Beauty Tips in Hindi: दाग रहित चेहरे का राज़
Sundar dikhna har kisi ki chahat hoti hai, iske liye jaruri nahi hai ki aap costly cosmetics ka upyog kare ya beauty parlor jaye. Chehre ki khubsurti ke liye jaruri hai ki aap iska khass khayal rakhe. Aaiye jante hai kuch Beauty Tips in Hindi jo aapko de minuto me nikhari twacha.
Jiss tarah swasth aur poshtik aahar se sharir ko urja milti hai, usi tarah swasth tarike aapke roop ko nikharta hai. Koi khubsoorat dikhne ke liye mahenge utpado par paisa kharch karta hai to koi dawai par.
Lekin aap inn gharelu upay ki madad se khubsoorat dikh sakte hai to padiya is beauty tips in Hindi ke articles ko.
Beauty Tips in Hindi: Chamakti Twacha ke Liye Kuch Khas Tips
-
Beauty Tips for Wrinkles in Hindi
Ek chammach honey mai kuch bunde nimbu ke ras ki milakar lagane se chehre par wrinkles nahi padte hai. Iss paste ko rojana use kijiye aur wrinkles ko apni twacha se koso dur rakhiye aur beautiful skin.
-
Beauty Tips for Glowing Skin in Hindi
Khub saara pani pijiye. Pani pine se sharir ka saara dushit satva toilet dwara bahar nikal jata hai. Jab sharir mai gandagi nahi rahti to twacha par apne aap glow aa jata hai aur aapki beauty baadti hai.
-
Beauty Tips for Scrubbing
Tamatar ka tukda lekar chehre par halke haatho se massage kare, aisa karne se chehre ki saari gandagi dur ho jayegi. Twacha ko nikharne ke liye scrubbing bahut jaruri hai. Scrub twacha ki dead cells ko hatakar romchhidro ko band hone se rokta hai.
-
Beauty Tips for Oily Skin in Hindi
1 chammach nimbu ke ras mai ek chammach gulab jal aur pisa huya pudina milakar 1 hour tak rakhe. Fir chehre par lagakar 20 minute baad dhole. Isse chehre ka chipchipapan dur ho jayega.
-
Beauty Tips for Skin Tightness in Hindi
Face aur neck par Honey lagaiye. Ise sukhne ke baad halke haatho se massage kijiye. Shahad ke sukhne ke baad gungune pani se ise saaf kare. Isse twacha me kasawat aayegi.
-
Beauty Tips in Hindi for Dark Circles
Aakhon ke niche ke dark circles se bachne ke liye badam ke tel mai honey milakar lagaye. Isse thodi der lage rahne de phir halke haatho se massage karke dho le. Saath hi aap khire ka bhi use kare, aisa karne se aapki aakho ko relaxation milega. In tips se aapki eyes aur bhi sundar aur aatactive dikhegi.
-
Beauty Tips in Hindi for Cleansing
Chehre se makeup ke hatane tatha dhool mitti se bachne ke liye cleansing jaruri hai. Iske liye chawal ke aate mai dahi milakar paste banaye aur ise chehre aur gardan par acchi tarah male. Iske baad chehra dhole.
-
Beauty Tips in Hindi for Dry Skin
Nariyal ke tel mai shahad aur santare ka ras mila le aur ise rukhi, fati hui twacha par lagaye. Ise acchi tarah se sukhne ke baad gungune pani se dho le aur halke haatho se pocchkar nariyal ka tel ya koi bhi moisturizer laga le.
-
Dur Kijiye Black Spots
Chehre se kale daag dhabbe hatane ke liye tamatar ke ras ko cotton me bhigokar daago par lagaye. Isse kale dhabbe saaf ho jayenge aur aapka chehra sundar dikhega.
-
Beauty Tips in Hindi For Pimples
Aalu boil karke uske chhilke nikal le aur unn chhilko ko chehre par male. Isse pimples ki samasya samapt ho jayegi.
Beauty Tips in Hindi from Kitchen: Gharelu Samagri se Nikhare Khubsurti
Kya aap jante hai ki, aapki damakti twacha ka raaz aap hi ke ghar me chhupa hai. Jee haa hum baat kar rahe hai aapke kitchen ki. Aapke ghar ke kitchen mai, jaha specially ladies apna jyadatar waqt gujarti hai, wahi chupa hai unki khubsurti ka raaj. Yaha dekhiye kuch aisi chize jo aapke kitchen mai aasani se payi jati hai: –
Aloe vera | Muhanse aur unke daag hataye |
Nimbu | Twacha ko repair kare |
Haldi | Rangat nikhare, daag hataye |
Kesar | Twacha ko gora kare |
Shahad | Chehre par chamak laye |
• Honey (Shahad)
Honey ek aisa ingredient hai jo sabhi ke ghar mai paya jata hai. Kya aapko pata hai ki honey aapki twacha ke liye kitna upyogi hai. Honey aapki twacha ke saare blackheads nikalne mai aapki madad karega aur aapki twacha ko ek komal ehsaas bhi dega.
