Sperm (Shukranu) Donor ki Madad se Kar Sakte Hai Garbh Dharan
Aaj-kal sperm donor ke jariye infertility se jhujh rahe dampattiyo ke liye baccha paida karna badi samasya nahi reh gayi hai. Sperm Donor ki madad se mahilaye aasani se garbh dharan kar sakti hai. Iss taknik se kisi bhi aadmi ke sperm se mahilaye badi aasani se pregnant ho sakti ahi. Aaiye jante hai Sperm Donor ki madad se kese hota hai garbh dharan.
Sperm donation ek aisa tarika hai jiske jariye aadmi apne shukranu ko unn dampati ko deta hai jo kisi karan se baccha paida nahi kar pate hai. Ek healthy sperm, doctor dwara unn mahilaye ko garbhvati banana mai madadgar sabit hota hai jo maa banana ki aas kho chuki hai.
Lekin sperm aur uske donor ka chunav karne se pehle kai jaruri pahaluo par gor kiya jata hai. Isliye sperm donation ke jariye garbh dharan karne se pehle donor ke bare mai jankari lena accha hota hai.
Halaki donor record mai sperm dene wale vyakti ka naam nahi hota lekin uski medical history se aap uske bare mai jaan sakte hai. Iske liye doctor ki salah avashyak lijiye. Aaiye jante hai iske bare mai aur bhi bahut si jaruri jaankari.
You may also like:- Increase Sperm Count: Shukranu Badane ke Gharelu Nuskhe
Sperm Donation ki Madad se Pregnant Hona Huya Aasan
-
Kese Milta Hai Sperm:
Sabse pehle frozen Sperm hasil kiya jate hai. Iske liye aap kisi sperm bank se sampark kar sakte hai. Aapka koi purush mitra bhi isme sahayog kar sakta hai. Aapka doctor ise viryaropan ke liye frozen kar dega. Agar aapko sperm bank ke bare mai jankari na ho to aap apne doctor se iss bare mai jankari hasil kar sakte hai.
-
Sperm Test:
Sperm donor se sperm milne ke baad iska prashikshan acche se karwa lijiye. Iske liye uski gatishilta, uska aakar aur usme shukranu ki sankhya aadi ki jaanch ki jati hai. Agar shukranu inn sab mapdando par khara nahi utarta to uske liye nischen ki sambhavna kam hoti hai.
-
Kese Hota Hai Viryaropan:
Safal garbhadhan ke liye masik dharm chakra ka palan kiya jata hai. Iske liye sharir ka basal temperature (Sharir ka tapman periods ke douran jyada hota hai) dhyan mai rakhna jaruri hai. Jiss din aap hospital jayege uss din subah koi kaam na kare.
-
Samanya Test Karwaye:
Periods ke douran kuch samanya test avashya kara le. Samanya test jese- khoon ki janch, sugar ki janch, anemia ki janch aadi karaye. Iske alawa ultra sound ke jariye dimb ke paripakwata ki bhi janch kar le nahi to nisechan mai dikkat hoti hai.
-
Fertilize Karana:
Iske baad iss taknik ke jariye purush ke sperm (Shukranu) aur mahila ke ande ko bahar lab mai fertilize kiya jata hai. Nisechan ke baad sirf ek sperm ko nail ke jariye and eke bichobich mahila ke garbhashay mai daal diya jata hai aur mahila garbhvati ho jati hai.
Sperm Donor se Sperm Lene se Pehle Inn Baato ko Dhyaan Mai Rakhe
Doctor se Paramarsh Le:
Kisi bhi sperm donation center mai jane se pehle sabse pehle apni gynecologist se paramarsh jarur le le. Jab tak aapka doctor uss donor ki sahi tarah se janch na kar le tab tak aap sperm na le. Agar sperm donor kisi bimari se grast hai to baad mai yeh samasya shishu ko bhi ho sakti hai. Isliye iski jankari pehle kar le.
Uchit Sperm Bank Chune:
Kabhi bhi news paper ya hoarding par diye gaye sperm bank ke prachar ko dekh kar waha jane ka turant faisla na kare. Registered aur professional sperm bank hi acchi quality ke sperm de sakte hai. Saath hi iss baat ko bhi sunischit kar lijiye ki aap fertilization humesha experts dwara hi ho.
You may also like:- Pregnancy Tips in Hindi: Banaye Maa aur Bacche ko Swasth
Donor ka Record:
Jab bhi aap sperm donor ke liye jaye to donor ka record check karna kabhi na bhule. Har sperm bank ke pass donor ki full detail hoti hai. Iske alawa wah log donor ke sharir ki puri tarah se janch karte hai ki kahi wah kisi bimari ya phir youn sambandhi bimari se to nahi pidit hai. Yaha tak ki iss record mai donor ke mata-pita ke khan-daan ka bhi bureau hota hai.
RH Compatibility:
Pregnancy ke liye blood group ka bhi bahut bada role hota hai. Yeh RH Compatibility factor humare khoon mai hota hai jo antigen yani ki ek prakar ki protein hota hai. Jab ek negative bloodgroup iss RH factor ke sampark mai aata hai to uski immune system anti body paida karne lagit hai jo ki uske khilaaf ladne lagti hai. Isse miscarriage ho jata hai isliye sperm donor ke blood group par adhik dhyan de.
Sperm Donor ke jariye pregnant hone mai koi dikkat nahi hai aur iska fayda kai damppatiyo ne uthaya hai. Lekin sperm donor ke jariye pregnant hone se pehle jaruri jankari ikkatha kar le.
Get more details about Sperm (Shukranu) Donation from Sex & Love.