Dant Dard Ke Gharelu Nuskhe – Prakritik Dard Nivaran

Dant hamari body ka ek bahut hi important part hai. Dant mai koi bhi problem hone par hum khane peene se bhi vanchit ho jaate hai. Aur danto ka seedha connection head ke saath hota hai. Isiliye aaiye jante hai Dant Dard Ke Gharelu Nuskhe. Jiski madad se aap swasth reh sakte hai.

Danto me dard hona means headache start ho jaana. Isse aap bahut jyada pareshan ho jate hai aur chid-chidapan bhi mahsoos karne lagte hai.

Danto ka nata na sirf chehre ki khubsoorti se hai balki iske bina jindagi bhi mushkil ho jati hai. Humame se adhikansh log daanto ki saaf-safai ko gambhirta se nahi lete hai, jiske karan aneko bimari ho sakti hai.

To aaiye inka khayal rakhne  ke liye jane kuch Gharelu Nuskhe jinka prayog karke apne danto ka dard hamesha ke liye dur kar dijiye.

Prakritik Dant Dard Ke Aasan Gharelu Nuskhe

Gharelu Nuskhe for Toothache by Using Hing
  • Hing: Jab bhi dant dard ke gharelu upchar ki baat aati hai, Hing ka naam sabse pahle aata hai. Kyuki hing se danto ke dard ko instant aaram milta hai. Isko use karna bhi bahut easy hai. Thodi si hing le, usko mosambi ke ras me milaye aur fir cotton me lekar uss cotton ko apne dard karne wale dant par rakh dijiye, isse aapko dard se turant nijat milegi.

You may also like:- Home Remedies for Tooth Pain in Hindi: Daanto Ka Ilaj ab Ghar Par

Gharelu Nuskhe for Toothache by Using Laung
  • Laung: Laung mai aushdhiya gun hote hai, jo bacteria aur dusre germs ko remove karte hai, jisse danto ka dard band ho jaata hai. Laung ko dard karne wale daant ke paas rakhiye. Lekin is prakriya mai thoda time lagta hai, to aapko thoda patience rakhna padega.
Gharelu Nuskhe for Toothache by Onion
  • Onion: Onion danto ke dard ke liye best solution hai. Jo log khane ke saath roz kaccha onion khate hai unhe danto ki takleef bahut kam hoti hai. Onion mai kuch aise aushdiya gun hote hai jo mouth ke germs, bacteria aur jeevanu ko delete kar dete hai. Agar aapke dant me dard hai to kacche onion ko dant ke paas rakhe aur chabaye. Aisa karne ke kuch hi der baad aapko relief milega.

Gharelu-Nuskhe

Gharelu Nukhe for Toothache by Lahsun
  • Lahsun: Lahsun bhi daant dard me bahut relief pahuchahta hai. Lahsun mai antibiotic gun hote hai. Jo anek prakar ke bacteria se ladne me saksham hote hai. Lahsun ki 2 kali le aur usko kaccha chabaye. Isse aapko immediate asar dikhega.
More Advices Dant Dard ke Liye
  • Jab daant dard ho to meetha na khaye, kyuki meetha khane se bacteria aur germs aur bhi jyada badhte hai. Jisse aapke daanto ka dard aur badh sakta hai aur aap pareshan reh sakte hai.

Inn Upay ke Dwara Bhi Aap Dant Dard se Nijat Paa Sakte Hai

  • Danto ki acche se safai kare.
  • Doctor ki salah se tooth paste ka chunav kare.
  • Bhojan mai protein aur calcium yukt padarth ka sevan kare. Danto ka aadhar calcium hi hai.
  • Jarurat se jyada mitha khane se bache.
  • Haldi aur bhuni fitkari ka powder mila kar manjan kare.
  • Aam ke taaza patte ko chabaye aur thuk de.
  • Adhik tamatar ka sevan kare. Usse aapke daant majboot hoge.
  • Agar aapke daanto mai dard hai to namak ka mila pani se garare kare.
  • Haldi aur sarso ka tel milakar bhi aap manjan kar sakte hai.
Watch Video Here:-

Agar upar diye gaye Dant Dard Ke Gharelu Nuskhe se aapka dard thik nahi hota hai to doctor se concern kare. Kyuki upar diye gaye upchar normal toothache ke liye hai. Ho sakta hai aapke danto mai koi gambhir samasya ho jiska upchar bas doctor ke concern me hi ho pata hai.

Get more details of Dant Dard from Home Remedies.

Loading...

You may also like...