Janiye C-Section Delivery ke Baare Mai Puri Jankari

Cesarean Delivery ka chalan tezi se badta ja raha hai. Kai mahilaye kewal prasav ke dard se bachne ke liye hi iska sahara leti hai. Lekin, kya aisa karna sahi hai. Kya kewal dard se rahat pana hi iska maksad hai. Aakhir kinn vishesh paristithiyo mai cesarean karwana chahiye. Aakhir, cesarean ke kya khatre hai. Cesarean karwane se pehle kinn kinn baato ka khayal rakhna chahiye. Inn sab ke bare mai aaj janiye iske bare mai puri jankari yaha par.

Cesarean athwa c-section, prasav ka wah tarika hai jisme shishu ke janm ke liye surgery ka sahara liya jata hai. Kuch paristhitiyo mai, c-section pehle se hi tay kar diya jata hai. Jabki adhiktar mamlo mai yeh paristhitijanya hota hai. Surgery ke baad maa ke liye sabse bada chinta ka vishay hota hai ki operation ke baad iss stithi ko kese samanya kare.

Dincharya aur mahilao ke swasth ke karan aajkal Cesarean section ke jariye delivery jyada ho rahi hai. Iske alawa agar pehle bhi Cesarean se delivery ho chuki hai to doctor dusri baar bhi c section karane ki salah dete hai.

You may also like:- Janiye Normal Delivery Ke Liye Kuch Raaz

Inn Tariko se Ubre C-Section Delivery Se

C-Section Delivery

Cesarean Section ke Baad:-
C-Section prasav ke turant baad se maa ke sharir ki stithi dekhi jati hai. Iss douran yeh dekha jata hai ki jo dawai aapko di gayi hai unka asar kitna huya hai. Dawai ka asar kam karne ke liye aap jyada se jyada aaram kijiye. Isse sharir ko relax milega aur aapka tanav bhi kam hoga.

Hospital se Chutti ke Baad:-
Hospital se chutti ke baad aapko dhyan khud hi rakhna hota hai. Iss bich bacche ke janm ke pehle hafte mai aapke mijaj mai badlav hota hai. Hormone mai badlav, thakawat aur bacche ki chinta aapko pareshan kar sakti hai. Yeh aam baat hai aur kuch dino mai aap normal ho jaygi, lekin kai gambhir mamlo mai kuch mahilaye depression mai chali jati hai.

Abdominal Belt:-
Kai mahilaye c-section delivery yani Cesarean ke baad apni abdominal belt ko utar kar rakh deti hai. Unhe shikayat hoti hai ki belt ko pehnane se unhe pareshani mahsoos hoti hai aur unka blood pressure bhi badh jata hai. Lekin agar aapka Cesarean operation huya hai, to aapka yeh abdominal belt jarur pehanana chahiye. Isse pet ko support milta hai aur pet ki badhi huyi charbi bhi andar jati hai.

Taral Padarth ka Sevan:-
C-Section ke baad jyada matra mai taral padartho ka sevan kijiye. Yeh delivery aur breastfeeding ke douran huyi kami ki bharpai karta hai. Taral padarth ko pine se kabj ki shikayat nahi hoti hai. Isk alawa mutra marg mai infection bhi nahi hota hai.

Dawai ka Prayog Kare:-
Iss samay sharir mai bahut tez dard hota hai, dard ko kam karne ke liye aao dard nirodhak dawai ka prayog kar sakti hai. Iske liye aap apne chikitsak se salah lekar painkiller ka prayog kar sakti hai.

Infection ko Pehchaniye:-
C-Section ke baad infection ho sakta hai, isliye humesha aap apne angi ki test karte rahiye. Iske alawa youni mai sujan, laal dane ya phir jaha chira laga huya hai waha dard to nahi ho raha hai. Yadi iss prakar ke lakshan dikhe to chikitsak se avashya sampark kijiye.

You may also like:- Pain Relief in Labour, Prsav mai Dard se Rahat Pane ke Upay

C-Section Delivery ke Khatre

C-Section ek badi surgery hai. To iske apne khatre hai. C-section karwane wali mahilao ko samanya delivery karwane wali mahilao ke mukable infection hone ka khatra adhik hota hai. Unhe adhik rakt bahne, rakt ke thakke jamne, postmortem dard, adhik samay tak hospital mai rehna aur delivery ke baad ubarne mai adhik samay lagna, jesi pareshaniya ho sakti hai. Iske alawa bladder mai chhot aadi jesi durlabh dikkat bhi ho sakti hai.

Shodh iss baat ko pramanit kar chuke hai ki c-section delivery ke jariye 39 hafto se paida huye bacche ko saans sambandhi taklif hone ki ashanka samanya roop se janm lene wale baccho ki apeksha adhik hoti hai.

Iske saath hi agar aap adhik baccho ki yojna bana rahi hai, to yeh har baar Cesarean ke baad ki jatiltaye badhti jaygi.

Halaki, yeh baat bhi sahi hai ki sabhi infection ko na to roka ja sakta hai, aur na hi roka jana chahiye. Kuch paristhitiyo mai c-section jaruri ho jata hai. Iske bina maa athwa shishu dono ke prano ko khatra bhi paida ho sakta hai. Apne doctor se iss baat ki jankari jarur le le ki aakhir aapko c-section karwane ki jarurat kyu hai. Iske saath hi usse c-section se sambhavit laabh aur kharre ke pare mai puri jankari le le.

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

Loading...

You may also like...