Autism Spectrum Disorder Symptoms in Hindi: Jane lakshan

Autism Spectrum Disorder ek aesi bimari hai jisme vyakti ko samajik sampark karne mai kathinai aati hai. Use logo ke bich uthne baithne mai hichak mehsus hoti hai. Yeh samasya bachpan mai shuru hoti hai aur jivan ke anta tak rehti hai.

Iss bimari ke kai roop hai, isliye baccho mai bhi iske alag alag lakshan paye jaate hai. Agar ham USA ki baat kare to har 68 baccho mai se ek baccha iska shikar hai.

Yeh vikar ladko ki apexa, ladkiyo mai jyada paya jata hai. Agar Iske sanket aur lakshano ka jaldi pata chal jata hai to prabhavi dhang se baccho ka upchar kiya ja sakta hai. Samanyatah 14 saal ke baccho mai iss bimari ko jyada dekha gaya hai.

Autism Spectrum vikar ek bacche ke jivan ke teen alag alag kshetro ko prabhavit karta hai. Pehla to samajik sampark, dusra logo ke sath baatchit, tisra bacche ke vichar aur ruchiya. Iss bimari mai har ek bacche mai alag alag pattern dikhai dete hai. Kisi bacche ko samjhane mai dikkat hoti hai to kisi ko logo se baatchit karne mai dar lagta hai, to kisi mai dono laskshan bhi paye jate hai. Iss bimari ke safal aur wakt par illaj karne ke liye aaiye jane Autism Spectrum Disorder Symptoms in Hindi.
 

Sahi Upchar ke Liye Jane Autism Spectrum Disorder Symptoms in Hindi

 
Autism Spectrum Disorder Symptoms in Hindi
 
Autism Spectrum Disorder ke lakshan samanya se gambhir, har bacche ko alag alag hote hai. Asamanya savendshilta, do tarah ka vyavahar aadi pareshaniya iss bimari mai dekhne ko milti hai.
 

Janiye iske kuch samanya lakshan:-

  1. Akele rehna pasand karna
  2. Samajik sampark mai samasya hona
  3. Eye contact karne mai pareshani hona
  4. Apni khusi ko dusre ke sath celebrate naa karna
  5. Baatchit karne mai asamarth hona.
  6. Shabdo ko samjhne mai wakt lagna ya fir naa samjh pana
  7. Aam tour par ek shabd ko bar bar dohrana
  8. Asamanya vyayhar aur baate karne ke liye pratikriya
  9. Anya vyaktiyo ki bhavnao ko samajhne mai asamartha
  10. Asamanya ruchi ka hona
  11. Dost nahi bana pana

Aam tour par mata-pita ko hi iski samasyao ke bare mai sabse pehle pata chalta hai. lekin iske bavjuad bhi iske upchar mai bahut der ho jati hai, kyonki unhe lagta hai ki jaise jaise baccha bada hoga yeh pareshani umra ke sath apne aap hi khatam jo jayegi.

Lekin aesa nahi hona chahiye, jin bhi baccho mai uprokt Autism Spectrum Disorder Symptoms dikhai dete hai, unhe iss bimari ke nidan ke liye jald se jald chikitsak se sampark karna chahiye.
 

You May Also Like:- Hypertension Symptoms in Hindi: Ucch Raktchap Se Paye Nijad

 

Autism Spectrum Disorder Causes: Jane Iske Karan

Dekha jaye to vegyanik bhi iss bimari ke sahi karano ka pata nahi laga paye hai, lekin kuch karan aese hai jisse iss bimari ke hone ki aashanka badh jati hai.
 

Anuvanshik Karan

Kuch kiye gaye adhyano se yeh baat samne aayi hai ki iss bimari ke piche ka karan paravarik itihaas bhi ho sakta hai. Yadi pita ko iss tarah ki bimari ho to baccho mai iska hone ki sambhavana ho sakti hai. Iske atirikt judwa baccho mai se yadi ek bacche ko yeh bimari hai to dusre bacche mai bhi 9-10 ki umra mai iske lakshan dekhne ko milte hai.

Kai genes milkar Austin vikar ka nirman karte hai. Isliye iss bimari ke hone ke piche kai karan hai.
 

Baccho Ko Diye Jane Wale Tike

Iss baat ka koi pukhta sabut to nahi hai. Lekin kuch logo ka kehna hota hai ki baccho ko diye jane wale tike bhi iske piche ka ek karan hai. Kuch logo par kiye gaye sodho mai yeh dekha gaya ki jin logo ke bacche Autism se prabhavit the unme se kuch baccho ko measles, mumps, rubella (MMR) ke tike diye gaye the.

Samanaya tour par dekha gaya ki MMR ka tika baccho ko 12 se 15 saal me diya jata hai. Aur autism ke lakshan baccho ko 1 saal ke umra mai dekhe gaye. 1 saal ke hone ke baad bhi jab bacche 1 shabd bhi nahi bol paa rahe the to iss baat ka sandeh hai ki tikakaran bhi iss bimari ke hone ke piche ki ek wajah hai.
 

Paryavarniya Karak

Paryavarniya Karak se yaha hamara tatparya hai bahari vastuo se. Jaise ki jyada dawaiyo ka sevan, janm ke douran kuch complications ka aana, parivar ki chikitsa halat aadi iske hone ke piche ka karan hai.

Upar aapne jana Autism Spectrum Disorder Symptoms in Hindi. Yadi ki bimari ka kam umra mai hi illaj karwa liya jaye to iske thik hone ka pratishat bahut jyada hota hai. Kuch chikitsako ki mane to kuch therapies, choti moti classes, utsahjanak bhasan aadi se bhi iss bimari ko kai had tak thik kiya jaa sakta hai.

 

Loading...

You may also like...