Dengue Fever in Hindi – Janiye Iske Lakshan, Karan aur Bachav

 

Dengue ek khatarnak bimari hai jo ki mada Aedes aegypti macchar ke katne se hoti hai. Ham aapko bata de ki puri dunia mai lagbhag 10 crore se jyada logo iss bimari ke shikar hote hai. Yaha tak ki hamare desh mai bhi iske karan kai logo ki mritu dekhne ko milti hai.

Dengue ka bukhar bahut battar hota hai jo vyakti ki jindagi kharab kar deta hai. Iska bukhar bahut dardnak hota hai. Iss bukhar ke douran sharir ke platelets kam ho jate hai.

Jab dengue ka macchar vyakti ko katata hai to khun ke andar dengue virus ka sankraman ho jata hai. Dengue hone par vyakti ki chamdi par laal chakatte padh jate hai. Dengue mai thand lagkar bukhar aata hai. Sankramit macchar ke 3 se 14 din bad hi dengue fever ke lakshan dikhai dene lagte hai.

Yeh ek khatarnak viral rog hai. Yadi iska samay par ilaaj nahi kiya jaye to vyakti koma mai chale jata hai yaha tak ki uski mritu bhi ho sakti hai. To kyo na iske lakshano aur upcharo ki jankari rakhi jaye. Aaiye jante hai Dengue Fever in Hindi.
 

Dengue Fever in Hindi – Jane Iss Bimari Ki Samast Jankari

 
Dengue Symptoms and Treatment
 

Dengue Symptoms, Iske Lakshano Ko Pehchane

  1. Dengue se pidit vyakti ko tej thandi lagkar bukhar aata hai.
  2. Isse pidit vyakti ke naak se khun bahne lagta hai.
  3. Kuch logo ki twacha par laal funsi ya lal chakatte hone lagte hai.
  4. Dengue hone par bahut jyada sirdard hone lagta hai.
  5. Iske hone par aankho ke piche bahut dard hota hai.
  6. Iske hone par nimn raktchaap ki samasya hoti hai.
  7. Matli aati hai aur jee ghabrata hai.

 

What Causes Dengue – Yeh Kaise Failta Hai?

  • Dengue ke macchar din mai katate hai aur iske jyada mamle barsat mai dekhne ko milte hai.
  • Jin logo ki rog pratirodhak kshamta kam hoti hai un logo ko dengue aasani se ho jata hai.
  • Dengue ka macchar ruke huye pani mai failta hai, jaise cooler ke pani mai, aaspas ke nalo mai aadi.

 

Dengue Prevention – Isse Bachav

  1. Dengue ke liye koi khas dawai nahi hai. Lekin kuch savdhaniyo ko rakhkar isse bacha ja sakta hai.
  2. Apne ghar ke aaspas saaf safai rakhe. Kisi bhi jagah pa pani na jame hone de.
  3. Sham ke wakt macchar jyada aate hai isliye sham ke wakt khidkiya band rake.
  4. Macchar se bachne ke liye dawai chidke, All out ka istemal kare.
  5. Dengue ke marij ko papite ke patto ka ras pilate rehna chahiye, kyuoki isse khun ki kami puri hoti hai.
  6. Iss douran jitna ho liquid le taki sharir mai pani ki kami na ha hi paye.
  7. Dengue Fever Prevention ke liye jyada se jyada aaram karna chahiye.
  8. Iske liye dawai moujud nahi hai lekin fir bhi chikitsak ko dikhaye. Doctors aapko iske side effects hone se bachate hai.

 

Dengue Se Bachne Ke Liye Kuch Gharelu Tarike

Dengue se bachne ke liye aapke body ka immunity systems improve karna jaruri hai. Kyoki jab yeh bimari hoti hai to aapke sharir se platelets kam hone lagti hai. Jo log kamjor hote hai unki stithi aur bhi gambheer ho jati hai. Isliye kuch aesi diet lena jaruri hai jisse aapke sharir mai platelets ki sankhya kam nahi hoti. Iss tarah se aap Dengue Cure ko kaafi had tak dur kar sakte hai.

Anar Ka Juice: Subah sham anar ka juice peene se kamjori aati hai aur khun ki kami dur hoti hai aur platelets bhi badhte hai.
 
Tulsi: Tulsi bhi aapke sharir ki immunity system ko badhane mai madadgar hai. Isme antibacterial gun hote hai jo sharir ki kamjori ko dur karne mai sahayak hai.
 
Nariyal Pani: Isme electrolyte moujud hote hai jo aapke sharir mai platelets ko badhane mai madad karte hai. Iske alawa nariyal pani aapke swashtya ke liye faydemand bhi hota hai.
 
Santre Ka Ras: Santre ka ras hamare sharir ko detox karta hai aur cells ko repair karne mai madad karta hai. Santre mai vitamin c ki bharpur matra hoti hai jo ki immunity system badhane mai madadgar hai.
 
Papita: Papita aapke pachan ko thik karta hai. Yeh aapke pet ke liye bahut accha hai. Papite mai bhi Vitamin C paya jata hai. Iska sevan karke bhi aap apne sharir mai platelets ki sankhya ko badha sakte hai.
 
Haldi: Haldi mai antibacterial gun hote hai. Yeh aapke metabolism ko badhane mai madad karta hai. Haldi ke fayde bharpur hai.
 
Tamatar: Tamatar hamari sehat ke liye bahut accha hota hai. Isse sharir mai khun badhta hai. Isme vitamin c ki acchi matra hoti hai. Isliye ise khane se energy bhi milti hai aur kamjori bhi dur hoti hai. Do tamatar ka sevan aapko ek plate healthy nashte ke barabar poshan deta hai.
 
Palak: Palak ko life saving food bhi kaha jata hai. Isme iron, calcium ke sath sath protein bhi moujud hota hai. Sath hi isme moujud vitamin K aapke blood mai platelets ki sankhya badhata hai.
 
Upar aapne jana Dengue Fever in Hindi. Jab bhi aapko upar bataye gaye lakshano mai se ek bhi lakshan dikhe to turant doctor se sampark kare. Kyoki samay par illaj hi aapko dengue se nijat dila sakta hai.

Loading...

You may also like...