How to Stop Hair Fall- Baalo ko Jhadne se Rokiye

Duniya ke lakho log baalo jhadne ki samsay se pareshan hai. Vah chahe purush ho ya mahila, dono hi iske shikar bana gaye hai. Jise ke chalte vo  hamesha problem mai rahte hai.

To chaliye aaj hum aapko batate hai, How to Stop Hair Fall in Hindi. Jiski madad se aap apne baalo ko jhadne se hamesha ke liye rok sakte hai aur hamesha ke liye sundar dikhai sakte hai.

Lekin dhyan rahe ki baalo ke jhadna sirf bahari karano se nahi hota hai. Iske liye hamare sharir ko andar se bhi swasth hona chahiye. Tabhi hum iss samasya se nijaat pa sakte hai.

Sabse badhi baat hoti ki aap jab bhi kisi tips ko apnaye to ek baar kisi expert ki salah jarur lijiye. Kyoki agar koi cheez bahut acchi hai, lekin jaruri nahi ki vo sabhi ko suit kare. Aur dhyan rahe ki, Sabse pahle baalo ke jhadne ke karno ko pahchnaiye. Fir unka treatment kijiye.

Aapke baalo ki samasya ke liye humne iss article mai bahut se bemisaal tips bataiye hai. Lekin dhyan rahe ki aache result ke liye aapko inn tips ko niyamit tor par apnana hoga.

How To Stop Hair Fall

How To Stop Hair Fall ke Dwara Bachaiye Apne Girte Baalo ko

Vyayam

Baalo ke jhadne ka mukhaye karan sharirik gatividhiya ki kami hai. Agar aap kisi bhi roop mai kasrat ya vyayam  nahi karte hai to aapke andar rakt sanchar kamjor pad jata hai, jski vajah se romvhidra,  jaha se baal ugte hai us jagah par poshtik tatav nahi mil pata hata. Kyoki sahi rakt sanchar na hone ki vajah se khun sahi matra mai sara jagah tak nahi pahuchta aur natiza baalo ka kamjor hokar jhadna . Isliye apne baalo ko girne se rokane ke liye rozana 45 minutes tak vyayam kare. Aap yoga ke dwara bhi baalo ki samasya se chutkara pa sakte hai.

You may also like:- Yoga for Hair Loss, Apne Baal Jhadne se Bachaiye

Pani ka Sevan

Baalo ko grine se rokane ke liye pani ki bahut aham bhimika hoti hai. To kyo na khub sara pani pi kar hair loss problem se chutkara pa liye jaye. Dhyan rahe pani sirf tab na piye jab aapko pyaas lage. Har 2 se teen ghante mai pani ka sevan karte hai. Agar aap aisa nahi karenge to aapke baalo ko girne se koi nahi bacha sakta hai.

Sahi Aahar

Kai logo mai baal jhadne ki shikayat sahi aahar na lene ke karan hoti hai. Aise mai aapko poshtik aahar lena chahiye. Na ki junk food ka sevan karna chahiye. Iske liye aapke aahra mai iron Vitamin c, protein, jink, copper vimain b complex se yukt bhojan ka sevan karan chahiye. Jisse aap ko sampund poshan mileg tatha aapke baal ka jhadna bhi band ho jayenge.

Tips to Stop Hair Fall se Sambhaliye Apne Anmol Baalo ko

Tips to Stop Hair Fall

Vitamin ki Bhumika

How to Stop Hair Fall ki baat kare to vitamin ka naam sabse pahle aata hai. Vese baalo ko jhadne se rokane ke liye vitamin A, B, C, D,  E aur D sabhi ka lena chaaiye. Lekin in sab mai Vitamin D ki  bahut aham bhumika hoti hai. Jiske liye aapko suraj ki kirno ki jarurat hoti hai. Vimain D baalo ki majbuti ke liye bahut jaruri hota hai. Iske liye 15 minutes ke liye rozana suraj ki kirno ke samne jaye. Isse aapke sharir mai calcium aur iron apne aap avshoshit ho jata hai. Lekin agar bahut jayad garmi ho to aap apni sar ki twacha ko suraj ki kirno se bacha kra rakhe.  Isliye behtar  hoga agar app subah ki dhup ka anand uthaye.

