Janiye Foods to Eat to Get Pregnant se Judhe Kuch Tathye

How to get pregnant in Hindi – Maa banana har istri ke liye sabse adhik kimti aur man chaha pal hota hai. Parantu jab kisi istri ko garbhvati hone mai mushakil hoti hai, to iske karan vah tanavgrast ho sakti hai. Saath hi vah apne aap ko bahut kamjor mahsus karti hai.

Jiske liye chaliye aaj iss atical mai hum aapko batate hai, Foods to Eat to Get Pregnant. Jisse har mahila apne maa banane ke sapne ko aasnai se pura karke ek khushhal jivan bita sakti hai aur hamesha swasth bhi rah sakti hai.

Halaki mahilao mai banjhpan ke kai karano  ho sakte hai. Parntu aisa mante hai ki ucchit aahra sahi tarike se lena bhi prabhavi hota hai. Isse unki yhe samasya hamesha ke liye khatam hojati aur vo ek swasth garbhavastha ko enjoy kar sakti hai.

Vese khadya padarth na keval sharir mai hormone ko balance karte hai balki parjaan kshamta ko bhi badhate hai. Saath hi mahilao mai garbhavti hone ki sambhavna ko bhi badhate hai. Isliye aapko niyamit roop se sahi aahar lena bahut jaruri hota hai.

Hamare aahar aur poshan vishagye Neha Sanvalak ne yaha kuch khadya padarth bataye gaye hai. Jinhe har us mahila ko apne aahar mai shamil karna chahiye jo grabhvati hone ki yojna bana rahi hai.

Foods to Eat To Get Pregnant - How to get pregnant in hindi

Foods to Eat to Get Pregnant Dwara Paiye Swasth Garbhavastha ka Ahsaas

  • Sabjiya – Foods to Eat to Get Pregnant ki baat kare to green vegetable ka naam sabse pahle aata hai.  Khadya padarth jo mahilao mai parjaan kshamta badhte hai. Isliye agar aap grabh  dharan karne ja rahi hai, to acche aahar ka sevan jarur kijiye. Jis ke liye hari pattedar sabjiya bahut jaruri hoti hai. Inn sabjiya mai folic acid aur iron prachur matra mai hote hai. Jo un mahilao ke liye bahut adhik laabhdayak hai, jo pregnant hone ki yojna bana rahi hai. Ek majbut endometrial lining ke vikas ke saath-saath iron zygote ko garbhashaya se jodne mai madad karta hai.
  • Broccoli – Ise kuch samay pahle take ek videshi khadya padarth mana jata tha. Yeh un mahilao ke liye accha hotahai , jo garbhvati hone ki yojna bana rahi hai. Isme folic acid, iron aur anye poshak tatav hote hai. Saath hi isne vitamin bhi prachur matra mai hote hai. Jisse aapko bahut fayda milta hai. Saath hi ek acche aahr ke sath Pregnancy Tips ko bhi apana chahiye.
  • Khatte Phal – Vah mahilaye jo garbhvati hona chahti hai, unke aahar mai yeh phal hona bahut jarurihota hai. Inn phalo mai vitamin C ucch matra mai hota hai, jo andashay ko nikalne mai sahayk hota hai.
  • Kela – Vah mahilaye jinka masik chakra niyamit hota hai unme bhanjhpan aur garbhashaya se sambhandhit samasya ki sambhavna kam hoti hai. Aur vah mahilaye jo garbhashaya ki samsay se ghiri huye hai aur  pregnant honi ki yojna bana rahi hai. Unko kela khane ki salah di jati hai. Kyoki isme vitamin B6 prachur matra mai paya jata hai. Saath hi niyamit masik chakar ke liye bhi yeh vitamin bahut jaruri hota hai.
  • Ananas – Vese sharir mai magnesium ke istar ke kam hone ke karan bhi bhanjhpan ki samasya dekhi gai hai. Isliye ananas mai magnesium parchur matra mai hota hai. Yeh khanij kai prakaar ke fertility hormone ke nirman mai mahatvpun bhumika nibhata hai. To das aaj se hi iss ka sevan sharur kar do.
  •  Salmon – Yadi aap machhali khana pasand karte hai to Salmon sabse aacha hota hai. Fertility capacity ko badhane ke liye khadya padarth mai omega 3 aur fatty acid bahut jarauri hota hai, Jo mahilao ke liye bahut fayedemand bhi hota hai.

