Home Remedies to Increase Height: Kad Badhane Ke Upay

Bahut se log apne chote kad ke karan accha mehsus nahi karte. Unhe na keval logo ke sath uthne baithne mai sharmindagi mehsus hoti hai. Balki iss kad ke chalte kai bar career opportunity bhi unke hath se chali jati hai.

Kad na badhne ke kai karan hote hai jaise nutrients ki kami, physical activity na karna aadi. Kai bar to iske piche ka karan genetic bhi hota hai. Chote kad ke karan bahut se log mentally disturb bhi hote hai.

We kisi bhi samajik karyakram mai aana jana chod dete hai. Kyoki kuch log bhi kam kad walo ko chotu chotu karke chidhate hai. Lekin ham aapko bata de ki  kaun hamare bare mai kya sochta hai, hame iss baat par dhyan nahi dena hai.

Hame sakaratmak sochna hai, aur apni kami ko dur karne ke liye mehnat karna hai. Ab aapke man mai yeh sawal uthega ki aakhir kad kaise badhaya jaye. Isliye aaj ke lekh mai ham aapko Home Remedies to Increase Height bata rahe hai.
 

Home Remedies to Increase Height in Hindi: Aasan Gharelu Upay

 
Home Remedies to Increase Height in Hindi
 
Kuch logo ka kad genetically hi ucha hota hai. Wahi kuch logo ka kad kam hota hai, aur wo chahte hai ki unka kad kuch inch badh jaye. Isliye hi aaj ke lekh mai ham aapko Height Badhane Ke Tarike bata rahe hai.
 

Rojana Do Glass Dudh Piye

  • Yadi aap apne kad ko badhana chahte hai to rojana do glass dudh pijiye. Ek glass subah uthkar aur ek sone se pehle.
  • Dudh mai acchi matra mai calcium hota hai jo haddiyo ko majboot banane ke sath sath unke vikas mai sahayak hai.
  • Aap chahe to dudh se bane anya padarth jaise ki dahi, paneer, ghee aadi le sakte hai. Inn sabhi se aapko fayda milega.
  • Dudh ko sampurn aahar ke barabar mana jata hai. Yeh bahut hi jaruri Height Increase Food hai.

 

Sunday Ho Ya Monday Roj Khaye Ande

  • Yeh lines yu hi nahi banai gayi hai. Iss line se aap samajh sakte hai ki rojana ande khana aapke sharir ke liye kitna faydemand hota hoga.
  • Ande mai bharpur matra mai protein hota hai. Protein aapke pure sharir ke vikas mai mahatvapurn bhumika nibhata hai. Isse aapke baal bhi badhte hai.
  • To fir yadi aap wakai apna kad badhana chahte hai to aaj se hi ande ko apne subah ya sham ke nashte mai shamil karle. Roj do ande khana aapke liye kafi hoga.

 

Bina Vyayam Ke Nahi Milegi Safalta

  • Yadi aapke sharir ka vikas kam reh gaya hai to poshan ki kami ke sath sath iske piche ka ek karan sharirik gatividhi ka abhav bhi hai.
  • Rojana vyayam karna, outdoor sports khelna yeh sab growth hormone release karte hai jisse aapka kad badhne mai madad milti hai.
  • Kad badhane ke liye sabse accha koi vyayam hai to wo hai rassi kudna aur latakna. Yeh itna prabhavi hai ki yadi aap kad badhne ke vyayam ko lekar kisise salah mangenege to aapko iski ke bare mai bataya jayega.
  • Rojana kam se kam aadha ghanta rassi kude. Latakne ke liye ek din mai 6 set kare. Har set mai 10 second tak usi avastha mai bane rahe.

 

8-9 Ghante Ki Nind

  • Pehle ko keval badhe log hi vyast hua karte the lekin aaj ke samay mai to kam umra ke bacche bhi kafi vyast rehne lage hai.
  • Padhai ke chalte we raat raat tak jagte rehte hai. Lekin ham aapko bata de ki acche kad ke liye samay par sona aur kam se kam 8 ghante ki nind bahut jaruri hai.
  • Jab aap sote hai tab aapka sharir badhta hai. kyoki jab aap sote hai tab aapka sharir HGH, human growth hormone release karta hai.
  • Jagte wakt aapka dimag thaka hua rehta hai aur idhar udhar doudta rehta hai. Isliye sote wakt hi aapke sharir mai tissue regenerate hote hai.

 

Santulit Aahar

  • Aapke sharir ke vikas mai, aapka aahar bahut mahatvapurn bhumika nibhata hai. Santulit aahar aapke sharir mai growth hormone banne mai madad karte hai.
  • Aapko apne aahar mai hari sabjiya aur phalo ko shamil karna chahiye. Fast food aur oily khane se duri bana leni chahiye.
  • Vitamin d bhi muscles aur haddiyo ke vikas ke liye jaruri hai. Iske liye subah ki dhup mai baithe, fish oil capsule doctor se puch kar le sakte hai.

 
Upar aapne jana Home Remedies to Increase Height in Hindi. Yadi aapki umra abhi tak 21 nahi hui hai to aapke paas abhi bhi mouka hai apne kad ko badhane ka. Isliye bina demotivate huye apna prayas jari rakhe. Stress lene se bache kyoki isse na keval kai bimariya hoti hai balki hamare sharir ka vikas bhi rukta hai.

Loading...

You may also like...