Weight Loss Tips in Hindi: Vajan Kam Karne ke Upay

Weight Loss ya Reduce karna ek aisa topic hai jispe jitney muh utni baate sunane ko milti hai. Log ek se ek tips ya diet plan batate hai, jiske hisaab se Weight Reduce karna mano baccho ka khel ho. Par hakikat to aap jante hi hai ki ye asal me kitna challenging kaam hai. Isliye aaj hum aapko iss article ki madad se Weight Loss Tips in Hindi batane ja rahe hai.

Weight badne ka vigyaan bada sidha-sadha hai. Yadi aap khane-pine ke roop me jitni calories le rahe hai utni burn nahi karege to aapka weight badna tay hai. Darasal bachi hui calorie hi humare sharir me fat ke roop me ikattha ko jati hai aur humara vajan bad jata hai.

Vajan Kam Karne ki prakriya shuru karne se pehle aapko yeh janana chahiye ki aapka present weight sahi hai ya nahi. Iske liye aap iss article ko pura pade aur jane Correct Weight. Yaha se aap apna Body Mass Index (BMI) jaan payege. BMI ek bahut hi simple tool hai jo aapke vajan aur lambai ke hissab se aapki body me kitna fat hai batata hai. Aapka BMI ye batata hai ki aap kis Weight Category me aate hai.

  • 18.5 se kaam BMI: Underweight
  • 18.5 se 25 BMI: Normal Weight
  • 25 se 29.9 BMI: Overweight
  • 30 se jyada BMI: Obese (Atyadhik Vajani)

Ab yadi aap overweight ya obese hai to aapko apna vajan kam karne ki jarurat hai. Aur yadi aapko iski jarurat hai to aapko ye bhi janana chahiye ki jis stithi me aap pahuche hai uski wajah kya hai. Aapke mann me ye sawal humesh hoga ki How to Lose weight in Hindi. To Wese aam tor par vajan badne ke 2 karan hote hai.

Weight loss tips in hindi

Weight loss tips in Hindi

1) Khan-Pan

• Weight badne ka sabse pramukh karan hota hai humara khan-pan. Yadi humare khane me calorie ki matra adhik hogi to vajan badne ke chances jyada ho jate hai.

• Adhik tala-bhuna, fast-food, deshi ghee, cold drink aadi pine se sharir me jarurat se jyada calories collect ho jati hai jise hum bina extra effort ke burn nahi kar pate hai aur natija humare bade hue vajan ke roop me dikhai deta hai, yadi aap iss baat ki jankari rakhe ki aapke sharir ko har din kitne calorie ki jarurat ki avashyakta hai to utna hi consume kare to aapka.

You may also like:- Motapa Kam Karne ke Upay: Apna Wazan Ghataiye

2) Inactive Hona

• Agar aapki dincharya aisi hai ki aapko jyada haath-pav nahi hilane padte hai to aapka weight badna laghbhag tay hai. Khaas tor par jo log ghar me hi rehte hai ya din bhar chair par baith kar hi kaam karte hai unhe jaan-bujhkar apni daily life me kuch physical activity involve karni chahiye.

• Jese ki aap lift ki jagah stairs ka prayog kare, apne interest ka koi khel khele, jese ki badminton, table-tennis, aadi. Yadi aap treadmill ya ek gym cycle ka use krgi to ye bhi aapko bahut fayda pahuchayga.

Ab jab aap weight badne ka karan jan gaye hai to ise lose ya kam karne karna kafi iccha shakti aur jankari par nirbhar karta hai. Yaha hum Weight Loss Tips in Hindi ki kuch aisi tips batane ja rahe h jo aapke liye kafi faydemand sabit hogi.

