Home Remedies for Gas Problem in Hindi: Rahe Swasth

Sahi samay par khana na khane ya galat phan ke sevan se kuch logo ko kabj ki pareshani ho jati hai. Aur jab yeh samasya lagatar hone lage to pet mai gas banne lagti hai. Pet mai gas banne ki wajah se kai tarah ki pareshaniya hoti hai jaise pet ka fulana, pet mai halka dard bane rehna aadi.

Pet mai gas banne ki samasya kisi bhi umra mai ho sakti hai. Iss samasya se na keval hamara pet jujhta hai balki iska asar poore sharir par padne lagta hai. Isse ham logo ke bich mai asahaj mehsus karne lagte hai, jiska asar hamare roj ke kam-kaj par padne lagta hai.

Pet mai lagatar gas ki samasya hone se vaat rog bhi ho sakta hai. Iss rog se pidit vyakti ke sar, pet, kamar, seene aadi ango mai dard hone lagta hai. Pet mai gas kai karano se banne lagti hai jaise masaledar bhojan karne se, khali pet rehne se, adhik fiber yukt bhojan karne se aadi.

Lekin ghabraiye nahi iss samasya ka ilaaj aasani se ghar baithe bhi kiya ja sakta hai. Iske liye jane Home Remedies for Gas Problem in Hindi aur diye gaye gharelu nuskho ko apnakar paiye iss samasya se nijad.
 

Home Remedies for Gas Problem in Hindi: Jane Iske Gharelu Upay

 
Home Remedies for Gas Problem in Hindi
 
Pet mai gas ki samasya hone se ulti hona, matli aana, pet mai dard rehna, sujan aadi samasyaye ho jati hai. Inn samasyao ko dur karne ke liye yaha padhiye Home Remedies for Gas Problem.

Long Khaye

Gas ki samasya ko dur karne ke liye Long bahut hi labhdayak hai. Ise shahad ke sath lene se kabj ki samasya ko dur kiya ja sakta hai. Iske alawa rojana ise chusane se bhi pet thik rehta hai aur gas nahi banti hai.
 

Pudina Ki Chai

Yadi aap gas ki samsaya se bahut jyada pareshan hai to pudine ki patti ki chai banakar pine se rahat milti hai. Isse aapko gas ki wajah se hone wale pet dard mai bhi aaram milta hai. Iski chai banane ke liye pattiyo ko pani mai ubal le aur usme taste ke liye 1 chammach shahad milaye. Bus iss chai ko pee lijiye. Pudine ki pattiyo ko kaccha chabane se bhi kabj ki samasya mai aaram milta hai.
 

You May Also Like: Home Remedies for Split Ends: Do Muhe Baalo Se Nijad Paye

 

Adrak

Pet mai gas ki samasya ko dur karne ke liye adrak sabse acchi Home Remedy for Gas hai. Isme anti-bacterial aur anti-inflammatory tatva paye jate hai. Jo ki pet mai hone wale kabj aur esophagus ki samasya ko dur karne mai sahayak hote hai.

Iska kai tarike se sevan kiya sakta hai jaise iski chai banakar pee sakte hai, ya fir ise pratyaksh roop se namak ke sath chusa ja sakta hai. Aap chahe to rojana sabjiyo mai bhi adrak dal sakte hai isse aapko gas banne ki pareshani nahi hogi.
 

Kali Mirch

Kali mirch ka prayog bhi pet mai kabj jaisi samsayao ko dur karne mai kiya jata hai. Yeh pet mai amashay ras ke pravah ko badhata hai aur bhojan ka sahi tarah se pachan mai madad karta hai. Pet mai hydrochloric acid ki kami se hone wale pet dard mai bhi kali mirch aaram pahuchati hai. Iske churn ko shahad ke sath, gud ke sath ya fir chhachh ke sath lene se kabj ki samasya dur ho jati hai.
 

Lehsun

Lehsun garm gunvatta aur tej gandh wala hota hai. Iss wajeh se yeh bhojan ke pachan mai madad karta hai aur pet mai gas bhi nahi banne deta. Lehsun ko prayog mai lane ke liye ke kai tarike hai jaise aap ise bhojan mai pakakar kha sakte hai, aag mai bhun kar ya fir iska juice banakar. Jin vyaktiyo kabj ki bahut jyada samasya hoti hai, unhe kacchi lehsun ko upyog mai lana chahiye. Aesa karne se kabj mai jald hi aaram milta hai.
 

Home Remedies for Gas Problem in Hindi: Anya Upaye Inhe Bhi Padhe

  1. Rojana subah garm pani mai nimbu ke ras ko milakar pine se pachan tantra sahi hota hai aur gas ki samasya bhi dur hoti hai.
  2. Iske alawa pani ke sath methi ke bijo ko milakar kadha banakar piye. Isse gas ki samasya se jald hi nijad paya ja sakta hai.
  3. Haldi bhi bhojan ke pachan mai madad karti hai. Isse pet mai gas ki samasya samapt ho jati hai. Isliye iska prayog bhi labhkari hota hai.
  4. Pet mai gas ki samasya hone ka ek karan, sharir mai pani ki kami hona bhi hota hai. Isliye din mai 8 glass pani jarur pina chahiye. Aur yadi pet mai gas ki samsaya ho to jyada se jyada pani pina chahiye.
  5. Jeera pachan tantra ko sahi karta hai, jisse bhojan ka pachan sahi tarah se ho sake. Rojana ek glass pani mai jeera powder milakar pine se pet ke gas ki samasya dur ho jati hai.
  6. Chhach mai lactic acid paya jata hai jo ki pet ke gas ki samasya ko dur karne mai madad karta hai. Bhojan karne ke bad rojana ise pine se pet mai gas ki samasya nahi hoti hai.

 

Loading...

You may also like...