Hairstyles for Long Hair in Hindi: Apne Baalo Ko De Naya Andaj

Lambe baalo ko aurato ka gehna kaha jata hai. Lambe baalo se mahilao ki khubsoorati doguni ho jati hai. Jinn ladkiyo ke lambe baal hote hai wo alag- alag function par apni hairstyle ko kai prakar se bana sakti hai aur sundar dikh sakti hai.

Ladkiyo ke baalo ki alag-alag style ki wajeh se india puri fasion ki duniya mai pehle sthan par raha hai. Aur ladkiyo ka yeh different haircut hamesha se super trendy raha hai. Lekin kuch ladkiya aesi bhi hoti hai jinke lambe baal hone se we pareshan ho jati hai kyoki unko apne baalo ko alag-alag style dete nahi aata. Lambe baalo ko alag-alag style dene ke liye yaha padhiye Hairstyles for Long Hair in Hindi aur batayi gayi baalo ki alag-alag style mai se aap apni pasandida hairstyle ko chun sakti hai.

Alag-alag ladkiyo ke apne baalo ko sajane aur style dene ki pasand bhi alag hoti hai. Kuch ladkiya apne baalo ko traditional style dena chahti hai, kuch local aur kuch to fashionable. Ham yaha alag-alag ladkiyo ke liye alagh-alag style ke bare mai bata rahe hai jinhe dekhkar aap aasani se aur bina kisi jhanjhat ke baalo ko behtarin style de sakti hai.
 

Hairstyles for Long Hair in Hindi: Baalo Ko De Khubsoorat Look

 
Hairstyles for Long Hair in Hindi
 

Lambe Ghunghrale Baalo Ke Liye Hairstyle

Lambe aur ghunghrale baal dusro ko jaldi aakarshit karne wale hote hai. Jinn logo ke ghunghrale baal hote hai wo log adhiktar bold aur bahadur hote hai. Yeh hairstyle gol-gol baalo ke sath chehre par accha look deti hai. Jyadatar iss type ki hairstyle south-Indian ladkiya apnati hai. Isliye aap iss style ko dekh kar keh sakti hai ki lambe aur ghunghrile baalo se chehra aur bhi sundar dikhayi dene lagta hai.
 
Hairstyles in Hindi-Curly Hair
 

Sadharan Juda

Aesi ladkiya aur mahilaye jo ki apne baalo ki hairstyle sadharan rakhna chahti hai unke liye juda ek behatrin style hai. Sadharan juda ko banane mai bhi koi samasya nahi hoti hai sath hi ise aap lambe aur madhyam aakar ke baalo ka bhi bana sakti hai. Ise banane ke liye aap baalo ke bich se maang nikal le. Yadi aap apne hairstyle ko aakarshak dikhana chahti hai to baalo par ek clip bhi laga sakti hai. Uske baad pure baalo ko piche ki aur karke ek juda bana lijiye.
 
Hairstyles in Hindi-Bun
 

Baalo Mai Poni Style

Aapne adhiktar collage aur school ki ladkiyo ki pony hairstyle dekhi hogi. Baalo ki pony hairstyle kisi bhi prakar ki dress mai suite karti hai aur ladkiya iss style ko bahut pasand bhi karti hai. Yadi kisi function ya party mai aap traditional kapde pehan rahi hai tab bhi yeh style aapke look aur kapdo ke sath bahut match karegi. To apnaiye iss style ko aur dikhiye sundar.
 
Hairstyles in Hindi-Poni Style
 

You may also like:- Curry Leaves for Hair Growth in Hindi: Balo Ke Liye Faydemand

 

Bich se Banaye Huye Baal

Aajkal ki ladkiya apne kapdo ke sath-sath baalo ko bhi fashionable look dena chahti hai. Jyadatar ladkiya apne baalo ko khula rakhna pasand karti hai. Aese mai bich se maang nikalkar dono taraf apne baalo ko khula rakhne se chehre par ek alag hi look dikhayi deta hai. Aap iss style ko function aur party mai bhi apna sakti hai.
 
Hairstyles in Hindi-Bich se Bane
 

Side Bun – Ek Taraf Juda

Baalo ki side bun hairstyle bhi log bahut pasand karte hai. Jab bhi aap apne aap ko anarkali ya saari pehankar traditional look dena chahti hai to yeh hairstyle apna sakti hai. Iska prayog aap ghar baithe bhi kar sakti hai. Ise banane ke liye brush ki madad se apne baalo ko piche kare aur piche ki taraf le aaye. Fir baalo ki sabhi lato ko lekar ek juda banaye.
 
Hairstyles in Hindi-Side Bun
 

Side Pony Style

Adhiktar ladkiya side pony hairstyle rakhna pasand karti hai. Iss hairstyle ko chhote baalo mai bhi rakha ja sakta hai. Yeh style ko aap yadi kisi shadi ke function ya anya kisi karykram mai rakhenge to aapka look aur bhi aakarshak najar aayega. Side pony hairstyle banane ke liye aap apne baalo ki sabhi lato ko upar ek sundar hair chip se baadh le aur baayi ya fir daayi taraf apne baalo ki puri lato ko rakh le.
 
Hairstyles in Hindi-Side Pony
 

Messy Bun

Aajkal log apne aap ko messy look dene ke liye baalo mai kisi bhi prakar ki style dena pasand kar rahe hai. Iss look ko aap suite, jeans ya fir kisi traditional wear ke sath bhi apna sakte hai. Aapne apni favorite actress ko bhi iss hairstyle ke sath dekha hoga. Isliye baalo ko dijiye messy bun look aur dikhiye khubsoorat.
 
Hairstyles in Hindi-Messy Bun
 

Kone Se Choti Banana

Choti banana ek paramparik hairstyle hota hai. Aksar choti lambe baal wali aur paramparik paridhan pehanne wali mahilaye karti hai. Iske alava fashion jagat mai bhi choti hairstyle ka apna alag mahatv hai. Aapne aksar lambe baal wali actress ko traditional look ke sath choti hairstyle ko apnate dekha hoga. Iske alava purani movies ya fir raja-maharajao ki movies mai mahilaye choti mai najar aati hai.
 
Side Hairstyles in Hindi

Upar aapne jana Hairstyles for Long Hair in Hindi. Yadi aapke baal bhi lambe hai aur aap apne baalo mai alag-alag hairstyle dena chahti hai to upar diye gaye tariko ko apnaiye aur dikhiye khubsoorat.

Loading...

You may also like...