Uses and Benefits of Tulsi – Swasthya ke Liye Vardaan Hai Tulsi
Tulsi ko Hindu religious me pavitra mana gaya hai, isiliye har subah aur sham kai log iski puja karte hai. Scientists ne bhi tulsi ke plant par kai research kiye hai aur paya hai ki iske kai medicinal benefits bhi hai.
Uses and Benefits of Tulsi agar hum janane ki koshish kare to sabhi ko jaan pana bahut mushkil hai, kyuki ye uncountable hai. Tulsi (Ocimum tenuiflorum) me kai ese substance paye jate hai, jo ki health ke liye bahut important hai. Aaiye aaj hum is herb ke bare me detail me janane ki koshish karte hai.
You may also like:-Turmeric Health Benefits: Janiye Haldi ke Anmol Fayde
Tulsi ke Sevan se Sehat ko Milne Wale Kuch Adbhut Labh
Tulsi me kai rogo se ladane ki achuk kshmata hoti hai, ye kai bimariyo ko thik karane me karagar sabit hui hai.
Cold
Thand ke dino me agar aapko sardi ya khasi ho gayi hai, to tulsi ka kadha bhut hi labhdayak sabit ho sakta hai. Iska roz sevan aapko kuch hi dino me aaram dega.
Tulsi ka kadha banane ke liye aapko 1 cup pani, 15-20 tulsi ke patte, 1 inch adarak (ginger) chahiye. 1 cup pani me tulsi ke patted al de aur isko acche se garam kare, ab adarak ko bhi pis kar usme dal de. 15 minute tak acche se ubale, jab tak pani aadha na ho jaye. Ab ise cup me nikal kar pi le. 2-3 bar me hi aap apani sardi me sudhar dekh payenge.
Fever
Rainy season me malaria aur dengue hone ka khatara sabse adhik hota hai. Agar aap roz ki apni normal tea (Chay) me tulsi ke patte dalna start kar de to ye aapke bimar hone ke khatre ko bilkul kam kar sakta hai.
Mouth Infection
Agar aapke muh me koi infection ho gaya hai ya chaale ho gaye hai, to tulsi ke patte aapko aaram de sakte hai. Roz kuch tulsi ke patte chabana start kare ya chahe to patto ka paste banakar affected area pe laga le.
Headaches
Agar aapke sar me dard hai to app apane mathe par tulsi ka paste banakar laga sakte hai. Aap chahe to is paste me thoda chandan (Sandalwood) bhi mila sakte hai. Ye paste aapko thandak dene ke sath-sath dard se chutkara bhi dega.
Skin Problems
Agar aapko Daad ya khujali ki samsya hai, to aap apani skin pe tulsi ka ras laga sakte hai. Iski anti-bacterial property se aapko is samsya ko khatm karne me aasani hogi.
Sore Throat
Pani ke sath tulsi ke patte ubale aur is pani ko pi le, ye aapko instant aaram dega. Aap chahe to is pani se gargling bhi kar sakte hai.
Uses and Benefits of Tulsi anek hai, ye kai bimariyo ke liye ramband ilaaj he. Roz subah tulsi ke patte chabana, aapko kai bimariyo se dur aur swasthya rakhega.
Get more update about Benefits of Tulsi from Food.