamari madad karta hai.
  2. Agar aap kisi prakar ka tanav ya sharirik thakan mahsus kar rahe hai to aap kisi se gale lag lijiye turant apka dimag shant ho jayega tatha dusri disha mai aapka man divert ho jayega.

Iske alawa anek prakar ke fayde hai aalingan karne ke jinse hum apne sharir ko swasth rakh sakte hai, to agar aap humesha fit & fine rehna chahte hai to jadu ki jhappi dete rahiye.

Aaj apne jana Types of Hugs in Hindi, aalingan ke alag-alag tarike aur unse hone wale fayde aur arth ko humne samjhaya hai. Jinke dwara aap apne sathi ko khush kar sakte hai.

Loading...

You may also like...