Weight Loss Tips in Hindi: Kijiye Apne Vajan ko Kam

Weight loss tips in hindi

  1. Keep Calm – Yaad rakhiye ki aaj jo aapka weight hai wo koi 2 din ya 2 mahine ki den nahi hai. Ye to bahut samay se chali aa rahi aapki life style ka natija hai. Aur yadi aapko Weight Loss karna hai to nischit roop se aapko sabra rakhna hoga.
  2.  Apne Efforts me Yakin Rakhiye – Kisi bhi aur chiz se jyada hai ki aap weight loos ke liye jo efforts kar rahe hai usme aapka yakin hona Jaruri hai. Yadi aap ek taraf daily gym ja rahe hai aur dusri taraf dosto se kahate phir rahe hai ki gym jane se koi fayda nahi hai to aapka subconscious mind bhi isi baat ko manega, aur sach me aapko apne efforts ka koi fayda nahi milega. Khud se positive talk karna bahut jaruri hai.
  3. Visualize Kariye – Aap jesa dikhna chahte hai vesa hi khud ke bare me sochiye. Yakin janiye ye aapko vajan ghatane me madad karega. Aap chahe to apne room ki diwar, ya computer screen par kuch aisi hi photo laga sakte hai jesa ki aap dikhna chahte hai. Roz khud ko wesa dekhna uss chiz ko aur bhi sambhav banayga.
  4. Nashte ke Baad, Pani ko Apna Main Drink Banaye – Nashte ke waqt orange juice, chai, dudh aur bhi liquid le sakte hai lekin uske baad pure din pani ko hi pine ke liye istemaal kare. Cold drink ko to touch bhi na kare aur chai-coffee par bhi control rakhe. Iss tarah har roz karib 200-250 calories kam consume hogi.
  5. Pedometer ka Prayog Kare – Ye ek asia device hai jo aapke kadam ko count karta hai. Ise apne belt me laga le aur koshish kare ki har roz 1000 steps extra chala jaye. Jinka weight adhik hota hota hai wo aam tor par din bhar me bas 2000-3000 kadam hi chalte hai. Yadi aap isme 2000 kadam aur add kar de to aapka current vajan bana rahega aur usse jyada chalne par vajan kam hoga.
  6. Jane Aap Kitni Calorie Lete Hai – Weight Loss Tips in Hindi ki baat kare to calorie aapke vajan ka sabse bada karan hai. Yadi aapko lagta hai ki aap har roz 1800 calorie lete hai aur phir bhi aapka vajan kam nahi ho raha hai to shayad aap apni calorie intake ka galat anuman laga rahe hai.
  7. 5-6 Baar Thoda Thoda Khaye – South Africa me hui research me ye paya gaya ki yadi vyakti 3 time khane ki jagah 5-6 baar thoda-thoda khaye to wo 30% kam calorie consume karta hai. Aur yadi wah utni hi calorie le raha hai jitna ki wo 3 baar khane me leta hai to bhi aisa karne se body kam insulin release karti hai., jo ki aapke blood sugar ko sahi rakhta hai aur aapko bhuk bhi kam lagti hai.
  8. Roz 45 Minute Ghumne Jaye – Roz 30 minute tahalna aapka weight badne nahi dega lekin yadi aap apna weight ghatana chahte hai to kam se kam 45 minute roz ghumne jaiye. Agar aap aisa kar lete hai to bina apna khan-pan badle bhi aap ek saal me 15 kg vajan kam kar sakte hai.
  9. Blue Color ka Adhik Prayog Kare – Blue color bhuk ko kam karta hai. Yahi wajah hai ki adhiktar restaurants iss rang ka kam prayog karte hai. Aap Blue plate me khana khaye, blue kapde pahane aur table cloth bhi blue hi choose kare. Red, yellow aur orange color ko jaha tak ho sake iss time par avoid kare.
  10. Jyada se Jyada Chale – Weight Loss Tips in Hindi ko yaad me rakhkar jyada chalne ki koshish kare aur saath hi aap jitna jyada chalege aapki calorie utna hi adhik burn hogi. Lift ki jagah stairs ka istemaal karna, aas-paas pedal jana aapke liye madadgar sabit ho sakta hai.
  11. Water Rich Food Khaye – Pennsylvania State University ki ek research me paya gaya hai ki water-rich food, jese ki tomato, lauki, kheera aadi khane se aapka overall calorie consumption kam hota hai. Isliye inka adhik se adhik prayog kare.
  12. Low Fat Milk ka Prayog Kare – Chai, coffee banana me ya sirf dudh pine ke liye skim milk ka use kare, jisme calcium jyada hota hai aur calorie kam hoti hai.
  13. Ghar ka Khana Khaye – Adhik se adhik hghar par hi khana khaye, aur yadi aap bahar bhi ghar ka bana khana le jate hai to ye aapki sehat ke liye bahut accha sabit hoga. Bahar ke khane me high-fat aur high-calorie hoti hai jisse kai prakar ki bimariya ho sakti hai.
  14. Dhire-Dhire Khaye – Dheere khane se aapka brain pet bhar jane ka signal pahle hi de dega aur aap kam khayge.
  15. Nimbu aur Shahad ka Prayog Kare – Roz subah halke gungune pani ke saath nimbu aur Shahad ka sevan kare. Aisa karne se aapka vajan jarur kam hoga aur aapke liye karagar bhi sabit hoga.
  16. Dance Kare – Jab Kabhi aapko waqt mile to badiya music laga kar dance kare. Aisa karne se aapka entertainment bhi hoga aur acchi-khasi calorie bhi burn ho jaygi.

Dekhiye Video aur Kijiye Apna Badta Vajan Kam

Yaad rakhiye ki weight reduce karne ke liye aapko patience rakhna hoga. Choti-choti baato par dhyan dekar aap iss kam ko tezi se kar payge aur iss douran aap jo kar rahe hai uss par yakin karna bahut jaruri hai. To aaj se hi apnaiye Weight Loss Tips in Hindi aur kijiye apne badte vajan ko bye-bye.

Loading...

You may also like...