Benefits of Aromatherapy in Hindi: Sehat aur Sondarya Ke Liye

Aromatherapy ek aushdhiya upchar prakriya hai. Iss prakriya ke antargat kai tarah ke poudho se tel nikala jata hai, fir uss tel ka prayog bimariyo ke upchar ke liye kiya jata hai. Iske atirikt iss therapy mai kai tarah ke tel, pani ki bhap, kuch sugandhit mishran aadi ka istemal malish aur nahane ke liye kiya jata hai. Khaskar isme pressure points ki massage ki jati hai jisse sharir ko aaram milta hai.

Aisa kaha jata hai ki aromatherapy lene se hamare sharir aur mastishk ki stithi mai kaafi sudhar aata hai. Iss upchar paddhati ka upyog kaafi purane samay se kiya ja raha hai. Isme istemal kiye jane wale tel ki khushboo, mastishk ke limbic system par asar dalti hai. Jiski wajah se endorphins, neurotransmitter va accha mehsus karwane wale rasayan utpanna hote hai.

Aajkal ki bhagdour bhari jindagi mai kisi ke pass khud ka khyal rakhne ka wakt nahi hota hai, jiske chalte tanav hona lajmi hai. Aromatherapy ki massage lene se aapka tanav kam hota hai. Sath hi yeh aapke rakt sanchaar mai bhi shayak hota hai.

Iss therapy mai hame kai tarah ki samasyao jaise twacha ka rukhapan, baalo ka girna, jhadna aadi se chutkara milta hai. Yeh twacha sambandhi kai rogo se bhi nijat dilati hai. Aaiye jante hai aur bhi kai Benefits of Aromatherapy in Hindi.

Benefits of Aromatherapy in Hindi: Sharir Ko Aaram De

Benefits of Aromatherapy in Hindi

Tanav-Chinta Dur Kare

Aaj ke samay mai tanav hona samanay si baat ho gai hai. Apni aur apne parivar ki jarurato ko pura karne ke liye, kaam ka itna bojh humare upar aa gaya hai ki humne apne bare mai sochna hi chhod diya hai. Jiski wajah se hamare sharir ko kai mansik aur sharirik samasyao se gujrana padta hai.

Adhik tanav lene se uccha raktchap, sugar jaisi bimariyo hamare sharir ko gher leti hai. Lekin aromatherapy ke madad se ham inn sabhi samasyao se apna bachav kar sakte hai. Aromatherapy mai aroma tel ka upyog kiya jata hai, jo tanav ko mukti dilane mai sahayak hota hai. Aroma tel mai mukhya tour par lavender tel, lemon tel aadi hote hai, jiski madad se aapko chidchidapan, tanav aur gussa aadi par kaafi had tak niyantran ho payega.

Aromatherapy mai pressure points ke dwara massage ki jati hai. Jisse aap ekdam aaramdayak mehsus karte hai. Pairo ke talvo aur hatho ki hatheli par pressure points ko takat se dabane par pure shari ko aaram milta hai.

You May Also Like:- Pranayam in Hindi: Tanav, Chinta Dur Karne mai Sahayak

 

Smaran Shakti Badhane mai Sahayak

Yadast kamjor hona bhi ek samasya hai, jo bujurgo mai bahut adhik pai jati hai. Ya kai logo ko accidental durghatna ke karan bhi memory chali jati hai. Ya kai bar short term memory bimari hone ke karan bhi kuch yad nahi rehta hai.

Aromatherapy ko lene se dheere dheere is samasya se bhi nijat mil jati hai. Aromatherapy, Alzheimer jaisi bimariyo se bachane mai bhi madadgar hai. Kuch kiye sodho mai paya gaya hai ki aromatherapy se kai marijo ki yaddasht ko wapis laya ja sakta hai. Kyuki iske tel se niklane wali sungandh mai aise rasayan hote hai jo dimag ko sakriya karne mai madad karte hai. Aromatherapy kisi bhi umra ke vayakti ko di ja sakti hai.

Depression Se Bachaye

Depression ek aisi bimari hai jiska koi ghav nahi dikhta, parnatu yeh ghav se bhi jayda dard dene wali pareshani hai. Ise sabse badi bimari mana ja sakta hai. Kyuki yeh insaan ko andar se kha jati hai. Yeh samasya sabse jayda nojawano mai bad rahi hai. Kyuki competition bahut badta ja raha hai, jiske wajah se naukri milna muskil hota ja raha hai.

Jis wajah se depression ki samasya bhi badti ja rahi hai. Lekin aromatherapy ke dwara aapke mood ko badla ja skta hai. Aromatherapy se depression ko kaafi prabhavi dhang se kam kiya ja sakta hai. Iski khasiyat yeh hai ki isme prakratik tour se depression ko dur kiya jata hai, isme kisi anti depressant ka prayo nahi hota hai.