How to get Pregnant in Hindi – Foods to Eat During Pregnantfoods that help you get pregnant - How to get Pregnant in Hindi

  • Oysters – Yeh ek swadist khadya padarth jise garbhvati hone vali hai bane vali mahilao ko apne aahar mai jaur shamil karna chahiye. Iss samudri padarth mai prachur matra mai zinc hota hai, jo egg banane mai bahut madad karta hai. Tatha iss parkaar aapki fertility bhi badhti hai. To hum bol sakte hai ki, yeh ek accha Foods to Eat to Get Pregnant hai.
  • Egg – Fertility ko badhne ke liye anda ek bahut asardar khadya padarth hai. Isme folic caid, omega 3 fatty aur vitamin D Parachur matra tatha samaan matra mai paya jata hai. Jo un mahilao ke liye pund aahar hota hai jo ki, pregnant hone ki hona chahti hai.
  • Shell Fish – Shell Fish ek anye swadist khadya padarth hai, jisme vitamin B 12 prachur matra mai paya jata hai, jo sharir mai estrogen ke ucchit istar ko banaye rakhne aur fertilized egg ko implantation ke liye bahut jaruri hota hai.
  • Haldi – Jab bhi aap khana banye to  swad badhane ke liye tatha swasth garbhavastha ke liye usme haldi jarur milaiye. Antioxidant se bharpur is masaale ke baare mai bahut kam log jante hai hai ki, iss masaale mai prajna kshmata badhane ke bahut acche gun paye jate hai.
  • Mirchi – Teekhe padarth jese mirchi ko apne aahra mai shamil kare kyoki yeh padarth aapko prajna kshmata ko badhate hai. Yeh aapke sharir mai rakt pravah ko tez tatha aapki prajna tantra mai swach rakt pahuchate hai. Iske alawa mirchi andorfins ke nirman ko badhati hai. Jisse sharir ko aaram milta hai hai tatha sharir ki prajna kshmata bhi badhati hai.
  • Lahsun – Jab aap aise khadya padarth ki baat aati hai, jinme fertility badhane vale poshak tatav prachur matra mai ho to lahsun ka naam is suchi mai sabse pahle aata hai. Aapke rasoighar mai paye jane vale is ghatak mai selenium naam ka khanij paya jata hai. Jo aapke maa banana ke sapne ko jaldi hi pura karte hai.
  • Kaddu ke Beej – Garbhvati hone ki sambhavna banane vali mahilao ke liye kaddu ke beez bahut laabhdayak hote hai kyoki isme sase poshak tatav paye jate hai, jo aapko swasth pregnancy ka avsar deta hai. Halaki inn beezo mai zink hota hai, jo fetus avstha mai koshikao vibhajan mai jaruri hota hai.
  • Alsi – Alsi mai omega 3 fatty acid  tatha lignins prachur matra mai hota hai jo mahilao mai fertility badhane mai jaruri hota hai. Lignins Fibroids ke aakar ko kam karne mai sahayk hota hai tatha iss prakaar vah prajann kshamta ko badhate hai.
  • Cod  liver oil – Omega 3 fatty acid swasth fats hote hai, jo mahilao mai kai prakaar ki swasth samasya ki roktham karne aur samanye vikas mai sahayk hota hai. Cod  liver oil mai omega 3 fatty acid prachur matra mai hota hai , jo sharir mai prajann sambhandhit hormone ko niyamit karta hai. Jisse vah ek swasth garbhavastha ko jee sakti hai.

Upar aapne jane How Get Pregnant in Hindi. To bas aaj se hi inn khadya padarth ko apne aahar mai shamil kijiye aur apne maa banane ke sapne ko pura kijiye.

Loading...

You may also like...