Summer Tips in Hindi – Aapko Rakhe Thanda aur Cool

Mitro garmi ka season shuru ho gaya hai aur suraj apni prakhar kirano ki tivrata se hawa mai garmahat aur rukhepan ki bhi vradhi bhi kar raha hai. Garmio ki tapish sehat ko bahut jayada prabhavit karti hai. Iss mausam mai kai tarah ki swasthya samasyaye hume pareshan karne lagti hai.

Garmi mai jab taapmaan badne lagta hai to garmi se sath bimaria bhi badne lagti hai aur kuch rog aise hote hai. Jinse pidit logo ko iss mausam mai khastor par savdhaniya baratni chahiye. Aaj hum aapko garmi ke season mai hone wale rogo aur pareshaniyo se bachne ke liye kuch aasan tarike batayenge.

Iss mausam mai bade to apna dhyan phir bhi rakh lete hai lekin bacche apna bilkul dhyan nahi rakhte hai, jo unhe garmi ki lu ki chapet mai aakar apna swasth kharab ho jate hai. Adhiktar yah dekha bhi gaya hai ki bado ke sath-sath bacche bahut adhik bimar ho jate hai garmi ke season mai. Aaiye jante hai Summer Tips in Hindi.

 

Summer Tips in Hindi: Garmi ki Tapan Se Bachne Ke Upay

 

Summer Tips in Hindi

Mausam badalne ke sath hi aapko apni aadato tatha swasthya par adhik dhyan dena hota hai. Garmi mai garm aur tej gati se chalne wali hawao ko lu kaha jata hai. Mai, June aur July teen ye teen mahine bahut adhik garmi rahti hai, kyoki inn teeno mahino mai surya ka taapmaan shikhar par hota hai aur prathvi par surya ki kirne sidhe padti hai.

Garmi ke prakop ke karan yah tej hawaye aur shushk hone ke karan vatavaran ki name sokh leti hai. Grishma ritu mai shushk aur garm hawaye apni chapet mai le leti hai aur lu ka shikar hona padta hai. Swasthya visheshagya ke anusar, lu se bachne ke liye kuch baato ka dhayan rakhna bahut jaruri hai. Lu lagne ka mukhya karan garmi mai ghumna hai, kyoki garmi se vyakul vyakti ki sharirik shakti kam ho jati hai, twacha chalne lagti hai aur tan shithil ho jati hai. Yaha hum aapko garmi mai hone wali wali main 6 bimariyo ke bare mai vistar se bata rahe hai.

 

You May Also Like:- Summer Makeup Tips in Hindi: Garmiyo me Nikhare Twacha

 

Heat Stroke – Lu Lagna

Mausam ke adhik taapmaan aur garm hawao ka sidha asar humare nervous system par padta hai. Isse garmi se aksar Heat Stroke ki samasya ho jati hai, jise aam bhasha mail u kaha jata hai. Aaiye jante hai Symptoms of Heat Stroke

  1. Anavashayak thakan aur kamjori hone lagti hai.
  2. Sharir mai bahut tej dard rahta hai.
  3. Man thik nahi rahta hai aur ultiya bhi hone lagti hai.
  4. Taj bukhar ya sharir ka thanda pad jana.
  5. Nadi tej gati se chalne lagti hai.
  6. Chakkar aana aur behoshi

 

Heat Stroke Treatment: Jane Iske Bachav

  1. Garmi ke mausam mai sharir pasine se tar ho jata hai. Jiss karan dhire-dhire pani ki kami hone lagti hai, isliye taral padartho jaise – kacche aam ka pana, juice, chach, lassi, milk shake aur nimbu ki shikanji ka bharpur matra mai sevan karna chahiye. Jab sharir mai pani ki matra adhik hogi to bahar ke taapmaan ka adhik asar nahi hoga.
  2. Garmiyo mai humesha 15 se 15 din ka samay aisa hota hai jab taapmaan bahut hi adhik hota hai aur raat tak garm hawaye chalti rahti hai. Aise mai koshish kare ghar se bahar kam hi nikalna pade. Khaskar baccho ka vishesh dhyan rakhe.
  3. Isse bachav ke liye dhile, aaram dayak aur suti kapde pahne.
  4. Ghar se bahar nikalte samay cap ya chatri ka upyog kare.
  5. Bahar se ghar lotne par turant pani na piye, pasina acchi tarah sukh jane ke baad hi pani piye.

 

Skin Care – Twacha Sambandhi Samasyaye

Garmi ke mausam ka tej taapmaan aur pasine ki nami twacha ko bahut adhik nuksaan pahunchate hai. Iss mausam mai gaalo, thodi aur mathe par bhi dhoop se nishan pad jate hai. Sath hi sharir ke khule hisse mai tanning ki bhi pareshani ho jati hai. Aaiye jante hai Skin Care in Summer tips

  1. Tanning se bachne ke liye jaha tak sambhav ho dhup mai nikalne se bache aur acchi quality ke sunscream ka upyog kare tatha full slives wale kapde pahne.
  2. Iss mausam mai sharir par ghamoria bahut pareshan karti hai. Isse bachne ke liye nahane ke pani mai ek dhakkan colon milaye aur halke suti kapde pahne. Isse prabhvit sthan par barf se sikai bhi kar sakte hai.
  3. Iss mausam mai pasina adhik aane ki wajah se talwo ki skin mai fungal infection ki samasya bhi ho jati hai. Iss pareshani se bachne ke liye shoes pahnane se pahle powder ya acchi quality ka deodorant spre kar le.

