Alzheimer's Disease in Hindi – Jane Lakshan, Karan aur Upchar

Aksar ham kuch baate bhul jate hai. Jaise kahi kuch saman rakh dete hai, aur yaad nahi aata hai ki wo kaha rakha hai. Kabhi koi phone number bhul jate hai to kabhi kisi ka bday. Kabhi kabar iss tarah ki baate bhul jana bahut samanya baat hai. Lekin yadi yeh aapke sath aksar hone laga hai to aapko savdhan hone ki jarurat hai.

Alzheimer ek prakar ka vikar hai, jisme vyakti dhire dhire chize bhulne lagta hai. Isme vyakti ki yaddasth bahut kamjor ho jati hai. Jyadatar yeh samasya 60 varsh ke baad hoti hai, kintu kuch logo ko yeh vikar iss umra ke pehle bhi ho sakta hai.

Yadi ham isse grasit marijo ki baat kare to dusre desho ke mukable, bharat mai isse grasit log kam hai. Lekin dhire dhire iss sankhya mai ijafa hote ja raha hai. Yadi ham 2012 ke aakdo ki baat kare to iski sankhya 15 se 20 lakh thi. Lekin ek kiye gaye survey mai bataya gaya tha ki 2050 tak, har 85 logo mai se ek vyakti isse grasit hoga. Aaiye vistar se jane Alzheimer’s Disease in Hindi.
 

Alzheimer’s Disease in Hindi – Yaadadasht Hoti Hai Prabhavit

 
alzheimers-disease-in-hindi
 

Alzheimer Symptoms in Hindi, Jane Lakshan

Alzheimer, dementia ka ek prakar hai. Isme vyakti ki memory dhire dhire khatam hoti hai. Ham aapko iske kuch lakshano ki jankari de rahe hai. Yadi aapko inme se koi bhi lakshan apne andar dikhai de aapko chikitsak se milna chahiye. To aaiye jante hai Symptoms of Alzheimer in Hindi:-
 

Samasyao Ko Suljhane mai Dikkat

Jab bhi koi vyakti iss samasya se grasit ho jata hai to use yojna banane ki kshamta, ya fir sankhya ke sath kaam karne mai parivartan anubhav ho sakta hai. Unhe dainik jeevan ki kuch chize jaise monthly beel ko bharna, kisi recipe ko yaad rakhna aadi mai dikkat ho sakti hai. Sath hi sath kisi chiz par dhyan lagane mai bhi pareshani hone lagti hai.
 

Smarti mai Hani Hona

Isse memory power kam hone lagti hai, jisse dainik jeevan badhit hota hai. Alzheimer ke sabse samanya lakshan ki baat kare to isme smarati mai hani hone lagti hai. Yaha tak ki vyakti haal hi mai sikhi jankari bhi bhulne lagta hai.

Vyakti ko na hi ghatnaye yaad rehti hai, na hi mahatvapurn tarikh. We ek hi chiz bar bar puchne lagte hai. Isse grasit bahut se logo ko chizo ko note karke likhna padhta hai, ya fir yeh log electronic upkaran aur pariwaar ke sadasyo par nirbhar rehna padhta hai.
 

Naye Shabdo Ke Sath Dikkat

Jin logo ko Alzheimer ki dikkat hoti hai un logo ko kisi bhi vartalap ko karne mai dikkat hoti hai. Wo batchit ke douran, achanak se ruk jate hai kyonki unhe nahi samajh aata hai ki apne conversation ko continue kaise rakha jaye.

Inn logo ko vocabulary ko lekar samasya hone lagti hai. Jab we bolte hai to unhe sahi shabd nahi mil paate. Kai bar we logo ko galat naam se bhi pukarne lagte hai.
 

Achanak Se Mood Ka Badalna

Iss bimari se grasit vyakti ke mood aur vyavahar mai achanak se badlav aane lagta hai. Yeh vyakti achanak se confuse ho jate hai, achanak se dukhi hone lagte hai to kabhi bhaybheet bhi hone lagte hai. Aese log hamesha khud ko comfort zone se bahar nahi nikalne dete hai.
 

Dainik Jeevan Ko Kitna Prabhavit Karta hai Alzheimer


Yaadadasht mai Kami 92%
Confusion Hona  71%
Dhyan mai Kami   63%
Disha Nahi Samajh Pana  53%
Vyaktitva mai Parivartan  31%

 

Alzheimer Causes in Hindi: Iske Karan Janiye

  • Alzheimer hone ke kai karan hai jaise genetic samasyae, jeevansheli mai parivartan, ya fir kuch aesi chize jo aapke dimag ko prabhavit karti hai.
  • Kuch anuvanshik parivartan ke karan bhi yeh bimari logo ko ho sakti hai, lekin iss wajah se Alzheimer hone ka pratishat keval 5 hai.
  • Alzheimer hone ka mukhya karan abhi puri tarah se samajh nahi aaya hai. Lekin mastishk par iska prabhav spasht hai. Yeh rog mastishk ki koshikao ko marta hai. Alzheimer rog se prabhavit par hamare mastishk mai bahut kam jivit koshikaye bachti hai.
  • Parivarik itihas bhi iske hone ka ek karan hai, aapke pariwar mai yadi kisi ko yeh bimari hai, to aapko bhi iske hone ki sambhavna ho sakti hai. Lekin haa iske hone ka anupat keval 5% hai.

 

Alzheimer Treatment in Hindi: Iska Illaj

Alzheimer ke lakshnao ko yadi shuruwat mai hi pehchankar uska illaj kar liya jaye, to ise theek kiya ja sakta hai. Wahi yadi yeh bimari bahut badh chuki ho to puri tarah se ise theek karna filhal sambhav nahi hai. Halanki dawai se iske lakshano ko kuch had tak kam kiya ja sakta hai.
 

Upar aapne jana Alzheimer’s Disease in Hindi. Yadi aap bhi iss bimari se bachna chahte hai aapko kuch savdhaniya baratni chahiye. Jaise niyamit vyayam karna, poshtik aahar lena aadi. Hriday rog wale vyaktiyo ko iske hone ki sambhavna adhik hoti hai, isliye unko apna khas khayal rakhna chahiye.

Loading...

You may also like...