Worst Foods for Skin, Nuksaan Dayak Khadya Padarth
Sundar aur swasth twacha jo acchi lagti hai, lekin ise pane ke liye dekhbhaal aur rakhrakhav ki avshyakta padti hai. Agar aap accha khayenge to aapki twacha bhi swasth rahegi.
Khane-peene ka prabhav jitna sharir par padta hai utna hi twacha ki sundarta aur chamak par padta hai. Isliye aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Worst Foods for Skin.
Hum jab diet plan banate hai to unn sabhi cheezo ko bhojan mai shamil karte hai jo hamare sharir ke liye acche hote hai aur vajan kam karte hai. Iss praakar skin ke liye kai food acche aur kharab hote hai. Bas aapko sirf yeh samjhna hoga ki kis bhojan ko khane se aapki skin acchi hogi aur kis bhojan ko khane se skin mai chamak aayengi.
Niyamit roop se poshtik aahar ka sevan karne se sharir ki twacha ki chamak barkarar rahti hai. Chehre ki twacha ki chamak bhi swasth bhojan ke sevan se hi bani rahti hai. Agar aap chahte hai, ki har mousam mai aapki twacha swasth ho aur rukhi-sukhi na ho, to aapko apne kuch favorite food ko khana chodna padega.
Kyoki inn Khadya Padarth mai tel, vasa aur calorie adhik matra mai hoti hai. Jisse twacha par dane nikal aate hai aur aapki skin kharab ho jati hai. To aaiye jane twacha ko swasth banye rakhne ke liye kon se food nahi khana chahiye.
Worst Foods for Skin, Twacha ko Barbaad Karne Wale Aahar
White Bread
Agar aap swasth twacha pana chahti hai to, white bread ka sevan band kar de. Maida wali bread mai glucose ki bhari matra payi jati hai, jisse ki chehre par dane nikalne lagte hai. Lekin brown bread ka sevan aapki twacha ko swasth banye rakhta hai.
Soya Dudh
Soya dudh ke sevan se sharir ki pratirakshak kshamta ghatati hai aur sharir me bacterial infection bhi ho jata hai. Soya dudh ke charm rogo ki jad hota hai. Isliye aaj se hi apni list mai se soya dudh hata de varna aapko twacha sambhandhit dikkat ka samna karna pad sakta hai.
Chocolate
Worst Foods for Skin ki baate kare to chocolate ka naam sabse pahle aata hai. Agar aap bhi chocolate ke deewane hai to aapko yeh aadat chhodni padegi. Chocolate sirf kam blood pressure ko sahi kar sakti hai, lekin chocolate khane se sharir ka immune system kam ho jata hai.
Alcohol
Sharab ke niyamit sevan se twacha par bura prabhav padta hai. Isse aapki skin bhaddi ho jati hai. Sharab ke sevan ke baad twacha mai dehydration hone ke karan bhi twacha mai rukavat aa jati hai.
You may also like:- Benefits of Quitting Alcohol: Sharab Chodne ke Gharelu Nuskhe
Candy
Khusoorat twacha pane ki tammana rakhne vale logo ko candy ka sevan nahi karna chahiye. Yeh ek criminal hota hai, jo ki aapki sundar twacha ko dheere dheere kha jata hai. Candy mai aise tatva hote hai, jisse skin par dane nikalne lagte hai aur twacha barbaad ho jati hai.
Coffee
Yeh sach hai ki coffee aapki sari thakan ko dur kar deti hai, lekin ise peene se twacha mai rukhapan aata hai. Rukhi twacha par dane aa jate hai. Isliye aage se coffee ka sevan karne se pahle apni sundar twacha ke baare mai jarur sochana.
Namak
Namak aapke khane mai swaad ko badata hai lekin namak ke adhik matra mai sevan se aapki twacha kharab ho sakti hai. Agar aap khane mai jyada namak khate hai to fatafat band kar de. Popcorn mai bhi jyada namak hota hai. Isliye market ke popcorn bhi kam khaye.
Sea Food
Jyada iodine bhi sharir ki twacha ko kharab kar deta hai. Sea food jyada na khaye, kyoki inme ucch matra mai iodine hota hai, jo twacha ko bekar kar sakti hai.
Dudh
Dudh twacha ko kharab karne vale silent killer hai. Milk mai high growth factor hote hai, jisse twacha me atirikt tatva aa jate hai aur uske karan skin par dane nikalne lagate hai.
Sugar
Chini collagen ko nash kar deti hai. Iske adhik sevan se twacha rukhi aur bejan ho jati hai. Isliye khane mai chini ka istemaal ka kare.
Janiye Worst Foods for Skin aur Kariye Apni Twacha Ki Dekhbhal
Strawberry
Agar aapki twacha bahut sensitive hai to strawberry ka sevan jyada na kare. Isme ucch matra mai Vitamin C aur natural acid hota hai, jo naak aur muh par darar padne ka karan banta hai.
Peanut Butter
Mungfali ka tel, twacha mai kil, muhase aur dane nikal deta hai. Isliye ise apne aahar mai shamil na kare. To bas apni twacha ki khubsoorati ke liye isse khana chhod de.
Red Meat
Red meat khane mai behad swasdisht lagta hai, lekin iske sevan se twacha par dane nikal sakte hai. Isme fiber adhik matra mai hota, jisse khubsoorat twacha par negative asar pad sakta hai. To hum bol sakte hai ki, red meat ek Worst Foods for Skin hai.
Shimla Mirch
Shimla mirch, khane mai bahut acchi lagti hai, lekin iske sevan se twacha mai dane nikalne lagte hai. Yeh teekha masala hota hai, jisme Vitamin C ki bharpur matra hoti hai.
Upar aapne jane kuch aise khadya padarth, jo ki twacha ke liye nuksaan dayak hote hai. To bas aaj se hi apne diet plan mai se inn aahar ko hata dijiye aur hamesha swasth rahiye.
Worst Foods for Skin se sambhandhit swasth laabh ki jankari ke liye yaha jaye Food.