 

Summer Tips

 

Urinary Tract Infection (UTI)

Adhik garmi hone ke karan sharir mai pani ki kami ho jati hai aur iss wajah se logo ko khaas tor par mahilao ko UTI ki samasya ho jati hai.

Urine mai jalan, andruni bhagi mai khujali aur dard, thoda-thoda urine discharge hona, peshab ka pila hona aur adhik durgandh aana, tej bukhar, kamjori aur thakan aadi urinary tract infection symptoms hai. Aaiye jante hai isse bachav ke tarike-

  1. Iss samasya se bachne ke liye bahar khule mai bikne wali chije na khaye, kyoki khoon mai hone wala infection urine tak pahunchkar UTI ka karan ban jata hai.
  2. Toilet aur innerwear ki safai ka pura dhyan rakhe. Khaskar public toilet ke istemal se pahle aur baad mai flush jarur kare.

 

You May Also Like:- Urinary Tract Infection in Hindi: Iske Lakshan, Karan aur Upchar

 

Low Blood Pressure – Nimn Rakt Chaap

Jin logo ko blood pressure ki samasya hai. Unn logo ko bhi iss mausam mai apna vishesh dhyan rakhna chahiye. Halanki yah jaruri nahi hai ki keval Low Blood Pressure logo ko hi samasya ho, high blood pressure wale logo ka bhi iss season mai rakhchap gir jata hai. Aankho ke samne andhera hona, Dil ka tej gati se dhakna, nadi ki gati ka dhima hona, sardard, behoshi tatha anavyashak thakan aur kamjori aadi iske samanya lakshan hai. Aaiye ab jante hai isse bachne ke upay-

  1. Namak ke sath taje phalo ke juice ka sevan kare.
  2. Kaju, badam ke sath-sath adhik calorie wale khadya padartho jaise dudh ke bane padarto ka upyog kare.
  3. Niyamit roop se din ke samay mai thoda aaram jarur karna chahiye.

 

Diarrhea – Dast Lagana

Garmio mai diarrhea hona bhi ek aam samasya hai. Bajar ka tala, chatpata khana tatha makhiyo aur bacteria ki wajah se aksar logo kiaanto mai infection ho jata hai. Jise diarrhea ya colitis ke naam se jana jata hai. Pat mai dard hona, dast lagna, ultiya, kamjori, bukhar, gala sukhna aadi diarrhea symptoms hai. Aaiye jante hai isse bachne ke tarike-

  1. Bajar mai khule mai bikne wali chijo khaskar kate huye phal, juice aadi se sevan se bachna chahiye.
  2. Agar kisi ko dadt ki shikayat ho to use adhik se adhik taral padartho jaise chach, lassi, nimbu ras, phalo ka juice aadi dena chahiye.
  3. Halka aur aasani se pahcne wala bhojan kahye. Iss baat ka bhi dhyan rakhe ki sharir mai pani ki kami na hone paye.
  4. Hare k ghante ke antral mai namak aur cini ko pani mai milakar jarur piye. Agar iske baad bhi aaram na mile to chikitsak se salah le kyoki sharir mai pani ki adhik kami janleva bhi ho sakti hai.

 

Migraine – Sar Dard

Jin logo ko migraine ki samasya hai unhe bhi garmiyo mai apna khas dhyan rakhna chahiye, kyoki garm tapmaan ise bada deta hai. Sar ke aadhe hisse mai tej dard aur ultiya aana, bhojan mai aruchi aur anidra iske samanya lakshan hai. Aaiye jante hai isse bachne ke upay-

  1. Apne room ke khidki aur darwajo par parde dalkar rakhe taki garm hawa andar na aap paye.
  2. Dhup mai ghar se bahar nikalte samay sunglasses pahne aur sar ko dhakkar rakhe.

 

Vyayam Kare

Aisa dekha gaya hai ki garmi ke mause mai log vyayam aur yoga ko bilkul chod dete hai, lekin aisa na kare. Vyayam subah jaldi uthkar kare jab adhik garmi na ho. Agar aap jaldi nahi uth pate hai to shaam ke samay bhi thandak ho jane par bhi kar sakte hai. Vyayam karte samay kafi matra mai pani piye.

Aaj aapne jana Summer tips in Hindi, taki aap garmi ki tej dhup wale mausam mai bhi apne aap ko tarotaja rakh aur swasth rakhe. Hume aapko kuch choti-choti lekin mahatvpurn baate batai hai, jo aapko inn sabhi rogo se bachakr rakhenge aur aap garmi ka anand le sakenge.

Loading...

You may also like...