Winter Exercises in Hindi – Sardiyo mai Rahe Sehatmand

Thand ka mousam shuru ho chuka hai. Ham sabhi jante hai ki thand ka mousam sehat banane ka mousam hota hai. Isliye iss mousam adhiktar logo ke yaha kaju badam ke laddu, tilli ki chakti aadi ban jata hai. Kyoki iss mousam mai kuch bhi pachna aasan hota hai.

Kehte hai ki iss mousam mai aapne apna dhyan acche se rakh liya to pure saal takat rehti hai. Isliye aapne bhi jarur taiyari shuru kar li hogi. Lekin kya aap jante hai sehat ko banane ke liye khane pine ke sath aapko vyayam ki bhi jarurat hoti hai.

Mousam chahe koi bhi ho vyayam karne ka fayda to hamesha hi milta hai. Kyoki jab aap vyayam karte hai to aapke sharir ko oxygen milti hai. Isse tanav aur avsad jaisi chize dur hoti hai.

Thand mai bhi vyayam karne ke aapko yahi fayde milte hai. Yadi thand mai acchi diet li jaye aur niyamit vyayam kiya jaye to aapko sehatmand hone se koi nahi rok sakta. Aaiye jante hai kuch Winter Exercises in Hindi.
 

Winter Exercises in Hindi: Thand mai Bhi Vyayam Jaruri

 
Winter Exercises in Hindi
 

Subah Sham Tehalna

  • Yadi aap vyayam to karna chahte hai lekin aapke pas gym jane ke liye wakt nahi hai to koi baat nahi hai. Din mai do bar tehalna bhi aapko bahut fayde deta hai.
  • Jo log vajan ghatana chahte hai unke liye bhi yeh faydemand hai. 30 minute ki walk aapko 106 calorie jalane mai madad karti hai.
  • Lekin thand mai bahar jane se pehle thodi safety jarur rakh le. Bahar thand ke karan aapko sardi khasi ho sakti hai. Isliye garam kapde jarur pehan le.
  • Thand mai tehalne ke liye ekdum subah jane ke bajay aese samay jaye jab thodi gunguni dhup aa jati ho.

 

Sidiya Chade Utare

  • Yadi aap apne ghar mai hi vyayam karna chahti hai, lekin aesa jisse calorie burn ho to ghar ki sidiya hi chade aur utare.
  • Yadi 20 minute tak bhi aapne sidiya chadna utarna jari rakha to itna hi aapke sharir mai urja lane aur calorie burn karne ke liye kaafi hai.
  • Sidiyo par aapko sambhal ke chadna aur utarna hai. Sath hi aapki sidiyo mai bahut jyada gap hai to apni sidiyo par aesa na kare, kyoki isme chot lagne ka khatra rehta hai.

 

Rassi Kude

  • Thand mai ham bahut khana peena khate hai. To aese mai aapka bada hua pet aur na badh jaye.
  • Bade huye pet ko kam karne aur sharir ka rakt sanchar badhane ke liye rassi kudne se behtar koi vyayam nahi hai.
  • Aap rassi kudne ke liye ghar ya bahar dono sthan ka chunav kar sakte hai. Yeh bahut faydemand Workout in Winter

 

Dance Kare

  • Kya aapko vyayam karna pasand hi nahi aata lekin aapke thulthule sharir ko dekhkar aapko chinta ho rahi hai.
  • To aese mai aap gym nahi bhi jana chahte hai to koi baat nahi. Aap roj dance karna shuru kar de.
  • Dance ko aap ghar mai bhi kar sakti hai aur iske liye class bhi join kar sakti hai. Marta aadhe se 1 ghante ka dance aapke sharir ki puri thandi khatam kar dega.
  • Dance karne se mood bhi accha hota hai kyoki ise karte wakt aap khush rehte hai.
  • Yadi aapka main target vajan ghatana hai to Zumba Dance ki classes join kar le. Iske jariye aapko vajan ghatane mai kaafi madad milegi.

 

Yog Ka Abhyas

  • Thand ke dino mai yog ka abhyas naa keval aapke sharir ko garam rakhega balki yeh aapke sharir se tanav ko bhi dur rakhega.
  • Niyamit yoga karne se aapke sharir mai rakt ka sanchar badhta hai, jisse sharir mai energy aati hai aur aapko thand mai kisi tarh ki pareshai nahi hoti.
  • Trikonasana ka abhyas karne se aapko peeth dard se nijat milti hai. Sath hi ise karne se digestion improve hota hai.
  • Sarvangasana aapko kabj ki samasya se nijat dilata hai. Winter Fitness ke liye ise bhi apni dincharya mai shamil kare.
  • Dhanurasana karne se aapki bujhao aur pairo ki atirikt charbi kam hoti hai. Sarh hi masik dharm ki pareshaniyo se nijat milti hai.
  • Iske alawa yog ke anya asana bhi aapke liye faydemand hai. Yadi aap yog ke liye naye hai to yog guru ke nirdeshan mai hi yog ka abhyas kare.

 
Upar aapne jana Winter Exercises in Hindi. Yeh vyayam na keval aapko thand se bachaenge balki isse aapke sharir mai lachilapan bhi aayega. Yeh vyayam vajan ghatane aur tanav dur karne mai bhi sahayak hai.

Loading...

You may also like...