Gastroparesis in Hindi: Jane Iske Lakshan aur Upchar ke Tarike
Gastroparesis ek pet ki bimari hai. Iss bimari mai khane ka pachan nahi ho pata hai sath hi khana khane par pet mai dard aur ultiya hone lagti hai. Iski wajah hai manushya ka sharir bahut hi patla ho jata hai.
Aamtor par pet mai hone wali manspeshiyo ko vagus tantrika dwara niyantrit kiya jata hai, yeh pet mai jane wale bhojan ko todne aur isse jathrantra (gastrointestinal) path par sthanantrit karne ke liye anubandhit hai.
Gastrointestinal (GI) track ek khokhle ango ki ek shrinkhala hai, jo tube ke jariye muh se guda tak ka safar tay karti hai. Gastrointestinal track mai manspeshiyo ke sath sath hormones aur enzymes ka pradarshan bhojan ko pachan ke liye anumati deta hai.
Gastroparesis in Hindi ki wajah hai pet mai hone wali vagus tantrika shatigrasth hone lagti hai, jisse pet ki manspeshiya karya karna band kar deti hai. Jis wajah se bhojan dhire-dhire choti aanta se hota hua sharir ke anya bhaag mai jata hai.
Gastroparesis in Hindi: Upchar ke Liye lakshano Ko Pehchane
Gastroparesis Ke Karan
Gastroparesis ka mukhya karan to aaj bhi agyat hai, lekin iske samanya karano ki jankari hum apko de rahe hai-
- Aniyantrit Madhumeh
- Gastric surgery ke sath-sath vegus tantra ka chotil ho jana
- Nashile aur avsadrodhi dawao ka istemal karna
- Parkinson’s disease
- Multiple sclerosis
- Utako aur sharir ke antrik ango mai fiber ki atydhik matra akatrit ho jana.
Yeh sabhi kuch aisi bimariya aur Gastroparesis causes hai jinki wajah se yeh bimari hoti hai, lekin iske mukhya karan ka pata aaj tak nhi lag paya hai. Purusho ki tulna mai yeh bimari mahilao mai adhik hoti hai.
Gastroparesis Ke Lakshan
Gastroparesis ka sabse samanya lakshan hai matli aana ya kisi bhi kaam mai kam na lagna. Thoda sa kuch kha lene par pet mai bharipan sa lagna, bhojan ka na pachna, khane ke kuch samay baad ulti aana. Yeh sabhi iss bimari ke kuch lakshan hai. Aaiye jante hai Gastroparesis Symptoms aur kya-kya hai.
- Gastro esophageal reflux (GER) isse acid reflux aur acid regurgitation bhi kaha jata hai. Iss paristhiti mai pet mai upasthit khana wapis grasnali (esophagus) mai chala jata hai. Ye ang muh ko pet se jodta hai.
- Bhukh ki kami
- Pet ke aas-pas ke hisso mai dard hona
- Udaro mai sujan aana (Abdominal Bloating)
Yeh lakshan aur bhi adhik ho jate hai jab hum adtydhik ghee ya tel se bana bhojan karte hai, Khane mai fiber ka atydhit sevan, jaise kacche phal, sabjiya aur vasa ya carbohydrate se yukt pey padartho ka sevan karne se.
Yeh sabhi lakshan halke ya gambhir ho sakte hai aur bar-bar ho sakte hai, kuch logo mai yeh lakshan anya logo ki apeksha kam hote hai. Yeh lakshan samay ke sath dhire-dhire badalte jate hai. Kabhi-kabhi Gastroparesis ka nidan mushkil ho jata hai, kyoki iss bimari ke lakshan anya kai bimariyo se milte hue hote hai, jis wajah se asmanjas ki sthiti ban jati hai.
You May Also Like: Quinoa in Hindi – Jane Iske Labh aur Vyanjan Banane ki Vidhi
Gastroparesis Treatment in Hindi: Iss Bimari Ka illaj
Gastroparesis ke upchar ke kai tarike hai jaise santulit aahar, dawao ka istemal aur kuch tarike jinke jariye hum apne pet ko khali rakh ske, lekin Gastroparesis Treatment nirbhar karta hai ki yeh samsya kis sthiti mai hai. Aaiye jante hai iske upchar ke tarike.
- Doctor’s ke anusar agar hum santulit, kam tala hua aur kam tikha bhojan kare to hum bahut had tak iss bimari se bach sakte hai. Aise samay mai aap halke bhojan ka sevan kare, taral padartho ka istemal kare. Atyadhik pani piye jisse aapke bhojan ko pachan mai aasani ho sake.
- Agar aapko diet ko niyantrit karne ke bawjood koi fayda nahi ho raha hai to aap dawa ka istemal kare. Jab aap doctors ke dwara di gayi dawao ka upyog karte hai to yeh aapke pet ki manspeshiyo ko madad karta hai, vomiting ko kam karte hai, jisse apke sharir ko rahat milti hai. Adhik dawao ke istemal se uske nuksaan bhi ho sakte hai isliye chikitsak dwara batai gayi dawao ka hi sevan kare.
- Agar aapki pareshani din-pratidin badti ja rahi hai to surgical upchar ke jariye bhi iss bimari ka upchar kar sakte hai. Yeh uss paristhiti mai ho sakta hai jab chikitsak iski anumati de.
Yeh sharir humara hai to iska khayal rakhna bhi humra kartavya hai. Agar aap bhi Gastroparesis in Hindi ke lakshno se grasit hai, to deri na kare aur jaldi-se-jaldi chikitsak se sampark kare aur sukhi jivan ka anand le.