Causes of Obesity in Hindi: Jane Motape ke Mukhya Karan
Motapa ek jatil aur aam bimari hai. Yeh keval jyada khane ki wajah se nahi hota hai, balki shodh se pata chalta hai ki vyakti ke vajan ke liye uske genetics bhi ek mahatvpurn bhumika nibhate hai, visheshkar aswasth-motape (Morbidly-Obese) se grast logo ke liye. Aahar aur vyayam ek simit motape se grast logo ke liye prabhavi aur lambe-samay tak rahat pradan kar sakte hai.
Motapa tab hota hai, jab aap adhik calorie ka sevan karne lagte hai aur uss anupat mai calorie ko jalane ke liye vyayam ya dainik-gatividhi bahut kam karte hai. Aapka sharir calorie ki iss adhik matra ko vasa (Fat) ke roop mai jama karne lagta hai. Aamtour par motapa bahut se karano ki wajah se ho sakta hai. Aksar dekha gaya hai ki vyakti ki jeevan-sheli bhi uske motape ke liye jimmedar hoti hai.
Motapa dhire dhire pet se lekar gardan, kamar aur pairo tak badhne lagta hai aur iss anavashyak charbi badhne se hamare sharir ko kaafi nuksaan hone shuru ho jate hai. Motape ko agar samay rahte niyantrit nahi kiya gaya, to isse kai tarah ki gambhir bimariyo ke hone ka khatra badh sakta hai. Aaiye jante hain Causes of Obesity in Hindi.
Causes of Obesity in Hindi: Kyo Badhta hai Motapa?
Vajan badhne ke liye aswasth aahar ke alawa aur bhi aese karak hote hai, jo ki motape mai vraddhi karte hai, jaane vajan ko prabhavit karne wale kuch khaas karan:-
Chayapachay (Metabolism)
Aamtour par ham yeh sochte hai ki agar hum adhik calorie khate hai to vajan kam karne ke liye uske anusar hum calories ko jala lenge, to aasani se hamara vajan aur motapa kam ho jayega. Parantu, aesa sochna sahi nahi hai. Har vyakti mai bhojan ko urja mai badalne ki dakshta aur metabolism-rate alag alag hote hai.
Chayapachay-dar (Metabolic-Rate) bahut se karakon par nirbhar karta hai, jisme Basal Metabolic Rate (BMR) aur sharirik gatividhi ka star shamil hota hai. BMR ke niyantran ke liye Hormone-thyroxin bahut jaruri hota hai. Yeh hormone-thyroxin gardan mai thyroid-granthi dwara stravit hota hai. Iss hormone ka aparyapt utpadan motape ka khatra badha sakta hai.
You may also like:- Yoga for Obesity in Hindi: Motape Se Paye Nijat
Dawa (Medication)
Steroids, antipsychotics, antidepressants, seizure dawai aur diabetes ke liye jin dawao ka upyog kiya jata hai, unse vajan badhne ki kafi sambhavna hoti hai. kabhi kabhi Prader-Willi, cushing , polycystic ovary aadi ke lakhsan aur gathiya (arthritis) jaisi samasyao ke karan vajan bhadne lagta hai.
Khane ka Chunav
Kuch khadya padartho mai anya ki tulna mai adhik urja (Higher-Calories) hoti hai aur kuch khadya padarth hamari kshamta aur kushalta ko kam kar dete hai. Isliye, khadya padarth ke prakar aur unki matra vyakti mai adhik vajan badhane ke liye jimmedar ho sakte hai, jiske parinamswaroop motape mai vradhhi hone lagti hai. Adhik matra mai fast-food khana, subah nashta na karna, high-calorie wale pey-padarth peena, raat ko adhik calorie wala bhojan khana aadi vajan badhane mai yogdan karte hai.
Anuvanshiki Karak (Genetic Factors)
Ek shodh se pata chalta hai ki bhale hi pariwar ke har member ke aahar ek saman ya alag alag ho sakta hai, fir bhi motapa genetice se sambandhit hota hai. Vyakti ke genes vajan badhne ki pravratti mai ek mukhya bhumika nibhate hai. Aamtour par bachhe apne mata-pita se aur genetics se jivan-sheli sikhte hai aur use apanate hai. Isliye genetics vajan ko prabhavit karta hai. Obesity in Children ka mukhya karan yahi hota hai.
Nind mai Kami (Lack of Sleep)
Raat mai 7 ghante se kam nind lene se vyakti ke hormones mai badalav aane lagte hai, jiske karan unhe bhookh adhik lagne lagti hai. Aur iss eajah se vyakti high-calories aur high carbohydrates wale khadya padarth ki taraf aakarshit hone lagta hai, jiske sevan karne se uske vajan mai vraddhi hone lagati hai.
Parivesh (Surroundings)
Hamare pariwar ya dosto mai bahut se log hote hai jo ki mote hote hai. Yeh mukhyatah pariwar ke khane ke chunav aur genes ke karan hota hai. Obesity Facts ki baat kare to agar vyakti ke dono hi mata-pita motape se grast hote hai, to vyakti ke mote hone ki sambhavna aur bhi jyada badh jati hai. Iske alawa, job ke dauran rojana lambe samay tak kursi par baithne se bhi motapa badhne lagta hai aur vyakti ka sharir bedhol hone lagta hai.
You may also like:- Cycling Vs. Running for Weight Loss: Konsa Vyayam Hai Behtar
Samajik aur Arthik Karak (Social and Economic Issues)
Kayi tarah ke samajik aur arthik karan motape se jude hote hai. Bahut se logo ko arthik tangi aur chhote ghar ke karan na to vyayam karne ke liye surakshit jagah mil pati hai aur na hi unhe swasth aahar khane aur pakane ki jankari hoti hai. Aur ghar ke aaspas ke vatavaran ke anusar unki jeevan-sheli ban jati hai aur wo log apne swasth aur vajan par niyantran nahi kar paate hai. Yeh bhi motape ka ek karan hota hai.
Manovaigyanik Karak (Psychological Factors)
Bahut se log jab udas, nirash ya frustrated hote hai, tab aise log khana adhik khate hai. Ek ausat vajan wale vyakti mai manovegyanik samasya jyada payi jati hai. Aesa mana jata hai ki aamtour par jo log avsad (depression) aur aatmsamman-heenta (low self-esteem) se grasit hote hai, unme adhik khana khane ki gambhir samsya hoti hai. Iss vajah se unka vajan adhik badhne lagta hai.
Upar aapne jana Causes of Obesity in Hindi. Motape ke kayi karan ho sakte hai, magar iska matlab yeh nahi hai ki inme se koi ek bhi samasya aapme moujud ho to aapka vajan badh jayega. Aap apne aahar, sharirik gatividhio, vyayam aur apne vyavhar mai parivartan lakar motape se bach sakte hai.