Jane Kese Swasth ko Prabhavit Karta Hai Cyber Sickness
Abhi tak smartphone ki lat aur mobile ki ringtone ke darr ke bare mai baat ho rahi thi. Lekin ab cyber sickness naam ki bimari ne bhi hamla kar diya hai. Iss humle ne chikitsako aur manovaigyanik ko bhi hairan kar diya hai jisse jahir ho jata hai ki yeh kafi chintaniya stithi hai.
Halat isliye bhi gambhir ho rahi hai kyuki computer par kaam karne walo ki sankhya lagatar badh rahi hai. Bacche se lekar budh tak ghanto computer ke samne bitate hai. Aaiye jante hai cyber sickness ke bare mai vistar se jankari.
Computer Screen se Lagta Hai Darr
Kai baar sunane mai aaya hai ki iss insaan ko car ki speed se darr lagta hai. Kisi ko mountain ki uchai se to kisi ko samudra ki gaharai ko dekhkar darr lagta hai. Lekin kya aapne kabhi suna hai ki kisi insaan ko computer ke samne baith kar darr lagta hai..
Haa aisa ho raha hai. Kuch logo mai haal hi mai yeh samasya dekhne ko mil rahi hai unhe computer ki screen ke samne baithte hi chakkar aane lagte hai.
Visheshagya iski wajah neend puri na hone aur kam neend ko maan rahe hai. Saath hi aaj ki badalti jivanshaily mai avasthit khaan-paan bhi iski wajah hai.
Digital motion sickness wahi dusri taraf covantry university ke phychologist aur mastishk shodhkarta kehte hai ki agar aapko computer screen par ghanto kaam karne ke baad chakkar aana ya sar bhari hona jesi samasya hoti hai to aap ‘Digital Motion Sickness’ ke shikar hai.
Yeh samasya bilkul usi tarah hai jab aapko car, boat ya aeroplane se yatra karte huye sar ghumne aur chakkar aane jesi samasyao ka samna karna padta hai. Bilkul isi tarah jab aap computer screen ke samne baithte aur screen par scroll up aur scroll down jesi activity karte hai tab aapko chakkar aane jesa ehsaas ho to aap digital motion sickness ya cyber sickness ke shikar hai.
You may also like:- Laptop Se Nikalne Wala Radiation Banata Hai Aapko Bimar
Cyber Sickness ke Lakshan
- Sar mai dard hona
- Chakkar aana
- Neend na aana
- Aankho mai jalan hona
- Jyada matra mai sharir se pasina aana
- Chizo par focus nahi kar pana
Cyber Sickness se Bachav ke Upay
- Computer screen par kaam karte waqt bich bich mai kuch samay ka break le.
- Bahut jyada lambe samay tak movie na dekhe aur video game na khele.
- Screen par lambe samay tak focus karne se bache.
- Chakkar aane se bachne ke liye kuch mithi chiz khate rahe.
- Aankho ko bichg bich mai thande pani se dhote rahe.
Chintajanak Stithi
Sharir ke bina movement ke douran jab humara dimaag yeh manane lage ki wo raftaar mai chal raha hai to stithi chintajanak hai. Aisi sitithi mai dimaag aur sharir ke bich mai kashmakash bani rehti hai jo aapke sharir ke sthir rehte huye bhi aapko movement hone ka ehsaas dilati hai.