Bridal Beauty Tips in Hindi: Dulhan Ki Sundarta Badhaye

Shadi ka din har ladki ke liye behad khas hota hai. Iss din wo chahti hai ki wo bahut khubsoorat lage. Khubsoorat dikhne ke liye sirf kapde aur gehne hi nahi twacha ki sundarta ka bhi kahyal rakhna padhta hai. Twacha ka khaas hona, aapke makeup ko nikhar deta hai.

Isliye vivah ke dino mai pratyek dulhan prakratik sundarta paane ka kaafi prayatn karti hai. Isliye shadi ke din ke pehle wah kai prakar ke facial aur blech karwati hai. Isse twacha acchi dikhti hai par yeh chamak temprory hoti hai.

Swasth twacha hi dulhan ki sundarta ka ek anivarya hissa hai. Swasth twacha naa keval bahari sundarta balki andruni swasthya ki acchi stithi ko bhi darshata hai.

Yadi aapki shadi jald hi hone wali hai. Aur aapke chehre par daag dhabbe hai to aapko gharelu upchar jarur apnana chahiye. Yadi aapke chehre par daag dhabbe ho to chehra gora hone ke baad bhi accha nahi dikhta. Gharelu upcharo ko kaam karne mai thoda samay lagta hai lekin iska asar lambe samay tak tikta hai. Isliye yadi aapki shadi hone wali hai to jaldi se hi apna khayal rakhna shuru kar de. Aaiye vistar se jante hai Bridal Beauty Tips in Hindi.
 

Bridal Beauty Tips in Hindi: Inn Tariko Se Nikhregi Sundarta

 
Bridal Beauty Tips in Hindi
 

Twacha Ko Saaf Kare

Yadi aap apne chehre ki twacha ko accha karna chahte hai to sabse pehle to use saaf rakhna shuru kar de. Naa keval din mai balki raat ko sone jane se pehle bhi chehre ko dhoye. Sabun ke bajay besan ka istemal kare. Shadi fix hone ke kuch din pehle se hi ladkiya taiyar rehne lagti hai. Makeup ke sath sona nuksan deh ho sakta hai. Sone se pehle kacche dudh ki madad se makeup ko nikale. Yeh ek accha prakratik cleanser hai.
 

Vitamin C Ka Sevan

Aapne aksar dekha hoga ki aap upari tour par kitni hi koshish kyo na karle. Yadi aap andar se swasth nahi hai to aapka chehra accha nahi dikhta hai. Hame bhitari roop se accha hone ki jarurart hai. Iske liye vitamin c se bharpur khadya padhartho ka sevan karna jaruri hai. Darahsal vitamin c hamari twacha ke liye behad faydemand hai.

Isliye yadi aapne abhi tak vitamin c ka sevan karna shuru nahi kiya hai to bina der kiye chiku, nimbu, santara, amrud, papita aadi phalo ka sevan shuru kar de. Yeh swasth evam chamakdar twacha pane ka sabse sasta aur aasan upay hai. Yeh twacha mai nai koshikao ko utpanna karta hai aur twacha ko janva banaye rakhta hai.
 

You may also like:- Bridal Makeup Tips in Hindi: Dulhan ki Sundarta ko Nikhare

 

Haldi Ka Ubtan

Aapne aksar dekha hoga ki bhartiya sanskrati mai shadi se pehle twacha par ubtan ka prayog kiya jata hai. Bhale hi aapne ise keval ek rasm ki tarah hi dekha ho lekin aapki twacha ko accha karne mai bhi haldi bahut aham bhumika nibhati hai. Shadi se kuch din pehle hi hadli ko besan aur dudh ke sath milakar ubtan bana le aur chehre par 15-20 minute ke liye lagaye. Yeh ubtan aapke chehre ke daag dhabbe to dur karega hi sath hi twacha ki rangat ko bhi halka karega.

Yadi aapki twacha teliya ho to aap dudh ki jagah haldi mai nimbu aur gulab jal milakar bhi laga sakte hai. Isse chehre ke muhanse bhi thik ho jayenge. Kya aap jante hai ki yadi aapka rakt saaf nahi ho to aap lakh koshishe kar le aapki twacha ko nahi chamka sakte. Haldi ek prakratik ghtak hai jo twacha ki adhiktar samasyao se chutkara dilati hai. Isko aap vyanjan ya dudh ke sath le sakte hai. Lekin haa haldi ka ekdam adhik istemal bhi naa kare.
 

Bharpur Nind Le

Dulhan ki khubsurti ke liye jitana uski twacha ka accha hona jaruri hoti hai utna hi uski aankho ki khubsoorti bhi jaruri rehti hai. Der raat tak jagne se ya nind ke puri naa hone se aankho ke niche dark circles aa jate hai. Aankho ke niche ke kale ghere ko dark circles kaha jata hai. Yeh aapki sundarta ko fiki kar dete hai.

Isliye yadi aap darkcircles se chutkara pana chahte hai to rojana wakt par soye aur 7-8 ghante ki neend le. Iske atirikt roj kakdi ko ghiskar apne aankho par rakhe. Isse bhi aankho ke kale dhabbe se cutkara milta hai.
 

