Crohn’s Disease in Hindi – Jane Eske Prakar aur Lakshan

Crohn disease ek aisi bimari hai jiske dwara manushya ke pachan tantra ki parat par gambhir sujan aa jati hai, isliye ise dahak aatra rog (inflammatory bowel disease) bhi kahte hai.

American gastroenterologist Burrill Crohn ne 1932 mai sabse pahle es bimari ki sampurn jankari pur vishv ko pradan ki thi. Burril ke anusar waise to yah bimari jayatar 20 saal ke ander ki aayu wale manushya ko hoti hai, magar yeh jivan kal mai kabhi bhi kisi ko bhi ho sakti hai.

Ek shodh ke anusar yadi aap smoke karte hai to aise vyatiyo mai crohn hone ki sambhavna jayada hoti hai. Jewish ancestry ke anusar european vyaktyo mai crohn’s dieases jyada matra mai paya jata hai jabki African aur Amairican vyaktiyo mai yeh diease bahut kam paya jata hai.

Crohn disease hamare pachan tantra ke kisi bhi hisse ko prabhavit kar skati hai. Jismai muh, pet, choti aant (ileum), badi aant (colon), malashya or guda bhi shamil hai. Jo hissa sabse jyada prabhavit hota hai wo hai Choti Aant (ileum) aur Badi Aant (colon). Ise shetriya aatrashodh bhi kahte hai, kyoki yeh pachan tantra ke sabse majboot hisse ko prabhavit krta hai, dusri bhasha mai kahe to yeh pachan tantra ke ek shetra ko prabhavit karta hai. Iske bare mai aur janne ke liye aaiye dekhte hai Crohn’s Disease in Hindi.
 

Crohn’s Disease in Hindi: lakshano Ko Jankar Kare Jald Upchar

 
Crohn’s Disease in Hindi
 
Crohn Disease ka asar sabse jyada pachan tantra par padhta hai. Yaha janiye yeh pachan tantra ke koune hisse ko prabhavit karta hai.

  1. Crohn disease aanto ko apne samanya karya karne se bhadhit kar deta hai. Jisse sharir mai andar hi andar nayi bimari apni jad bana leti hai.
  2. Crohn’s hamari aanto mai rukavat peda kar deta hai, jisse sahrir ki vradhi aur vajan badna band ho jata hai.
  3. Yeh aanto me alsar ka vikas karta hai.
  4. Yeh khadya padhartho ke poshak tatvo ko avshoshit kar leta hai, jisse sharir ka av-shoshan hone lagta hai.

 

Crohn’s Disease aur Ulcerative Colitis mai Antar

Unclerative Colitis aur Crohn disease dono hi ek group inflammatory bowel disease (IBD) ke hisse hai. Unclerative Colitis badi aant (colon) ki upari satah ko prabhavit karta hai, jabki Crohn disease dono aanto ki sabhi satah ko ghambhir roop se prabavit krta hai. Kyoki yeh dono bimariya pachan tantra ke hisso ko prabhavit karte hai isliye inhe ek group inflammatory bowel disease kaha jata hai.
 

Crohn’s Disease Causes – Iss Bimari ke Karan

Crohn’s Disease Causes kya hai, iska pta aaj tak nahi lag paya hai, magar chikitsako ke anusar yeh bimari anuvanshik (genetic) hoti hai, jo pariwar ke kisi sadsya ko ho jane par pidhi-dar-pidhi aage badti jati hai.
 

Symptoms of Crohn’s Disease – Jane Iske Lakshan

Crohn’s Diseases 5 tarah ka hota hai aur sabhi ke lakshan alag-alag hote hai. Yaha hum apko sabhi tarah ke crohn’s disease ke bare mai jankari de rahe hai, jiske jariye aap en lakshano ko jankar apne najdiki doctor se Crohn’s Disease treatment ki salah le sakte hai.
 

  1. Dast Lagna: Diarrhea crohn’s disease ka sabse pahla lakshan hai, agar ek din mai 10 se 20 baar dast ho to yakinan apko crohn’s hai, kabhi – kabhi dast ke sath khoon bhi aata hai.
  2. Bukhar: Tej ya halka Bukhar (fever) hona, sharir ka tutna, sfurti kam ho jana aur aanto me sankraman ho jana yeh sabhi crohn’s disease ko darshata hai.
  3. Pet Dard: Pet mai bahut jyada dard ya ethan (marod) hona.
  4. Vajan Badhna: Bhook na lagna, sharir ka vajan kam ho jana ya sharir ki vradhi na hona.
  5. Muh Ke Chhale: Muh mai ghav ho jana jaisa cancer pidit vyakti ko hota hai.
  6. Perinatal Disease:  Sharir ke guda bhag mai dard hona, ghav ho jana ya pani aana.
  7. Twacha, aankho aur jodo mai dard hona

 

You May Also Like:- Symptoms of Pancreatic Cancer: Jane Iss Bimari Ke Lakshan

 

Types of Crohn’s Disease: Crohn’s Disease ke prakar

Agar apko crohn’s disease hai to yeh janna behad aavshayak hai ki apke pachan tantra ke kis hisse mai yeh bimari hai. Jante hai crohn’s disease ke prakar aur uske lakshan-
 
Ileocolitis: Ileocolitis, Crohn’s disease ka samanya prakar hai jo Choti Aant (ileum) aur Badi Aant (colon) ko prabhavit karta hai. Jyada dast hona (Diarrhea), Vajan kam hona, jodo me bahut dard hona, sharir ke madhya aur nichle hisse mai dard hona iske mukhya lakshan hai.
 
Ileitis: Ileitis kewal choti aant (ileum) ko prabhavit karta hai, iske lakshan ileocolities ke saman hai magar iletis me sharir me fode bhi ho jate hai.
 
Gastroduodenal Crohn’s Disease: Gastroduodenal Crohn’s disease pet aur choti aant (ileum) ke uppri bhag ko prabhavit karta hai.  Bhook na lagna, Vajan kam ho jana aur ulti (vomiting) iske mukhya karan hai.
 
Jejunoileitis: Jejunoileitis disease, choti aant ke madhya hisse mai sukhapan lata hai. Bhojan ke baad sharir me ethan ya dard,  bukhar (fever) ya dast hona iske mukhya lakshan hai.
 
Crohn’s (granulomatous) Colitis: Yeh crohn badi aant (colon) ko prabhavit karta hai. Twacha or muh mai ghav, jodo me dard, jyada dast ke sath khoon aana aur guda bhag mai ghav or pani aana iska mukhya lakshan hai.

Upar aapne jana Crohn’s Disease in Hindi. Yadi aapko uprokt lakshan dikhai deta hai to chikitsakt ki salah jarur le.

Loading...

You may also like...