Fitness Tips for Women: Mahilao ki Swasth Sehat ke Raaz

Aaj kal dekh gaya hai ki, har mahila kaam ke saath-saath apna ghar bhi sambhalti hai.  Jisse ke liye unhe apni sehat ka khas khayal rakhan  chahiye.  To aaiye aaj is article mai hum aapko batate hai, Fitness Tips for Women in Hindi.

Ab vah din nahi rahe jab nahilaye apne aapko sirf rasoi ki char diwari tak simit rakhti thi. Prachin kal ki yeh isthiti puri tarah se badal gai hai. Ab samay puri tarike se badal gaya hai.

Aaj kal mhilaye apne ghar-grasthi  ke saath apne pure vyaktitv ke vikas par dhyan deti hai. Mahilao ki iss badlati huye bhumika ke karan, kai mahilaye motape ka tatha kharab swasth ka shikar ho rahi hai.

Apne kaamkaji jivan tatha ghar ki jimmedari ko ek saath sambhale ke karan, kai mahilaye swasth se judi kai preshani ka samna kar rahi hai, aur iska mukhaye karan hai, vyayam ya sharirik kasrat ka na hona.

Lekin is tarah shikayat karne se samasya ka samdhan nahi milega, lekin fitness tips aur sahi aahar dwara hamari vyaktigat aur vyavsaiyk jivan ke beech banaya gaya samtulan iss samasya se nipaten mai hamari madad kar sakta hai, jo bahut mushkil hai, lekin mahatvpun hota hai.

fitness tips for women

Fitness Tips for Women ke Dwara Janiye Mahilao ki Acchi Sehat Pane ke Tarike

Poshtik Aahar Le

Agar aapko din bhar khane ki aadat hai.To aapke swasth ko koi nuksaan pahuchaye bina, poshtik aahar aapki iss icaah ko pura karne mai aapki madad kar sakte hai. Isliye jivanshaily ki vibhinn bimariya se khud ko dur rakhne ke liye apne ghar mai poshtik aaharo ka bhandar  rakhe.

Ek Prabhavi Vyayam Padhati

Fitness Tips for Women in Hindi ki baat kare to vyayam ki bahut aham bhumika hai. Apni suvidha ke anusaar ek vyayam padhati ka chayan kare. Ho sake to strength training ka chain kare aur week mai do baar 20 minutes ke liye iss exercise ko kare ya fir rozana walk kare ya fir koi aisi kriya ka chayan kare jisse aapke pure sharir ko swsath bannae mai aapki madad karegi.

Bhar Pet Nashate Kare

Mahiye kaamkazi ho ya ghar par kaam karti hai. Unhe kasrat ke saath-saath apne nashte ka khas khayal rakhna chahiye. Apne nashte mai taza phalo ko shamil kijiye, kyoki glucose se bhare taze phal aapki meetha kahne ki iccha ko niyantran mai rakhate hai.

You may also like:- Janiye Health ke Liye Nashta Karne ke Bemisal Fayde

Treadmill Par Tezi se Chale

Swasth rahne ke liye apne dono haatho mai 3 se 5 pound ka ek dumbbell pakad kar 10 minutes ke liye treadmill par tezi se chale. Iss kasrat ko shuru karne se pahle apne chale ki gati ko nishchit kar le.

Crunches Kare

Kai baar crunches karte samay mahilaye apne pet ki maspeshiyo ka itemaal karne ke vajah apni garden ki maspeshiyo ka istemaal adhik karti hai. Iss tarah ke exercise se keval samay barbad hoga. Isliye churches ko shuru karne se pahle apna pura dhyan pani pet ki maspeshiyo par de aur apni garden sheedhi rakhe tatha chat ki aur dekhte huye upar ki aur uthe.

Jyada Pani Piye

Aapke sharir ki body functionality ko banaye rakhne ke liye pani bahut jaruri hota hai. To aacha hoga ki pani ki kami se bachne ke liye niyamit roop se pani ka sevan karte hai aur hamesha swasth rahe.

Fitness Tips for Women se Paiye Mahilao ki Healthy Life 

fitness tips for women in hindi

Refined Carbohydrate na Khaye

Refined Carbohydrate se yukt khadya padarth ka sevan kam kare. Jab aap refined carbohydrate se yukt bhojan ka sevan  karte hai, to yeh aapke blood sugar level ko badha deta hai.  Jisse aapke sharir mai charbi ka utpadan hota hai.

Kisi bhi Karye ki Aati na Kare

Mahilaye ko koi bhi Fitness training ek ghante se adhik samay ke liye nahi karni chahiye. Isliye kisi bhi prakaar ke vyayam ko adhik samay ke liye na kare, kyoki vyayam ya gym mai bitna gaya adhik samay aapko nuksaan pahucha sakta hai.

Desk Job ki Thakavat ko Bhagaye

Ek rubber ya baalo ko bhandhne vali rubber band le. Ab pida se bhare haath  ki sari panch ungali yo ko chuye aur uhhe ek dusre ke nikat laye. Ab in pancho ungaliyo ko rubber band se bandh le aur inhe jitna ho sake ek dusre se dur khinche. Jese ek dusre se alag ja rahi hai. Jab kabhi aapke paas samay ho iss kriya ko kare.  Isse aapko ungali aur haatho ko aaram milega tatha sharir ki thakavat bhi dur ho jayegi.

Flexible Bane

Subah uthkar kasrat karne ka nirnaye liya jaye aur kisi vajah se na kre paye, to ise apni pragati mai ek rukavat na bnane de. Ise apne dincharya se hatane ke vajay, yeh nischaye kare ki din ke kisi bhi samay mai jab aapke pass thoda sa bhi samay hoga to aap gym jayengi.

Kisi Dost Ke Saath Kasrat

Agar aap akeli kasrat karte thak chuki hai, to aap apne kisi dost ya apne paltu janvar ko gym mai le jaye.Kisi apne  vyakti ke saath ki gai kasrat aapke lakshaye ko prapat karne mai abshaye madad karegi.

Stretching Bahut Jaruri Hai

Apne niyamit vyayam ko shuru karne se pahle aapne sharir ki maspeshiyo ko lachila banana bahut jaruri hota hai. Yeh lachlapan vyayam ke douran chhot ko lagne se rokta hai. To hum bol sakte hai ki, yeh ek acchi Fitness Tips for Women mai se ek hai.

You may also like:- Benefits of Stretching se Banaye Apni Body ko Flexible

Kasart se Pahle Nashta

Kasrat shuru karne se pahle ek chocolate ka sevan kar sakte hai. Isse aapke sharir ki urja jo badhegi. Kyoki in sabhi mai chini aur fiber ki matra bahut adhik hoti hai. Agar aapko bahut jyada bhuk lagi hai, to ek kela khaye kyoki yeh pachane mai bahut  aasan hota hai aur saath hi pryapt urja ko bhi pradaan karta hai.

Apne Heart Rate Par Dhyan De

Agar aapke  heart ki gati bahut dheemi hai, to iska arth yeh hai ki, aap apna vyayam puri kshamta ke saath nahi kar pa rahe hai. Dusri aur, agar aapke heart ki gati bahut tez ha to, isse yeh ptaa chalta hai ki, aap khud ko sambhavit khatrnak istar ki aur dhakel rahe hai. Isliye apne heart ki gati par dhyan de tatha ginti karte huye kasrat ko pura kare.

Upar aapne jana Fitness Tips for Women in Hindi . To bas der kis baat ki aaj se hi inn sabhi tariko ko apna kar mahilaye swasth sehat pa sakti hai.

Fitness Tips se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...