Benefits of Feet Massage in Hindi – Pairo Ki Thakan Dur Kare

 

Hamare pair hamare liye kitna kaam karte hai. Lekin fir bhi ham kabhi bhi unki dekhbhal nahi karte hai. Lekin yadi aap chahte hai ki aap apne pairo ko hamesha majboot aur lachila banaye rakhe to iske liye aapko unki malish jarur karna chahiye.

Aapne dekha hoga ki jab bhi kisi ko thakan lagti hai to wo sir ki malish karwa leta hai. Yeh tarika purane samay se chalta aa raha hai. Iske atirikt log apni thakan ko dur karne ke liye body spa karwate hai.

Aajkal to log pairo ki thakan ko dur karne ke liye foot spa bhi karwane lage hai. Feet massage mai bahut sare telo ke istemal se pairo ki malish ki jati hai. Isse aapke pairo ki thakan dur hoti hai aur aap bahut relax mehsus karte hai.

Yadi aapko pairo ki malish karni hai to iske liye aapko raat ka samay chunna chahiye. Raat mai pairo ki malish karne ke bahut hi fayde hote hai. To aaiye jante hai Benefits of Feet Massage.
 

Benefits of Feet Massage in Hindi – Janiye Iske Bemisal Fayde

 
Benefits of Feet Massage
 
Hamare pairo mai alag alag bindu hote hai. Yeh bindu hamare sharir ke alag alag hisse se jude hote hai. Jab aap pairo ki malish karte hai to inn binduo par dabav padta hai aur aapke sharir ki kai samasyae thik ho jati hai. Aaiye jate hai Feet Massage Benefits kya hai:-
 

Rakt Sanchar Badhane mai Madadgar

Hamari aajkal ki jeevansheli vyastata se bhari hui hai. Bahut kam log hai jo vyayam karte hai. Vyayam na karne se aur dinbhar tight aur uncomfortable jute pehnne se pairo mai rakt ka sanchar thik se nahi ho pata hai.

Iske chalte pairo ki mashpesiya kathor ho jati hai aur pairo par charbi bhi jamne lagti hai. Yadi aap apni vyast dincharya se 15-20 minute nikalkar, sone se pehle malish kar lenge to isse aapke pairo mai rakt ka sanchar theek se hoga. Madhumeh ke rogiyo ke liye to yeh bahut hi jaruri hai.
 

Acchi Nind Lane mai Sahayak

Sone se pehle apne pair ke talwo par tel se malish karne par aapko raat ko acchi nind aati hai. Yadi aapko anidra ki samasya hai to aapko bhi niyamit tour par ise karna chahiye. Yadi aap acche se sona chahte hai to iss prakar apne pair ke talwao ki malish kare.

  • Sidhe baith jaye aur apne pairo ko apne god mai rakh le.
  • Apne hatho ke anguthe ki madad se apne pairo ke talwe ke anguthe, fir pair ke bich ke hisse ko dabaye.
  • Pair ki sabhi ungaliyo par bhi pressure de.
  • Kam se kam 1 minute tak ka time har point par de.
  • Aap jaitun ka, nariyal ka ya sarso kisi bhi chiz ka tel istemal kar sakte hai.

 

Vajan Ghatane mai Madadgar

Jo log apna vajan kam karna chahte hai unke liye yeh bahut hi faydemand hai. Yadi aap sone se pehle apne pairo ke talwe ki malish karte hai to aapko aapke vajan ko ghatane mai madad milti hai.

  • Darahsal jab aap apne pairo ki malish karti hai to isse metabolism behtar banta hai.
  • Metabolism thik tarike se chalne se aapke sharir ke sabhi ang sucharu roop se karya karte hai, jisse vajan ko kam karne mai madad milti hai.
  • Isse pasina aata hai, jisse aapke sharir ke hanikarak padarth bahar nikal jate hai, isse bhi aapke sharir mai vasa jamne mai kami aati hai.

 

Tanav Se Ladne mai Madad Kare

Kuch sodho se yeh baat samne aayi hai ki pairo ki malish karne se hamara mind relax feel karta hai. Jin logo ko avsad aadi ki samasya hai wo ise therapy ki tarah bhi istemal karte hai.

  • Apne pair ke anguthe ke bich mai dabav dale. Isse aapka mansik swasthya sudharta hai.
  • Dono anguthe ke points par 2 se 3 minute tak dabav dalne par aapko avsad se ladne mai madad milti hai.

 

Anya Fayde Inhe Bhi Janiye:-

  1. Isse pairo ki sundarta badhti hai. Isse rakt sanchar behtar hota hai jisse pairo ki twacha pehle se jyada sundar ho jati hai.
  2. Yadi aap pura din kaam kar ke thak gaye hai aur aapke pairo ne jawab de diya hai to apne pairo ki tel se malish kar le. Aapko accha mehsus hoga.
  3. Ek survey ke anusar kuch logo ke liye pairo ki malish bahut faydemand hai. Isse unhe sirdard jaisi samasyao mai bhi fayda mila hai.

 
Upar aapne jana Benefits of Feet Massage in Hindi. Iske itne fayde hai aur kisi bhi tarah ka side effect nahi hai. Malish hamesha fayda hi deti hai. Aap bhi iska labh utha sakte hai.

Loading...

You may also like...