Banana Benefits in Hindi: Acche Swasthya Ke Liye Jarur Khaye

Kela swasth ke liye to accha hai hi sath hi iska swad bhi sabko pasand aata hai. Yeh aapko bharat ke lagbhag har hisse mai mil jayega. Iski khasiyat yeh hai ki yeh aapko turan energy deta hai. Iska hamare desh mai bahut mahatva hai kyoki iska istemal kai dharmik karyo mai prasad ke roop mai bhi kiya jata hai.

Kele ka istemal log kai tarah karte hai. Kuch log ise direct khana pasand karte hai to kuch log dudh mai dalkar shek banakar peena pasand karte hai. Kacche kele ko bhi ubalkar tatha cheeps banakar bhi khaya jata hai.

Kele mai kai jaruri tatva moujud hote hai jo ki hamare pachan tantra ko sahi chalane mai madad karte hai. Sath hi yeh hamari dil ki sehat bhi theek rakhne mai madadgar hai. Ek kiye gaye survey mai yeh baat samne aai thi ki niyamit kele ka sevan karke ham kai bimariyo se bach sakte hai.

Aapko ise kharidne ke liye apni jeb bhi dhili nahi karni padegi. Kyoki yeh kaafi sasta bhi hai. To aaiye aaj ke lekh mai ham jante hai Banana Benefits in Hindi.
 

Banana Benefits in Hindi: Kele Khane Ke Anmol Fayde

 
Banana Benefits in Hindi
 

Uccha Raktchaap

  • Hamne aksar dekha hai ki uccha raktchaap ke marijo ko bahut si chize khane pine ki manai rehti hai. Aur rahi baat namak ki to wo to uccha raktchaap walo ka dushman hai.
  • Kele mai bahut kam matra mai namak hota hai aur uccha matra mai potassium hota hai. Iska yeh gun ise uccha raktchaap ke marijo ke liye aadarsh khadya banata hai.

 

Dimag Ko Shanti De

  • Jo log adhiktar wakt tanav mai rehte hai unhe to roj do kele ka sevan karna chahiye. Darahsal isme typhopen paya jata hai, jo aapke dimag ko aaram deta hai.
  • Kela khane se aapke thake huye dimag ko urja milti hai. Sath hi sath yeh buddhi badhane mai bhi sahayak hai.

 

Vajan Ghatane mai Madadgar

  • Bahut se logo ko aesa lagta hai ki kela un logo ko khana chahiye jo duble patle hai. Isse vajan badhta hai. lekin ham aapko batana chahte hai ki yeh vajan ko kam karne mai bhi madad karta hai.
  • Kele mai calorie ki matra jyada nahi hoti hai. Yane ki ham yadi ek average size kele ki baat kare to usme keval 100 calorie hoti hai.
  • Lekin yahi ek kela khane se aapko bahut sare nutrition mil jate hai sath hi aapko aapka pet bhara hua bhi mehsus hota hai. Jisse aap bar bar khane se bachte hai.
  • Yeh fiber se bharpur hota hai, aur vajan ghatane mai fiber yukt aaharo ki aham bhumika hoti hai.

 

Hemoglobin Badhaye

  • Kele mai bharpur matra mai iron hota hai. Isliye jo log anaemia ki samasya se pidhit hai unn logo ko iska sevan jarur karna chahiye.
  • Anemia uss condition ko bolte hai jab rakt mai laal koshikaye ya fir hemoglobin kam ho jata hai. Jiske chalte thakan, saas lene mai samasya aadi dikkat hoti hai.

 

Pachan Shakti Badhaye

  • Medium size Banana Fruit mai 3 gram fiber hota hai. Isliye ham keh sakte hai ki yeh fiber ka ek accha strot hai.
  • Dietary fiber se hamare sharir ko kai fayde milte hai, khaskar isse pachan tantra sudharta hai.
  • Kele mai do tarah ke fiber paye jate hai pehla pectin aur dusra resistant starch.
  • Kela fiber se bharpur hone ke karan isse aapke pet ko acche bacteria milte hai, sath hi colon cancer dur hota hai.

 

Banana Health Benefits: Anya Fayde Inhe Bhi Janiye

  1. Jin bhi logo ko cholesterol ki samasya hai unhe to ek kela jarur hi khana chahiye. Kyoki kele mai moujud magnesium khun ko patla karne mai madad karta hai.
  2. Yeh na keval aapke swasthya ke liye balki aapke baalo ke liye bhi faydemand hai. Bus aapko itna karna hai ki kele se bana hair pack aadhe ghante ke liye lagaye fir gungune pani se baal dho le.
  3. Kele mai vitamin c bhi hota hai. Isliye yadi aap bachpan se hi kela kha rahe hai to cancer jaisi bhayaway bimari hone ki sambhavna bahut kam ho jati hai.
  4. Kamjor vyakti ko roj do kele khane chahiye. Ise khane ke bad dudh pile. Isse sharir mai takat aati hai.
  5. Dudh ke sath kela aur shahad milakar pine se nind acchi aati hai. Jin logo ko anidra ki shikayat hai wo ise jarur liya kare.

 
Upar aapne jana Banana Benefits in Hindi. Kele khane ke fayde bahut hai lekin ise khane ki ati na kare. Sath hi yadi aapko cough ki samasya rehti hai to aap ek dum paka hua kela hi khaye.

Loading...

You may also like...