Foods to Increase Breast Milk: Stan ka Doodh Badaye

Maa ke liye apne bacche ko pehli baar stanpan karan avismarniya aur mamata se bhara ahsaas hota hai. Shishu ke liye maa ka doodh amrat se kam nahi hota hai. Maa ka pehla doodh bacche ko jivan bhar kai bimariyo se ladne ki shakti bhi pradan karta hai. Aaiye jante hai Foods to Increase Breast Milk ke bare mai kuch jaruri baate.

Yahi nahi stan pan se hi maa aur shishu ka rishta majboot banta hai. Lekin kai baar maa ke stano mai doodh ki kami ho jati hai aur bacche aur maa dono ke liye ek gambhir stithi paida ho jati hai. Isike maddhenazar iss article mai hum aapko bata rahe hai stano mai prakritik roop se doodh badane ke karagar upay.

Janm ke 1 ghante tak navjaat shishu mai stanpan karne ki tivra iccha hoti hai. Baad mai use neend aane lagti hai. Isiliye janm ke baad jitni jaldi maa aur bacche ko doodh pilana shuru kar de, utna accha hota hai. Aamtour par janm ke 45 minutes ke andar swasth bacche ko stanpan shuru karwa dena chahiye.

Shalya chikitsa dwara utpann huye baccho se bhi mata par baihoshi ki dawa ka asar samapt hote hi stanpan shuru karwa dena chahiye. Janm ke turant baad baccho ko maa ka doodh pilane se stanpan ki prakriya thik ho jati hai.

Stanpan ki safalta mai shuru ke kuch dino ke prayas ka bada yogdaan rehta hai. Lekin jab kisi maa ke stan mai doodh ka paryapt utpadan nahi hota to yeh maa aur shishu dono ke liye kasht dene wali stithi hoti hai.

Aisi stithi hone par ghabraye nahi kyuki aapke doodh ka utpadan badana sambhav hai aur isliye liye aapko jokhim bhari dawai lena bhi jaruri nahi hai.

Kyuki stan mai doodh ki matra mai ijafa karne ke liye kuch surakshit aur prakritik tarike bhi apnaye ja sakte hai. Breast Milk ke ghatne ke kai karan ho sakte hai jese tanav, dehydration, anidra tatha kharab khan pan aadi.

Foods to Increase Breast Milk: Inn Khadya Padarth se Badaye Stan ka Doodh

Breastfeeding har mahila ke jivan ka aham hissa hai. To aaiye jante hai Foods to Increase Breast Milk ke baar mai jaruri tathya:

  • Methi: Isme iron, vitamin, calcium aur mineral paye jate hai. Methi ka prayog kai purane saalo se kiya aata jar aha hai aur research bhi iss baat se sehmat hai. Lekinise jyada na khaye warna dehydration bhi ho sakta hai. Methi ko kaccha khane ki jagah uski sabji bana kar khaye.
  • Tulsi: Isko khane se na kewal bimatiya thik ki jati hai balki breast milk bhi badaya ja skata hai. Iske andar Vitamin K paya jata hai jo breast milk ko badata hai. Aap ise soup mai ya phir kaccha shahad ke saath kha sakti hai.

Foods to Increase Breast Milk

  • Karela: Iske andar vitamin aur mineral acchi matra mai paya jata hai, jisse breast milk badne ki kshamta bad jati hai. Yeh stri mai lactation sahi karta hai. Karela banate waqt halke masalo ka prayog kare jisse yeh aasani se hajam ho sake.
  • Lahsun: Iske khane se bhi doodh badne ki kshamta badti hai. Kaccha lahsun khane se accha hoga ki aap use meat, curry, sabji ya daal mai dal kar pakaye. Agar aap lahsun ko rozana khana shuru karegi to yeh aapko jarur fayda pahuchayga.
  • Milk Product: Aisi charbi jo ki ghee, butter ya tel se milti ho, wah breast milk ko badane mai bahut karagar hoti hai. Yeh sharir ko bahut shakti pradan karti hai. Aap inhe chawal ya roti ke saath bhi prayog kar sakti hai. Chahe to aap sabji banate waqt bhi ek chamacch ghee saal kar use paka sakti hai.
  • Mewa: Badam aur kaaju jese mewe breast milk ko badane mai sahayak hote hai. Iske alawa yeh vitamin, mineral aur protein mai kafi rich hota hai. Accha hoga ki aap inhe kaccha hi khaye.

You may also like:- Best Tips for How to Reduce Breast Size Naturally

Foods to Increase Breast Milk: Kuch Anya Tariko se Badaye Doodh

  • Doodh Pilate Samay Stan ko Badalte Rahe:

    Shishu ko stanpan karate samay stan ko barabar badalti rahe. Isse sharir mai doodh utpadan badega. Saath hi aisa karne se aapka baccha bhi aaram se stanpan kar sakega. Darasal isse dono stan khali hote rahege aur jyada doodh ka utpadan hota hai. Ek baar stanpan karate samay kam se kam 2 se 3 baar stan badale.

  • Stanpan Karate Samay Stan Par Dabav Dale:

    Stanpan karate samay apne stan ko dabaye. Isse bhi kam doodh utpadan ki nirasha se chutkara milega. Isse ek baar stanpan karane par stan puri tarah se khali ho jata hai.

  • Poshtik Bhojan Kare:

    Swasth aur poshtik bhojan karne se maa ke sharir mai doodh ki matra thik ho jati hai. Agar aap pehli baar maa bani hai to tongue ke swad ko thode dino ke liye alag kar apne bacche ke bare mai soche. Arthat jyada se jyada swasth bhojan khaye. Sharir mai doodh utpadan ke liye acche khanpan ki bahut avashyakta hoti hai. Jyada oily bhojan na kare aur samay se khaye.

  • Saunf ka Sevan Kare:

    Aisa mana jata hai ki saunf ka sevan pet saaf karne wala, heart ko shakti dene wala, ghav, ulti, dust, khansi, bukhar, vayu vikaar, pet ke sabhi rog (Apach, kabj), loose motion aur stano mai se doodh ki kami ko dur karta hai. Isliye aap stan mai doodh ki matra ko thik karne ke liye saunf ka sevan kar sakti hai.

Yadi  kisi maa ko koi arthik aur ghar sambandhi chinta rehti hai ya phir jhagde ya pariwarik kalah bane rehne ki wajah se wah har samay pareshan, chid chidi aur uttejit rehti hai. To uske ang-prayango mai sthai roop se tanav bana rehta hai. Jiss karan stano mai doodh ki matra kam ho jati hai.

Aamtour par aisi maa ko doodh samay se pehle sukhne lagta hai. Iske alawa chahe jesi bhi stithi ho, jab tak doodh aana purnatah band na ho jaye, tab tak doodh utpann karne wali vibhinn baazaru aushadhiyo ka sevan nahi karna chahiye.

Upar aapne jane Foods to Increase Breast Milk ke bare mai kuch khaas baate. To agar aap bhi aisi hi koi pareshani se grasit hai to aaj se hi inn khadya padarth ka sevan karna shuru kar de aur banaiye khud ko aur aapke bacche ko swasth.

Loading...

You may also like...