Home Remedies for Itchy Ears, Kaan Mai Khujali Ke Upay
Kaan mai khujali pidadayak ho sakti hai, iske peeche sharirik swasth samasaya bhi ho sakti hai, agar aapke kaan mai bhi dard ho raha hai ya khujali hai to ghabraye nahi, iske liye aaj hum aapko batate hai, Home Remedies for Itchy Ears. Jisse aap iss pareshani se bach sakte hai.
Kaan prakrati ki taraf se manushya ko di gayi do khubsoorat cheezo mai se hai. Lekin agar iska sahi tarike se dekhbhaal na kiya jaye to kaan mai khujali ho sakti hai.
Kaan mai eczema or psoriasis ke karan bhi lagatar khujali ho sakti hai, barish ke mousam mai vatavarand ke karan kaan ke andar nami bad jati hai aur andar ki twacha distorte ho jati hai.
Saath hi kaan ke andar ki twacha se niklane vala wax us par jama ho jata hai aur infection ke karan vaha fungus ho jata hai. Khujali ke liye log Safety pin, machis ki tilli, all pin ya pencil ki nouk ka istemaal karte hai, jo ki bahut khatarnak hota hai. Inki jagah niche bataye gaye gharelu nuskhe apnaiye aur iss samsaya se bachiye.
Home Remedies for Itchy Ears ko Apna Kar Bachiye Kaan ki Khujli se
Kaan ki Safaai
Aksar kaan mai khujali ki samasya kaan ki theek prakaar se safaai na karne se hoti hai. kaan ki safaai kisi bhi unwanted stimulation ko rokne ka bhut accha rasta hai, niyamit safaai se swacchta bani rahti hai aur wax bhi jama nahi hota se hota hai.
You may also like:- Home Remedies for Ear Pain – Ear Pain ke Gharelu Nuskhe
Kaan ki Nami Se Chutkara Paye
Kaan mai nami vatavarn jivanu aur fungus ko viksit kar kaan mai khujali ka karan banati hai aur kaan mai nami aamtor par swimming karne vale logo mai jyada aa jati hai. Iss nami ko rokne ke liye, nahate ya swimming karte samay kaano mai pravesh hone vale pani ko rokiye.
Safed Sirka
Home Remedies For Itchy Ears ki baate kare to hum bol sakte hai, safed sirka bahut accha hota hai. Sankraman ka karan hone vali khujali aur kaan dard mai sirka bahut kaam aata hai. Safed pani aur safed sirka ko barabar matra mai mila le. Iski 2 bunde kaan mai din mai teen bar daalne se aaram milta hai.
Gargle aur Stream
Garam pani ki bhap lene aur gargle karne se bhi kaan ki khujali se chutkara mil jata hai. Iske alwa garam dudh mai ek chutki haldi powder milakar raat ke samay pine par aapko bahut jaldi fark dikhai dega.
Jaitun Ka Tel
Cotton ki madad se din mai teen baar jaitun ka tel kaan mai daliye. Jisse aapko bahut jaldi kaan ki khujali se aaram milenga. Aap chahe to iss oil mai lahasun ki ek kali ko acche se piskar milakar use kar sakte hai. Jisse aapko bahut fayda milenga.
Oil
Iss upay ke antargat nariyal tel aur kuch anya banspati oil aate hai, jinka istemaal aap khujali ke ilaj ke liye kar sakte hai. Kaan mai khadaya tel ki kuch bunde dalne se wax theeli hokar khujali bahar nikal jata hai. Jisse ki khujali ka ilaj hota hai.
Garam Pani ki Bottle
Kabhi bhi aapke kaan mai bahut jyada wax khujali ka karan hota hai. Iske liye ek garam pani ki bottle lagakar wax ko dur karne ka prayas kare. Isse utpann garmi wax pigal kar aasani se aapke kaan se bahar nikal jati hai. To hum sakte ha ki, yeh ek bahut accha Home Remedies For Itchy Ears hai.
Eucalyptus oil
Ek katori me ubala huya pani le, isme eucalyptus oil ki kuch bunde aur ek chammach vicks mila de. Ab ek towel se apne sar ko acchi tarah se cover kar lijiye aur sanas ke dwara Vapor ko jitna ho sake andar khiche, yeh iss upaye se kaan ki gandgi ko bahar nikal jati hai.
Namak se Saafai
Char ya panch chammcah namak ko halka sa gram kar lijiye. Ab iss gram namak ko saaf kapde mai acchi tarah se lapet le aur ise kaan ke prabhavit hisse meai2 se 5 minutes tak rakhe. Fir aapki kaan ki gandgi bahar nikal jayengi aur agar aapke kaan mai kisi prakaar ka dard hoga to vo khatam ho jayega.
Home Remedies for Itchy Ears, Kaan Ki Pareshani se Aaram
Vitamin C Ka Sevan
Apne bhojan mai adhik se adhik vitamin C yukt padarth jese nimbu, santre, papita aadhi phalo ka prayog kare. Iske niyamit roop se sevan se ears mai hone vale infection se chutkara milta hai. Jisse ki aapke kaan mai khujli bhi nahi hoti hai.
Adrak
Kaan mai jami huye gandagi ke karan agar kaan mai khujali ho rahi hai to. Adrak ka ras nikal kar uski kuch bunde kaan mai daliye. Isse aapko bahut aaram milenga.
Upar humne apako batye Home Remedies For Itchy Ears. To agar aap bhi kaan mai khujali ke karan pareshan hai, to aaj se hi inn tariko se apne kaano ko saaf kijiye aur iss dard se aaram paiye.
Lekin dhyaan rahe ki kaan mai jyada pareshani hone par turant doctor se sampark kare. Saath hi doctor ki salah lekar iska proper treatment karvaiye aur hamesha swasth rahiye.
Itchy Ears se sambhandhit adhik jankari ke liye dekhiye Home Remedies.