You may also like:- Vitamins for Hair Growth, a Holistic Approach for Healthy Tresses

Sharab aur Smoking se Dur Rahe

Baalo ke girne ki ek aur vajah smoking bhi hai. Smoking se atherosclerosis jesi bimari ke hone ka khatra rahta hai. Jisse aapke pure sharir ke rakt sanchar mai rukavaat paida hoti hai.  Atherosclerosis ki avstha mai aapke sar ki twach tak jaruri poshak tatav nahi pahuch pate jis ke chalte aapke baal ke jhadne lagte hai. Smoking ki tarah sharab bhi aapko bahut nuksaan pahuchati hai. Yeh aapke liver ko kharab kar deti hai. Saath hi aapke sharir mai aise vishele padarth paida karti hai, jo ki aapke baalo ke liye bahut hanikarak hote hai. Sharab aap niyantrit  matra mai piye, behtar hoga agar aap sharab ko haath hi na lagaye.

Koi Chemical ke Use se Bache

Aksar log TV par ya kisi advertisement mai dekh kar bahut se rasaynic padartho ka istemaal karte hai. Jsike chalte unke baal ko jhadna to nahi rukta  balki baalo ki samasya aur badh jati hai. Bina pramarsh ke aise cheezo ka istemaal kabhi na kare.

Hair Mask

Jise tarah aap apne sharir ki twcha ka khayal rakhte hai, vese hi aapko apne sar ki twacha ka bhi dhyan rakhna chahiye. Iske liye aap niyamit tor par hair mask lagaiye. Aise mai accha hoga agar aap home made hair mask lagye. Jisse ki aapki skin ko koi nuksaan bi nahi hoga. Saath hi kisi expert ki salah ke according koi aisa hair mask ka chayan kare, jo aapke baalo ke liye sahi ho aur use niyamit tor par lagaiye.

You may also like :- Homemade Hair Care Tips in Hindi Dwara Paiye Sundar Baal

 Aache Shampoo aur Conditioner

Baalo ko saaf rakhana bahut jaruri hota hai. Jisske liye aache shampoo aur conditioner ka  selection bhi bahut jaruri hai. Aisa mai accha hoag agar aap aapne baalo ke according shampoo aur conditioner ka istemaal kare. Kyoki sab logo ki skin alag hoti hai. Jiske according shampoo aur conditioner ko select karna chahiye. Hamesha dhyan rahe ki apne baalo ke PH level ke according shampoo hi kharide. Aap chahe to iske liye doctor se pramarsh le sakti hai. To hum sakte hai ki How to Stop Hair Fall mai shampoo aur conditioner ki bahut aham bhumika hai.

Tanav se Bache

Halaki rozana ke kaamkazi tanav ka itna asar nahi hota hai. Par dhyan rahe ki bhavnatak tanav se bache. Isse aapke baal bahut jyada jhadte hai. Tanav hone par aap chahe to yoga aur dhyan karke apne baalo ko jhadne se rok sakte hai.

Supplement ka Sevan

Agar aapke baalo bahut adhik jhad rahe to aap doctor ke pramarsh ke saath kuch aache supplement ka sevna kar sakte hai. Ise bhi aapke baal jhadna band ho sakte hai. Par dhyan rahe ki khud se koi dawa ka sevan na kare kisi hair specialist ki salah ke baad hi supplement ka sevna kare.

Herb ka Upyog

Aap supplement ke saath-saath kuch prakritik herb ka bhi use kar sakte hai. Jese  rosemary,  peppermint, aloe vera, burdock, ginko biloba, saw palmetto,  panax ginseng aadi ka istemaal kar sakte hai. Iske liye bhi aap apni sar ki twacha ke according  inn natural cheezo ka istemaal kare. Jese ki humne pahle bhi bataya ki jaruri nahi ki har cheez har vyakti ko suit ho. Isliye in herb ke use se pahle salahjarur le.

Upar aapne jana How to Stop Hair Fall in Hindi se judi kuch khas baate. To bas der kis baat ki aaj se hi inn tariko ke dwara apne jhadte baalo ko rokiye aur hamesha sundar rahiye.

Hair Care se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Beauty Tips in Hindi

Loading...

You may also like...