Rules of Yoga in Hindi – Jane Ise Karne Ke Sahi Niyam

Aajkal ki galat jeevansheli ke chalte adhiktar log aswasth hai. Kai log motape aur bimariyo se ghire huye hai. Iske atirikt tanav ke chalte koi bhi sukhi nahi hai. Shayad yahi wajah hai ki yog logo ko bahut aakarshak kar raha hai.

Darahsal yog karne se tan, man aur aatma ka milan hota hai. Yeh aapko adhyatam ki taraf le jata hai jaha aapko adbhut sukh ki anubhuti hoti hai.

Sath hi yoga karne ke liye na hi aapko kisi bhi tarah ki mashino ki jarurat hoti hai na hi kisi aur chij ki. Ise koi bhi aur kisi bhi umra ka vyakti kar sakta hai. Jab aap yoga karte hai to aapki sari bimariya dur ho jati hai. Ise karne se sharir aur man tarotaja ho jata hai. Isse man ki chanchalta dur hoti hai. Isliye ab to pura vishva yog ke mahatav ko man gaya hai.

Jaisa ki ham sabhi jante hai ki har ek chij ke kuch niyam hote hai usi tarah yoga karne ke bhi kuch niyam hote hai. Inn niyamo ka palan karke hi aap iska fayda utha sakte hai. Aaiye aaj ke lekh mai jante hai Rules of Yoga in Hindi, swasth sharir ke liye.
 

Janiye Rules of Yoga in Hindi aur Banaye Yog Ko Asardar

 
Rules of Yoga in Hindi
 

Subah Jaldi Uthkar Kare

Yoga karne ka sabse accha aur sukhad samay subah ya sham ka hota hai. Yani jab aap yog kare to suryoday ke aadhe ghante pehle ya suryast ke ek ghante bad ka samay chune. Kyoki iss wakt vatavaran aur hawa shuddha hoti hai. Jab aap iss vatavaran mai yog karte hai to aapka man aur sharir dono tarotaja ho jata hai.
 

You May Also Like:- Pranayam in Hindi: Tanav, Chinta Dur Karne mai Sahayak

 

Yoga Karte Samay Dheeraj Rakhe

Yog hame kai tarah ke mansik fayde pahuchata hai. Isliye jab bhi aap yog karte hai iss bat ka dhyan rakhe ki yoga karte samay kabhi bhi jaldbaji na kare. Kyoki isse aap sirf sharirik rup se vyayam kar payege aapko mansik anubhuti nahi hogi.

Isliye yaad rakhe jab bhi yoga kare puri chetna ke sath aur dimag ko shant rakh kar kare to aap iska pura fayda utha payenge. Yoga karne se aapke pure sharir ke har ek aang ki kasarat ho jati hai.
 

Garbhavati Mahila Na Chune Kathin Aasan

Yoga during Pregnancy bahut faydemand hai. Lekin garbhavati mahila ko kabhi bhi yog ke kathin aasan nahi karna chahiye. Isse unke hone wale bacche ko pareshaniyao ka samna karna padh sakta hai. Isliye keval halke fulke aasano ka hi chayan kare.

Aur ham aapko yahi salah denge ki yadi aap garbhavati hai to keval yog guru ki dekhrekh mai hi yoga abhyas kare.
 

Shamta Ke Anusaar Kare

Yoga ka abhyas karte samay kuch log apni shamta se adhik yog karte hai. Unhe lagta hai aesa karke wo jald hi iska fayda paa lenge. Lekin aisa kuch nahi hai kyoki har vyakti ka sharir aur uski shamata alag alag hoti hai isliye yoga ka abhyas karte samay savdhani, prem aur dheeraj ka sahara lena jaruri hota hai.

Yadi aap aisa karenge to aap humesha kuch naya karne ko taiyar rahenge aur yoga ka pura fayda aapko milega. Isliye Yoga Rules and Regulations ke anusar, yog ko acche se karne ke liye thoda sanyam rakhe taaki aap sare aasan ko aache se kar paye.
 

Kuch Aadato Ko Badle

Yoga karte samay kuch aadto ko badalna aapke liye bahut faydemand hoga, Yadi aap yog ko lekar bahut gambheer hai to aapko aapki kuch bhojan sambandhit aadato ko badlna padega. Iske liye aapko aise bhojan ka sevan karna chahiye jo ki pachan mai jyada samay na le.

Iske atirikt hamesha santulit bhojan kare taaki aapke sharir par atirikt charbi na jam paye. Kyoki yadi aapne jyada vasa wala bhojan khaya to uske liye aapko jyada mehnat karna padegi warna atitikt bhojan aapke sharir par charbi ke rup mai jama ho jayega.
 

Chatai Ya Aasan Jarur Le

Jab bhi aap yog ka abhyas kare to ise aasan par hi kare. Kabhi bhi, bed ya direct jamin par ise na kare. Naram gadhi par yoga karne se aapko iska fayda nahi milega aur na hi yoga ke pose ko aap sahi tarah se kar payega. Isliye yog ko hamesha aasan par hi karna chahiye.
 

You May Also Like:- Health Benefits of Chanting Om – Janiye Iske Swasth Laabh

 

Pani Jarur Piye

Jab bhi aap yoga karna shuru karne wale hai uske thodi der pehle kam se kam se 2 se 3 glass pani piye taaki yoga karte samay jab sharir se pasina nikale to aapke sharir mai pani ki kami na ho aur sharir mai urja bani rahe.
 

Batchit Na Kare

Dhyan rakhe jab bhi aap yoga karne aasan par baithe tab batchit bilkul na kare tatha aapka dhyan sanso aur sharir ke jis ang par jor pad raha hai uss taraf hona chahiye. Jitna adhik se adhik aap ekagrata ke sath yoga karenge utna adhik aapko sharirik aur mansik rup se labh milega.
 

Inn Baato Ka Bhi Rakhe Khayal

  1. Agar aapko bukhar hai ya koi aur rog hai to yog na kare. Keval swasth vyakti hi yoga kar sakte hai. Kisi tarah ki pareshani hone par pehle yog shikshak se salah le.
  2. Shuruwat ke dino mai aasani se kiye jane wale aasano par hi gaur kare.
  3. Kisi bhi aasan ki pehli stithi se antim stithi aur antim stithi se pehli stithi mai wapas jane ki jaldi na kare.

 
Upar aapne jana Rules of Yoga in Hindi. Yadi aap bhi yog karte hai, ya karne ka soch rahe hai to upar di gayi baate ko dhyan se padhe aur samjhe.

Loading...

You may also like...