Health Benefits of Chickpeas: Chana Khane se Swasth Laabh

Chana humare sharir me protein ki aapurti karta hai. Isliye ise protein ka raja bhi kaha jata hai. Yaha aap janege Health Benefits of Chickpeas, jisko jankar aap khud ko ise khane se nahi rok payge.

Agar aap ko furtila banana ho to chana sabse accha upay hai. Iska niyamit roop se sevan karne se aap swasth aur takatwar ban sakte hai. Ye aapko sundar aur tez dimag wala banata hai. Isme carbohydrate, protein, moisture, smoothness, fibre, calcium, iron aur Vitamins paye jate hai.

Anemia, Constipation, Diabetes aur Jaundice jese rogo me chane ka prayog laabhkari hota hai. Baalo aur twacha ki khoobsurti badane ke liye chane ke aate ka prayog hitkari hai. Aaiye jante hai Chane ke Fayde.

Health Benefits of Chickpeas: Janiye Chane ke Fayde in Hindi

1) Protein se Bharpur

Chickpeas me protein ki matra bharpur hoti hai. Chane me lagbhag 12 se 15 gm proteib hota hai. Yeh anaaj ke mukable kai guna jyada hota hai. Isse sharir swasth bana rehta hai.

2) Manganese ka Bhandar

Khoon me lagatar bahav me copper aur manganese jese micro nutrients ka hona bahut Jaruri hai. Chana manganese ka bahut accha source hai. Ise khane se sharir ka temperature sahi bana rehta hai.

Health Benefits of Chickpeas

You may also like: Urad Dal Benefits: Sehat ke Liye Faydemand Black Gram

3) Anemia se Bachav

Chana iron ka ek bahut accha source hai. Iske niyamit sevan se anemia ki pareshani nahi hoti hai. Isliye anemia ke ucch jokhim ke douran mahilaye (Garbhavati, Stanpan karane wali, Masik Dharm), baccho aur logo ko dainik aadhar me ise shamil karna chaiye.

4) Vajan Kam Karta Hai

Health Benefits of Chickpeas ko dhyan me rakhkar iske fayde paiye. Fibre se bharpur hone ke karan yeh vajan ghatane ka ek prabhavi prakratik upay hai. Yeh na keval bhuk ko niyantrit karne me madadgar hota hai balki lambe samay tak aapko fuller mahsoos karata hai.

5) Phoshorus aur Iron ka Source

Chane me lagbhag 28% phosphorus aur Iron hota hai. Yeh na keval blood cells ka nirmann karte hai balki hemoglobin badfa kar kdney ko namak ki adhikta se bhi saaf karte hai. Isliye kidney ke swasth ko banaye rakhne ke liye isse apne aahar me shamil karna faydemand hota hai.

6) Cholestrol Ghataye

Chana cholesterol ko kam karne me bhi aapki madad karta hai. Yeh intestine me pitt ras kje saath mil kar khoon me bade huye cholestriol ke level ko kam karne me madad karta hai.

7) Blood Pressure par Niyantran

High Blood Pressure se grasit logo ki blood vessels me parivartan kar chana takat ko revocate hone se bachata hai. Chane potassium aur magnesium ki mojudgi ke karan ek kaya me sahi electrolyte parivartan pragati me madad karta hai. Iss tarah chane ko dainik aahar me shamil kar aapko swasth jivan jine me madad mil sakti hai.

8) Pachan Vikar se Bachata Hai

Chana pachan aur intestine ke swasth ko thik rakh pachan tantra sambandhi vikaro kjo dur karne me madad karta hai. Chane me Phytonutrients, ucch protein aur Vitamibn aur mineral bharpur matra me hota hai. Jo constipation, acidity, indigestion jese intestinal complications ke khatre ko kam karne me madad karta hai.

9) Mahilaye me Hormone ka Level Banaye

Chana Phytonutrients ka bahut accha source hai. Yeh stan cancer ke khatre ko kam karne me madad karta hai. Iske alawa chana Menstrual Period aur Menopause ke baad ke lakshano ke douran mahilayo me hone wale mansik badlav se rahat pradan karta hai.

Upar aapne jane Health Benefits of Chickpeas, jo aapko rakhe swasth aur tandaroost. To aaj se Chane ka niyamit roop se sevan shuru kar de aur paiye Chane ke Fayde.

Get more update about Chane ke Fayde in Hindi from Food.

Loading...

You may also like...