Anti Aging Skin Care: Badhti Umra Chupana Huya Aasan

Vese badhti ka umra ka asar sabse pahle  hamari skin par dikhta hai. Jo ki kisi ko bhi pasand nahi aat hai. Saath hi twacha mai dikhai dena vala yeh bhadti umra ka asar  hamare confidence ko bhi khatam kar deta hai.

Hum badhti umra ko to nahi rok sakte hai. Lekin ha aap chahe to kuch tarike ke dwara apne twacha ko javan banaye rakh sakte hai. Jiske liye aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Anti Aging Skin Care.

20 ki umra ke baad hamari twacha mai kasav nahi rah jata, jo pahle huya karta tha. Umra ke badhte-badhte hamari twacha par jhuriya padne lagti hai. Agar abhi se khayal na rakha to aage chal lakar aap apni umra se kahi jyada budhe dikhane lagenge.

Hamari twacha ko budha banane mai suraj, roz ka aahar, tanav aur hamari kharab life style kafi had tak jimmedar hai. Saath hi hamara busy schedule jiske chalte hum apna dhyan nahi rakh pate hai.

Ahar aap 30 ke aas-paas hai aur aap apni twacha ka bilkul bhi khayal nahi rakhti hai to aaj se hi inn tariko ko apnane ke liye taiyar ho jaiye. Kyoki ab vah samay aa chukka hai ki, aap apni twcha ki dekhbhal karne ka samay nikaliye.

Agar chehre par padi wrinkles aapke andar ka aatmvishvaash ko marti hai, to aaj se hi apni skin ki care karna shuru kar de aur hamesha sundar dikhiye.

Anti Aging Skin Care

Anti Aging Skin Care, Badhti Umra mai Twacha ka Rakhe Aise Khayal

Abhi se ho Jaye  Satark

Bhale hi aap pahle se apni twacha ki dekhbhal na karti ho, lekin ab bhi der nahi hui hai. Kyoki aapki twacha 20 ki umra se hi murjhane lagti hai. To der na kare aur abhi se hi apni twacha ki sahi dekhbhal karna shuru kar de, jisse aapki twacha komal aur tight bana sakati hai.Saath hi badhti umra ka asar bhi aapki skin par nahi dikhega.

Chehre Par Moisturize Lagaiye

Anti Aging Skin Care ki baat kare to acche moisturize ka naam sabse pahle aata hai. Yeh twacha ko protect  karta hai. Bhale hi aapka chehra oily ho ya fir us par pimple nikalte ho, aap ek accha sa oil free moisturizer laga sakti hai. Agar skin rukhi hai to din mai 2 baar moisturizer  jarur lagaiye.

Dead Skin ko Scrub kare

Chehre par glow lane ke liye us par niyamit scrub kare. Aisa week mai 2 baar kare. Chehre par acne ya chehre ki skin sensitive ho to, skin specialist doctor se baat kare. Fir apni skin ke liye cream ka selection kare.

 Roazana Sunscreen Lagaiye

Ghar ke bahar aur andar dono hi jagaha par sunscreen lagana chahiye, kyoki suraj ki kirane badlo ko chirti huye hamare sharir par padti hai. Aapko  SPF 30 vali sunscreen lagani chahiye.

You mau also like:- Sunblock vs Sunscreen – Understand What’s the Difference

Naram Cleanser Lagaye

Rukhi twacha ke liye cream yukt aur oil twacha ke oil free cleanser acch hota hai. Agar aapki twacha sensitive hai to apne doctor se iss baare mai baat kre. Aapke chehre ko halke garam ya thande pani se dho sakte hai.  Matlab jese pani aapke chehre ko suit kare vesa pani ka use kare. Chehre ko ragad kar na poche.

