Dandasana in Hindi – Jane Iski Vidhi, Labh aur Savdhani

Yadi vyakti majboot ho to har kaam aasani se kar paata hai. Isliye har vyakti chahta hai ki wo majboot ho. Yadi koi purush majboot hone ke sath sath, uche kad wala, chodi chhati wala ho to wo aur bhi adhik aakarshit lagta hai. Yog ki madad se aap chodi aur majboot chhati pa sakte hai.

Yog ke antargat kiye jane wale, Dandasana ko ise karne se bahut fayda milta hai. Yeh bahut hi kam samay mai vyaki ke sharir ko majboot bananta hai. Ise angreji mai Staff Pose Yoga kaha jata hai.

Jo log dinbhar baithkar kaam karte hai, unka sitting posture bahut kharab ho jata hai. Aese logo ko dandasan jarur karna chahiye. Kyoki yeh body ke posture ko bhi sudharta hai. Yeh aapke ridh ki haddi ko sidhi banata hai.

Isliye yadi aapko lagta hai ki aapka sharir upar se jukh gaya hai ya fir aapki upari body shape mai nahi hai to aapko iska abhyas shuru kar dena chahiye. Iski vidhi aur fayde janne ke liye padhiye Dandasana in Hindi.
 

Dandasana in Hindi – Chhati Majboot aur Choudi Banaye

 
dandasana-in-hindi
 

Dandasana Steps mai Dekhe Iske Karne Ki Vidhi

  1. Dandasana ka abhyas karne ke liye kisi samtal jagah ka chunav karke, dari bichakar baith jaye.
  2. Aapko baithte wakt apni peeth ki haadi ko bilkul sidha rakhna hai. Aapke pairo ko bhi ek dusre se satakar rakhe.
  3. Apne sir ko bhi ekdam sidha rakhe, Yadi aapko confusion ho to dikhaye gaye chitra ki madad le.
  4. Iske paschat aap apne pairo ki ungaliyo ko andar ki aur moudne ki koshish kare aur talvo ko bahar ki taraf kare.
  5.  

    Saans ko samanyatah chalne de aur iss avastha mai 20 se 30 seconds tak rahe.

 

Staff Pose Precautions: Iski Barte Jane Wali Savdhaniya

Jab bhi aap Dandasana Yoga ko karte hai to aapko kuch chizo ka dhyan rakhna chahiye:-

  • Dandasana karne mai to vaise bahut hi aasan hai, lekin yadi aap yog ke liye naye ho to behtar hoga ki aap yog shikshak ki dekhrekh mai iska abhyas kare.
  • Yadi aapko pith, kamar dard aadi mai kisi tarah ki chot ho to iss asana ka abhyas naa kare.

 

Dandasana Benefits in Hindi – Fayde Janiye

  1. Yeh asana ka abhyas karne se kandho aur chhati mai khichav aata hai.
  2. Jo log dandasana ka abhyas karte hai, unke sharir ki mudra sudharti hai.
  3. Iss asana ko karne se pith ki mashpeshiya majboot hoti hai.
  4. Isse aapke pet mai khichav aata hai aur wo majboot banta hai.
  5. Asthma ke illaj ke liye bhi yeh yogasan faydemand hai.
  6. Dandasana ko karne se tanav dur hota hai aur mansik shanti milti hai.
  7. Yeh ekagrata badhane mai sahayak hai isliye students ko to iska abhyas jarur karna chahiye.
  8. Isse pachan tantra majboot hota hai, aur sharir ke sabhi ang majboot hote hai.
  9. Ridh ki haddi se judi kai pareshani isse dur hoti hai.

Prarambhik Asana  Adho Mukha Shvanasana, Uttanasana
Baad Ke Asana  Bharadvaja’s Twist, Purvottanasana
Asana Ka type   Baithkar Kiye Jane Wala
Kab Na Kare   Pith mai Chout Lagne Par
Fayda    Mudra mai Sudhar, Asthma mai fayda
Samay  20 se 30 seconds
Majboot Banata Hai Kandhe aur Chhati

  

 

Shuruwati ke Liye Tip:-

Ise karte wakt aapka vajan nitambo par acchi tarah santuluit hona chahiye. Sath hi yadi aapse shuruwat mai yeh nahi karte ban raha hai to aap shuru ke 3 se 4 din iss yogasana ko diware ke sahare tek kar bhi kar sakte hai.
 
Upar aapne jana Dandasana in Hindi. Bhale hi yeh asana dikhne mai aasan hai lekin chhati, pet aur pith ke liye accha vyayam hai. Yeh Parvatasana ka baitha hua prakar hai. Yeh mudra baithkar kiye jane wale asana ki neev hai.

Loading...

You may also like...