Home Remedies for Vertigo – Chakkar Aana aur Samasya Se Nijat

Chakkar aana, sar dard hona aadi ko vertigo kehte hai. Isme vyakti bhale hi khada ho lekin use aaspas ki chize ghumti hui dikhai deti hai. Aapko kabhi kabar kamjori ya kisi wajah se chakkar aaye ho to yeh aam baat hai. Lekin yadi aapko roj roj chakkar aa rahe ho iska matlab aap vertigo ki samasya se pareshan hai.

Iski samasya hone par aapko chakkar aane ke sath sath ulti jaisa bhi hone lagta hai. Iss lagatar bane rehne wale chakkar ko ignore nahi karna chahiye. Kyoki iske piche ke karan low bp, khun ki kami aadi ho

Hamare andar ke kaan mai respiratory tract infection hona vertigo ke hone ka mukhya karan hai. Aaj ke lekh mai ham aapko Home Remedies for Vertigo bata rahe hai. Inn gharelu upchar ki madad se aap chakkar aane ki samasya ko dur kar sakte hai.

Home Remedies for Vertigo in Hindi: Jane Aasan Gharelu Upay
Home Remedies for Vertigo - Chakkar Aana

Iske gharelu upcharo ko janne se pehle kyu na pehle iske hone ke karano par ek baar najar dal di jaye. Taki ham usko dur karke iss samasya ko dur kar sake.

  1. Andruni kano mai sankraman
  2. Cholesterol badhne par
  3. Madhumeh ke karan
  4. Caffeine ka sevan adhik karne par
  5. Calcium ki kami hone par
  6. Dhrsti kamjor hone par
  7. Thyroid ki bimari hone par

Chai – Coffee Ko Kahe Na

  • Aksar dekha gaya hai ki sir dukhne jaisi chize hone par bhartiya log jyadatar chai ki aur rukh karte hai.
  • Ham aapko batade ki yadi aapko vertigo ki samasya hai to aapko chai-coffee se duri bana leni chahiye.
  • Iska sevan karne se bhi chakkar badhte hai.

Nariyal Pani

  • Aapne nariyal pani ke sondarya faydo ke bare mai to suna hi hoga. Nariyal pani pine se aapki twacha aur baal acche hote hai.
  • To nariyal pani pikar aap sondarya labh to utha hi sakte hai sath hi sath isse Vertigo Cure bhi kar sakte hai.
  • Ise yadi aap roj piyenge to chakkar aana band ho jayenge.

Amla Powder

  • Kai bar dhrsti kamjor hona bhi chakkar aane ka karan banta hai. Isliye amla ka sevan bhi ek bahut hi faydemand gharelu upchar hai.
  • Iske liye amla ko sukhakar, peeskar uska churn bana le.
  • 10 gram amla powder mai 10 gram dhaniya powder milaye. Iss mishran ko pani mai ghole aur chhankar pee jaye. Ise aapko roj peena hai.

Nimbu Pani

  • Nimbu se bane pey padarth pina bhi aapke liye faydemand sabit hoga. Nimbu vertigo dur karne ke liye prakratik tarika hai.
  • Prayog ke liye gungune pani mai nimbu ka ras, kali mirch aur chute bhar namak dale. Isse acche se ghole aur peele.

Badam Ka Dudh

  • Badam hamari sehat ke liye bahut acche hote hai. Badam mai vitamin e, vitamin b, fiber aur 26 pratishat carbohydrate moujud hota hai.
  • Kuch badam ko raat bhar pani mai bhigokar rakhe. Subah chhilke utar le aur paste bana le. Iss paste ko gungune dudh mai milakar piye.
  • Badam ka dudh aapko vertigo ki samasya se rahat dilaega. Isse aapke mastishk ko bhi takat milti hai.

Chakkar Aana ki Problem ke Anya Gharelu Upchar

  1. Kai bar nind ki kami se bhi aapko vertigo ki samasya hoti hai. Isliye roj acchi nind le, isse bhi aapki chakkar aane ki samasya kai had tak kam ho jayegi.
  2. Dehydration bhi Causes of Dizziness ho sakta hai. Isliye jitna ho sake apne sharir ko liquid chize de. Pani ke sath sath juice bhi piye.
  3. Adrak ki chai piye ya fir adrak khaye. Isse vertigo ke karan aane wale chakkar dur ho jayenge.
  4. Tulsi guno se bharpur hai aur yeh baat ham sabhi jante hai. Tulsi ke 20 patto ko shahad mai milakar chatne se chakkar aane ki samasya mai kaafi had tak kami aati hai.
  5. Aapko jankar shayad aascharya lagega. Lekin burf ke saman thada pani peekar aap chakkar aane ki samasya ko dur kar sakte hai.
  6. Niyamit subah ke samay anulom vilom pranayam ka abhyas aapko vertigo ke sath sath aur bhi kai samasyao se nijat dilata hai.
  7. Kuch strawberries ko mash karke dahi mai dale. Yeh chakkar aane ki samasya ko dur karne ka bahut hi accha gharelu upay hai.

Upar aapne jana Home Remedies for Vertigo in Hindi. Bataye gaye gharelu upchar aapko chakkar aana ke problem se wakai madad karenge. Iske sath hi aap meditation jarur kare. Yadi gharelu upcharo ko apnane ke bad bhi aapko chakkar aane ki samasya band na ho to bina der kiye chikitsak se sampark kare.

Loading...

You may also like...