 Herbal Cheez Hamesha Aachi Nahi

Jinki twacha sensitive hoti hai unhe herbal cheezo se bach kar rahna chahiye. Kai baar ped pidho ke ras ko muh par lagane se allergy ya fir rashes pad jati hai. Isliye hamesha dhyan rahe ki apni skin par jo cheez suit hoti hai use hi apni skin par lagaiye taki aapko koi bhi side effect na ho.

 Sahi Facial Ka Chunav

Cleanser aur exfoliating facials karvane se chehre par allergy ya reaction ho sakta hai. Agar aapki twacha  sensitive  hai to soch samjh kar hi facial chune.  Agar aap chahe to ghar par hi facial kar sakte hai.

 Abhi bhi Muhase  Aate Hai

Agar aap soch rahi hai ki aapke chere par kyo muhase aur black heads aa rahe hai. To iska karan hormone, hair product aur tanav bhi ho sakta hai. Iske liye apne doctor ki salah le.

Kese Paye Glowing Skin

Smoking chhode, khub sare phal aur sabjiya, bina charbi ka mans aur sabut anaaj khaye. Rozana vyayam kare tanav aur tez dhup se dur rahe.

Skin Anti Aging Cream

Apni skin ko khubsoorat banane ka liye jaruri ha ki, 25 ke baad aap anti aging cream ka istemaal kijiye. Jisse aapki skin maitain rahegi.

Anti Aging Food, Khadya Padarth ke Dwara Dikhiye Hamashe Javan

Anti Aging Food

Aapko aisa khadya padarth ka chunav karna chahiye. Jin mai anti aging ke gun ho. Yani aisa aahar jisme aging ki prakriya mai badha dalne ke gun shamil ho. Twacha ko javan banaye rakhne ke liye aapko antioxidant yukt khadya padarth ka sevan karna chahiye, darsal  antioxidant aging ki prakriya ko dheema kar deta hai.

You may also like:- Glowing Skin Tips in Hindi‎, Chamakdar Twacha ke Liye Upay

Yeh to aap jante hai hoge ki aging ka mukhaye source free radical hote hai. Jo ki kai karano se nirmit hote hai. Anti aging ke liye smoking, nasheele padarth, tez dhup, chemical yukt padarth aadi se dur rahiye. Saath hi apne aahar ko aisa banaiye ki, aapki skin ki sundarta hameshe bani rahe.To aaiye hum aapko batate hai, Anti Aging Food.

  • Raat ke baad lambe samay tak aapka pet khali rahta ha. Isliye nashte mai protein yukt aahar ka sevna kare.
  • Meethe aalu ke saath paneer ke chhote-chhote tukde ka sevan kare. Darsal protein aapki twacha ko nikharne aur janav banaye rakhne mai madad karta hai. Aach nashta aapke hormone ke beech mai santulan banaye rakhta hai aur aapki aging prakriya badhane vali bimariyo ko dur karta hai.
  • Apne dinner mai green tea aur salad le. Green tea jo ki metabolism booster hai, vahi salad ek low carbohydrate meal hai. Inn dono ko raat mai lene se aapke metabolism ka istar theek rahega aur aapka pachan tantra sucharu roop se kaam karega.
  • Tamatar aur tarbuj ka sevan kare. Yeh dono free radical ko khatam karne mai madad karte hai.
  • Sharir ka immune system badhane free radical ka samne karne ke liye lahsun, pyaz aaddi ka sevan kijiye.
  • Sprouted food, bandgobhi, phool gobhi broccoli aadi mai bharpur matra mai antioxidant hai. Jinka sevan karane se aapki aging prakriya ki gati dheemi hoti hai.
  • Saath hi aapko gehu, chawal makka ,beans, soybean nuts, fish, fish oil aur adhik matra mai pani sa sevan karna chahiye.

Upar aapne jana Anti Aging Skin Care ke baare mai jaruri tathaye. To bas aaj se hi inn tarike ko apna kar apni skin ko hamesha ke liye sundar banaiye.

Skin Care se sambhandhit jankari ke liye Beauty Tips in Hindi ko dekhe.

Loading...

You may also like...