Honey ek aisa ingredient hai jo sabhi ke ghar mai paya jata hai. Kya aapko pata hai ki honey aapki twacha ke liye kitna upyogi hai. Honey aapki twacha ke saare blackheads nikalne mai aapki madad karega aur aapki twacha ko ek komal ehsaas bhi dega.
• Gram Flour (Besan)
Besan se to aap sabhi vakif honge. Gram Flour lagbhag sabhi ke gharo mai paya jata hai. Yeh khane ko jitna swadishth banata hai, utna hi twacha ke liye bhi laabhkari hai. Besan mai nimbu aur milk milakar aap ubtan bana sakte hai. Iss ubtan ko apne chehre aur gardan par lagaye, thodi der rakhne ke baad thande pani se chehra dho le. Isse aapka chehra nikhar jayega.
Besan se to aap sabhi vakif honge. Gram Flour lagbhag sabhi ke gharo mai paya jata hai. Yeh khane ko jitna swadishth banata hai, utna hi twacha ke liye bhi laabhkari hai. Besan mai nimbu aur milk milakar aap ubtan bana sakte hai. Iss ubtan ko apne chehre aur gardan par lagaye, thodi der rakhne ke baad thande pani se chehra dho le. Isse aapka chehra nikhar jayega.
• Chini ka Scrub
Chini, nimbu ka ras aur olive oil, sabko ek saath mix karke aap body scrub tayar kar sakti hai. Mulayam twacha ke liye yeh scrub sahi hai. Iske mishran ko apne sharir par chini ke ghulne tak dhire-dhire ragade. Isse twacha ki rangat nikharti hai.
• Haldi (Turmeric)
Bhartiya rasoi mai haldi ka ek pramukh sthan hai, lekin haldi aapki khubsurati ko badhane mai bhi madadgar hai. Isse aapka rang nikharta hai aur chehre ke daag dhabbe dur hote hai.
• Aloe vera
Skin care mai aloe vera bhi mahatvapurn bhumika nibhata hai. Isse na keval chehre ki sundarta nikharti hai balki muhanso ke daag bhi thik hote hai.
• Nimbu
Nimbu mai moujud vitamin c twacha ko repair karta hai. Isse twacha mai chamak aati hai aur daag dhabbe bhi dur hote hai.
• Kesar
Yeh paste banane ke liye aapko dahi aur cream mai thoda sa kesar milane ki jarurat hai. Iss paste ko apne chehre par sukhne tak lagaye aur uske baad garam pani mai sokhe kapde se chehre ko poch le.
• Papita
Papita aapke chehre ki beauty ko badhane ke liye bahut faydemand hota hai. Isme aese enzyme hote hai ko chehre ko andar tak saaf karke, dead cells ko hatate hai. Jhurriyo ko kam karne mai bhi yeh behad sahayak hai.
Aap papite ka sevan bhi kar sakte hai. Ya fir ise face pack ki tarag bhi istemal kar sakte hai. Aapko bus itna karna hai ki papite ko mash karke chehre par lagale. Thodi der sukhne ke baad pani se dho le.
• Khira
Khira mai upastith labhkari poshak tatva jaise vitamin k, vitamin c, manganese aur beta carotene twacha ko swasth rakhne mai bahut labhkari hote hai. Sath hi yeh baalo ke liye bhi faydemand hai.
Khira ek natural cleanser bhi hai. Khire ko kiskar apne chehre par kuch der ke liye lagaye aur pani se dho le. Isse aapke twacha mai nikhar aayega aur blackheads bhi khatam ho jayenge.
• Coffee
Coffee aapki subah aur aapke face dono mai jaan daal sakti hai. Ek table spoon coffee powder mai do chammach dahi milale. Face ko acche se dho le aur fir iss mishran ko apne face par lagale.
15 minute ise rakhne ke baad dhole. Coffee mai moujud caffeine rakt ka sanchar badhata hai. Jisse aapki twacha mai chamak aati hai aur complexion badhta hai.
• Aam
Aam mai bhi twacha ko prakratik roop se bleach karne ke gun paaye jaate hai. Iske prayog ke liye aam ka guda le aur use chehre ke sath sath gardan aur hatho par bhi laga le. 15-20 minute ke liye sukhne de fir pani se dhole. Isse twacha ki rangat nikharti hai.
