Bay Leaf Benefits in Hindi: Kai Guno Se Bharpur Tej Patta
Bay Leaf, tej patte ka angreji naam hai. Yeh ek tarah ka garam masala hai, jiska upyog khane mai khusbu tatha swad badhane ke liye kiya jata hai. Iska istemal jyadatar bhartiya khano mai kiya jata hai. Yeh aapke khane mai jaan daal deta hai.
Yadi aapne ab tak iska istemal nahi kiya hai to ek bar aap ya to masale wali sabji ya to veg biryani ko ek bar tej patta dalkar banaye aur ek bar bina dale banaye. Aap khud hi swad mai antar samajh jayenge aur iska istemal karna shuru kar denge.
Ghar mai, hotels mai iska upyog bhale hi swad ko badhane ke liye kiya jata hai, lekin ham aapko batade ki iska fayda swad ke alawa aapke swasth se bhi juda hai. Tej patte mai kai swasthvardhak gun chupe huye hai. Yeh aapko sehat aur sondarya dono ko fayda deta hai. To aaiye aaj ke lekh mai vistar se jante hai Bay Leaf Benefits in Hindi.
Bay Leaf Benefits in Hindi: Janiye Tej Patta Ke Fayde
Aapko bajar mai sukha tej patta ya iska powder dono hi aasani se mil jayega. Yeh swad mai kadwa hota hai. Yadi aapko dalchini ki sugandh pata hai to ham aapko bata de ki iski sugandh bhi vesi hi hoti hai. Aaiye jane Tej Patta Benefits ke bare mai baat karte hai.
Madhumeh mai Behad Faydemand
- Jin bhi logo ko madhumeh ki samasya hai unhe tej patte ka sevan jarur karna chahiye. Darahsal tej patta rakt mai sharkara ke santulan ko banaye rakhta hai.
- Isse aap dil ki kriyashilta par bhi sakaratmak prabhav padhta hai. Type 2 diabetes mai bhi yeh faydemand hai.
- Isse dil swasth rehta hai aur dil ka doura padhne ka khatra kam hota hai.
Bahut Jyada Nind Aane Par
- Kuch logo ko nind bahut jyada aati hai. 7-8 ghante sone par bhi unki nind puri nahi hoti hai.
- Aese mai tej patte ko pani mai kam se kam 6 ghante ke liye bhigo kar rakh de. Subah uss pani ko pile.
- Isse aapko nind nahi aayegi aur rahat milegi.
Chehre Ko Bedag Banaye
- Aapne chehre ko saaf karne aur isse daag hatane ke liye kai creams try kare honge. To ek bar tej patta bhi istemal jarur kare.
- Chehre par muhase, daag, dhabbe sabhi mai tej patta aapko fayda pahuchata hai.
- Prayog ke liye aap tej patte ko pani mai ubal le aur uss pani se muh dho le. Ya to isse lep banakar bhi laga sakte hai.
- Isse tanning ki samasya bhi dur hoti hai. Yeh aapki rangat ko ek saman karta hai.
Digestion mai Faydemand
- Yadi aapko kabj, pet mai jalan aur gas ki samasya hai to garam pani mai tej patte ko milakar piye. Isse yeh sari samasyae thik hoti hai.
- Yadi aapko apach ki samasya hai to tej patta aur adrak ko pani mai dalkar ubal le. Aapko ise pani aadha hone tak ubalna hai.
- Fir iss pani ko shahad milakar din mai do bar piye. Isse aapko kaafi fayda milta hai.
Dard Se Nijat
- Kadhi patte mai anti inflammatory gun paye jate hai jisse aapko dard, aenthan. Khichav aadi se chutkara milta hai.
- Sar dard hone par ya fir jin logo ko migraine ki samasya hai wo Bay Leaf Essential Oil se kano ke piche malish kar le. Isse rakt sanchar sahi hota hai jisse dard mai rahat milti hai.
- Jodo ka dard dur karne mai bhi yeh faydemand hai.
Danto Ko Chamkaye
- Danto ka peelapan aapko logo ke samne sharminda bhi karta hai sath hi sath yeh oral care ke hisab se bhi sahi nahi hai.
- Tej patte ko danto par ragadne se danto ka peelapan dur hota hai aur dant safed hote hai.
Baalo Ko Bhi Fayda De
- Tej patta aapke baalo ki chamak badhata hai. Prayog ke liye kuch patte le aur pani mai ubal le. Jab pani thanda ho jaye to usse baal dho le.
- Yeh aapke baalo se na keval chipchipahat dur kara hai balki conditioner ki tarah kaam karke baalo mai chamak bhi lata hai.
- Aap iski madad se baalo ki rusi bhi dur kar sakte hai. Tej patti ki sukhi pattiyo ko mixer mai peeskar powder bana le, aur iss powder mai dahi mila le.
- Iss mishran ko sir ki twacha par laga le aur karib aadhe ghante baad dho le. Isse rusi ki samasya thik ho jati hai.
Upar aapne jana Bay Leaf Benefits in Hindi. Ab to aap jaan gaye honge ki tej patta aapke liye kitna faydemand hai. Aap bhi iske istemal se inn faydo ko pa sakte hai.