Acche Se Khana Khaye

Yadi aap thik tarah se khana nahi khaate hai to dunia ka koi bhi prodcut aapke chehre par chamak nahi la sakta hai. Isliye kuch ladkiya jo shadi ke exitement mai khana pina kam kar deti hai wo aesa bilkul bhi naa kare. Bridal Tips ke anusar shadi ke mahino pehle hi poshtik aur santulit aahar lena shuru kar de. Apne khan pan mai phal aur sabjiyo ko shamil kare. Lekin haa teliya bhojan se bache aur carbohydrate lena kam kar de.
 

You may also like:- Shadi se Pehle Groom (Dulha) ke Liye Skin Care Tips in Hindi

 

Dhup Se Bachav

Dhup ke samparke mai aane se twacha jhulas jati hai aur sun tanning ke karan kali bhi pad jati hai. To koshish kare ki dhup mai bahar jane se bache.Iske atrikt yadi aapko dhup mai bahar jana bhi padhta ho to sunscreen ka istemal kare aur scarf pehan kar hi bahar jaye. Iske atrikt sunburn se bachne ke liye green tea ka istemal kare. Yeh ek prakar ki herbal chai hai jo ki sunburn ko thik kar twacha se daag dhabbe ko hatakar komal banati hai.
 

Banana Face Mask

Chehre ki twacha mai kasav lane ke liye aap kele se bana face mask bhi istemal kar sakte hai. Sabse pehle to kele ko mash kar usme shahad aur nimbu ki kuch bunde mila de. Iss paste ko chehre aur gardan par laga kar 15 minute tak ke liye chhod de fir dho le. Aesa takriban hafte mai ek baar karne se twacha mai chamak aa jati hai.
 

Facial Ki Madad Le

Twacha ko nikharne ke liye aap facial ki bhi madad le sakte hai. Shadi ke pehle 2-3 facial kaafi hote hai. Facial ko shadi se pehle karyakram mai kam se kam 48 ghante pehle jarur ho. Yadi aap pehli bar facial karane ka soch rahi hai to shadi ke 1 mah purva ke bajay ise 2-3 mahine pehle karaye taki pata chale ki wo aapki twacha ke liye anukul hai ya nahi. Iske atrikt shadi ke din accha sa Bridal Makeup kare.
 
Bridal Natural Beauty Tips in Hindi
 

Khus Rahe

Shadi se pehle har ek ladki ke man mai tanav ho jata hai ki naye ghar mai wo kaise adjust karengi. Iske liye ladkiya thodi dukhi rehne lagti hai. To jitna ho sake khush rehne ki koshish kare. Iske liye aap vyayam ka sahara le sakte hai. Vyayam karne se sharir par sakaratmak prabhav padhta hai. Iske atrikt swayam ko bhitar se accha mehsus rakhne ke liye anya prayas bhi karna chahiye.
 

Faydemand Aloervera

Twacha aur baalo ke liye aloevera bhi bahut faydemand hai. Apni dekhbhal ke liye aap aloevera ka bhi sahara le sakte hai. Aapko yadi jankari naa ho to ham aapko batana chahte hai ki kai beauty products mai bhi iska istemal kiya jata hai. Twacha ke liye iske fayde janne ke liye pehle to twacha par aloevera lagaye aur 15-20 lagakar rakhe fir dho le. Yeh baalo ke liye bhi faydemand hai. Ise tel ke sath milakar baalo par aadha ghanta laga kar rakhe. Fir shampoo se baal dhole. Isse baal rukhe nahi honge.
 

Anya Fayde Inhe Bhi Jane:-

  1. Shadi aapke jivan ka ek bahut hi mahatvapurn din hota hai. Sharir ka aakar sahi rakhne ke liye vajan ghatane ka koi tarika apnaye. Ya fir swasth banaye rakhne ke liye kuch mahino pehle se mehnat kare.
  2. Sharir ke liye exfoliationkaafi jarurat hai. Rojana exfoliation karke apni twacha ko naram aur mulayam rakhe. Khusbudar tel ke sath sharir ki massage karne par thakan aur shadi se pehle hone wale tanav se muki milti hai.
  3. Shadi se pehle anar ka sevan kare. Anar mai antioxidant paya jata hai jo ki twacha mai aai kisi bhi prakar ki chhot aur kharoch ko jaldi bharne mai madadgar hota hai. Isko pine se khoon bhi bhadta hai. Isliye twacha ko laal dikhane mai yeh sahayak hota hai.

 
Upar aapne jana Bridal Beauty Tips in Hindi.Yadi apni shadi se pehle apna khayal rakhana chahti hai to upar diye gaye tariko ko jarur apnaye. Iske sath sath shadi se pehle chini aur mithai, chai, coffee,maide se bani chize chhod de. Isse aapki twacha to acchi hogi hi sath hi sath aapka swasth bhi accha rahega.

Loading...

You may also like...