Kyoki anti depressant ke kai sare side effect hote hai, jo aapko nind aane mai badha utpanna karte hai. Lekin iss upchar ko karne se aapko acchi nind aati hai. Iss upchar prakriya mai chamomile, chandan, lavender jaise tel istemal kiye jate hai, jo depression ko dur karne mai madad karte hai.

Sar Dard Kare Chhumantar

Har vyakti ko kabhi na kabhi sar dard hota hi hai. Sar dard ke kai sare karan ho sakte hai. Kai bar bukhe rehne ya fir computer ke samane jyada der kaam karne ki wajah se bhi sar dard ho jata hai. Iss dard se chutkara pane ke liye ham kai bar dawai khate hai, to kai bar kai chai, coffee ke cup pee jate hai.

Par kya aap jante hai ki aromatherapy iss samasya se nijat dilane ka sabse accha illaj hai, jo aapke sar dard ko aasani se chumantar kar deta hai. Lekin yadi sardard lagatar bane rahe to doctor se jarur paramarsh kar le. Waise to yeh samanya sar dard aur migraine ke dard ko thik karne ke liye faydemand hai. Isme gulab jal, chandal ka tel, pudina ka tel, aur eucalyptus tel ko milakar bane huye tel se sar par malish ki jati hai jisse sar dard chala jata hai.

Aromatherapy Benefits in Hindi

Rakt Sanchar Badhaye

Aroma ke essential oils ke guno mai rakt sanchaar ko badhane ki shamta hoti hai. Waise to aise bahut sare tel hai jo mastishk ko sakriya rakhne mai madad karte hai. Lekin iss therapy mai aap apne andar sakaratmak urja mehsus karte hai.

Aromatherapy sharir aur mastishk ko urjavaan banata hai. Kyuki yeh rakt ka behtar pravah karne mai shayak hota hai. Aromatherapy ki sabse acchi bat yeh ki iska koi bhi side effect nahi hai.

Sukund Bhari Nind Ke Liye Upyogi

Nind na aane ki bimari adhikatar logo mai hone lagi. Ise anidra kaha jata hai. Iska sabse bada mukhya karan hai khan-pan ki kami hona, kam ka bahut jyada bhar hona. Agar aapki nind aache se puri hogi to aap mansik rup se swasth mehsus karenge.

Nind acche se naa lene se dhire dhire sharirik aur mansik sthti khrab ho jati hai. Usi ke sath aap ke andar kaam karne ki urja bhi khatam hone lagti hai. Nind ke pure na hone ki wajah se aap tanav aur depression se bhi grasit ho jayenge. Aromatherapy ko lene ke bad aapko bahut sukun wali nind aayegi. Iske alawa jasmine, chamomile, naroli, aur chandan ke tel se bhi malish karne se nind bahut acche se aati hai.

You May Also Like:- Hair Spa at Home in Hindi: Ghar Par hi Kare Baalo ki Dekhbal

 

Sundarta Bhi Nikhare

Yeh therapy aapki twcha ko nikharne mai bhi sahayak hoti hai. Iss therapy se aapki twcha mai chamak aa jati hai. Tatha twcha mulayam ho jati hai. Twcha ki dekhbhal karte samay aap moisturize, body lotion ka upyog karte hai. Jisse aapki twacha se prakratik tel kam hota ja raha hai. Ya kai logo ki twacha pehle se hi rukhi aur bejaan bhi hoti hai. Aese mai iss therapy ke jariye aap lengleng, geranium, rose chamomile, benzene, eucalypts, lavender, jasmine sabhi ke tel ko ek sath milakar lagayenge to twacha ka rukha pan aur bejaan twacha hasti khelti twacha mai badal jayegi.

Fate huye honth kisi ko bhi pasand nahi aate hai. Agar aap apne hotho ko komal aur khubsurat banana chahte hai to aap chamomile, geranium, neroli, aur gulabjal ke tel ko ek sath milakar rakh le. Tatha roj rat ko laga kar so jaye. Aisa lagatar kuch dino tak karne se aapke hoth gulabi aur soft ho jayenge.

Har vyakti ki twacha alag hai. Isliye iss paddhati mai har twacha ke liye alag alag prakar ka tel istemal kiya jata hai. Agar kisi ki twacha sensitive hai to unke liye chamomile, gulab, neroli ka tel istemal kiya jata hai. Yadi a twacha normal hai to chandan ka tel, lavender oil ya gualab ke tel ko laga sakti hai. In sabhi telo ko aap milakar laga sakti hai. Ya chahe to ek parakar ke tel ka bhi upyog kar sakti hai.

Upar aapne jana Benefits of Aromatherapy in Hindi. Iss upchar prakiya ko jaankar aap ghar par ise kar sakte hai. Ya aap chahe to kisi bhi acche spa se bhi ise karwa sakte hai. Yeh aapki khubsoorti ke sath sath sehat ka bhi khayal rakhta hai. Yadi aap aroma tel se massage nahi karna chahte hai to aroma candles ka bhi prayog kar sakte hai. Yeh aapko bajar mai aasani se mil jayegi.

Loading...

You may also like...