• Pyaj
Jin bhi logo ko twacha par patches hai we pyaj ke ras ka istemal kar sakte hai. Prayog ke liye 1 chammach nimbu ke ras me do chammach pyaj ka ras milaye.
Fir iss mishran ko apne chehre par 20 minute ke liye laga le. Iske baad gungune pani se chehra dho le. Aapka chehra ekdum saaf aur suthra dikhega. Isse gehri rangat bhi kam hoti hai.
Yadi aap apne chehre se til hatana chahte hai to isme bhi pyaj ka ras aapki madad kar sakta hai. Iske liye aap pyaj ke ras ko sidhe chehre par lagaye aur aadha ghanta baad chehra dho le. Iss prakirya ko aap hafte mai 3 baar kar sakte hai.
• Aamla
Yadi aap har wakt tarotaja twacha chahte hai to aamla ka prayog kar sakte hai. Thode se sukhe aamla ko raat ke wakt pani mai bhigode fir subah inhe peeskar paste banale. Iss paste ko aap chehre ke sath sath sharir par bhi laga sakte hai. Kam se kam aadha ghanta rakhe fir pani se dhole.
• Chandan
Chandan ka prayog hamesha se hi sundarta ko badhane ke liye kiya jaata aa raha hai. Isme moujud gun twacha ko kai prakar ki samasyae jaise ki twacha par tanning, twacha par kale dhabbe aadi.
Ise aap facepack ki tarah prayog kar sakte hai. Prayog ke liye do chammach chandan powder mai ek chammach besan aur thoda gulab jal milaye. 20 minute ke liye lagakar rakhe aur fir dhole.
Apni Skin ko Chamakane Aur inn Tips ki Adhik jankari ke Liye Dekhe ye Video in Hindi Language
Beauty Tips: Inn key points par bhi najar dale
- Hamesha khus rahe. Yeh baat medically proof ho chuki hai ki jo log roj 10 minute ke liye haste hai. Unka swasthya accha rehta hai aur chehre par apne aap glow aata hai.
- Kabhi bhi artificial coloring material jaise ki blush powder ka istemal naa kare. Iske bajay apne gaalo ko gulabi nikhar dene ke liye hafte mai teen baar gulab ki pattiyo aur dudh ka paste lagaye.
- Chehre ko exfoliate karna accha hai. Lekin roj roj exfoliate karne se dead cells ke sath sath live cells ko bhi nuksan pahuchta hai. Isliye hafte mai do din hi ise kare.
- Dhup mai nikalne se pehle hamesha sunscreen ka istemal kare. Aesa jaruri nahi hai ki garmiyo mai hi sunscreen lagaya jaye. Ise aap har mousam mai lagakar tanning ki samasya se bach sakte hai.
- Apne chehre ko sundar banaye rakhne ke liye ise hamesha saaf kare. Din mai teen se char baar chehra dhoye. Isme se do baar mild facewash ya besan ka istemak kare.
- Roj kam se kam 8-10 glass pani piye. Pani pine se aapke sharir ke sare dushit padarth nikal jaate hai. Body ke detox hone se chehre par pimples jaisi samasya nahi hoti aur chehra fresh najar aata hai.
- Mousam ke anusar apni beauty routine ko change kare. Thand ke dino mai aapki twacha rukhi ho jati hai isliye ise moisturize rakhne ke liye cold creams ka istemal kare. Jabki garmiyo mai keval light sunscreen lagaye.
- Yadi aap aksar makeup karti hai to ghar aane ke baad apne chehre ko makeup remover ki madad se acche se saaf kare. Makeup ke sath sone par aapko muhase ya twacha ki anya samasyae ho sakti hai.
- Yadi aap alag alag companies ke products ka istemal karte hai to isse bhi twacha ko hani pahuchti hai. Isliye ek company ke aur acchi quality ke products ka chunav kare.
- Kai baar aesa hota hai ki ham instant glow pana chahte hai. Yadi aap bina makeup products ke glow pana chahte hai. To pehle apna chehra mild facewash se acche se dho le. Fir tamatar ke ras mai shahad ya fir dahi milakar chehre par 10-15 ke liye lagaye aur gungune pani se dho le.
To yeh the kuch Beauty Tips Hindi. Inhe apne chehre par apply kijiye aur paiye komal, daag rahit, wrinkleless twacha. Get more details about Beauty Tips in Hindi from Beauty.
Download kijiye Beauty Tips in Hindi PDF aur dikhiye chamakdar aur sundar.