Energy Food for Garba in Hindi: Dandiya Khele Energy Ke Sath
Navratri Festival ka har kisi ko intezar rehta hai kyonki inn dino mai naa keval ladke-ladkiya balki bade bhi dandiya ka aanand lete hai. Dandiya khelna to har kisi ko pasand aata hai lekin iska pura maja uthane ke liye aapko urjavan bane rehna bahut jaruri hai.
Dandiya khelte samay aapke pure sharir ka accha khasa workout hota hai. Iske liye aapko kaafi energy ki jarurat hoti hai aur iss energy ko pane ke liye energy se bharpur aahar ko khana bahut jaruri hai. Kyonki sahi aahar lene se hi aap pure garbe mai acche se khel payenge aur enjoy kar payenge.
Isliye aaj ke lekh mai ham aapko kuch aise aahar ke bare mai bata rahe hai jinko khane se aap garbe khelte samay bilkul bhi tahakavat mehsus nahi karenge sath hi aapka chehra bhi glow karega. To aaiye jante hai Energy Food for Garba in Hindi.
Energy Food for Garba in Hindi: Inn Aaharo Ko Jarur Khaye
Oats Ka Sevan Kare
Aap apne nashte mai oats ko shamil kar sakte hai, kyonki isme carbohydrate, protein, minerals aur fatty acid hone ke sath sath fiber bhi bharpur matra mai hota hai. Aap chahe to garbe khelne jane se pehle bhi iska sevan kar sakte hai.
- Iske sevan aapke sharir mai sharkara badne nahi deta hai.
- Yeh aapko pure samay urjavan banaye rakhta hai.
- Isme vitamins adhik matra mai hote isliye inhe khane se bharpur enegy mitli hai.
Brown Rice Ka Sevan Kare
Brown rice mai magnesium hota hai jo sharir mai urja ko banaye rakhne mai madad karta hai. Brown rice ko ubal kar khane se aapko kafi fayda milega.
- Isme moujud carbohydrate aapko energy dete hai.
- Brown rice mai protein hota hai jo sharir ke liye faydemand hota hai.
- Brown rice vajan ghatane mai madadgar hai. Isliye vajan kam karne ki chahat rakhne wale bhi ise le sakte hai.
Ande Ka Sevan Kare
Garba practice ke douran ande ka sevan jarur kare, kyonki ande mai protein aur minerals acchi matra mai hote hai. Ande ko ubal kar khane se aapke sharir ko takat milegi tatha khun mai HDL ka star bhi sahi bana rahega.
- Dil ki sehat ke liye bhi ande ka sevan accha mana jaata hai.
- Isse aap jaldi thakan mehsus nahi karenge.
Kela Ka Sevan Kare
Garba practice karne ke ek ghante pehle kele ka sevan jarur kare. Aap chahe to dahi aur kela bhi kha sakte hai. Kele ka sevan karne se aapko turant urja milti hai aur yeh urja kafi der tak aapke sharir mai bani rehti hai.
- Kele mai glucose, sucrose aur fructose hota hai jisse aapko urja milti hai.
- Iske alawa inme magnesium aur potassium bhi hota hai jisse aap lambe samay tak urjavan bane reh sakte hai.
Coffee Ko Piye
Coffee pine ke bad aapki garba performance kaafi acchi rahegi. Ek research se pata chala hai ki coffee pine se aapke andar urja bani rehti hai. Yakin maniye coffee pine ke bad Garba Dance karenge to aap bilkul bhi nahi thakenge.
- Coffee mai carbohydrate aur antioxidant gun hote hai.
- Yeh aapke sharir ki atirikt charbi kam karne mai bhi sahayak hoti hai.
Sukhe Meve Ka Sevan Kare
Sukhe meve sharir mai urja banaye rakhe ka ek bahut accha vikalp hai. Inme kai sare poshak tatva hote jo aapke sharir ko swasth banaye rakhne mai madad karte hai.
- Badam mai copper, manganese, riboflavin aur protein aadi bharpur matra mai hote hai.
- Badam khane se aapko garbe khlene mai jitni urja ki aavshyakta hoti hai utni mil jati hai.
Chocolate Ka Sevan Kare
Chocolate khana har kisi ko pasand hota hai aur ise dekhkar hi muh mai pani aane lagta hai. Lekin kya aapko pata hai chocolate Energy Boosting Foods mai se bhi ek hai jisse khane se aapko turant urja mil jati hai.
- Iske kai sare poshak tatva hote hai jo aapko fit banaye rakhte hai.
- Iske sevan se aap mai instant energy aa jayegi aur aap utni hi energy ke sath garbe khel payenge.
Santre Ka Sevan Kare
Santre mai vitamin C bharpur matra mai hota hai aap chahe to santre ko kisi aur food ke sath bhi kha sakti hai ya fir iska ras bana kar bhi pi sakti hai. Isme potassium, pectin aur fiber ke gun hote hote.
- Iska ras pine se aap tarotaja mehsus karengi.
- Iske alawa aapki thakan chhumantar ho jayegi.
Yeh Bhi Janiye Kis Aahar Se Milegi Kitni Energy
Aahar | Milne wali Energy |
---|---|
Santra | 47 Kcal |
Badam | 576 Kcal |
Coffee | 146 Kcal |
Oats | 379 Kcal |
Kela | 200 Kcal |
Upar aapne jana Energy Food for Garba in Hindi. Inka sevan karne se aap pure navratri mai garbe ko bina thake khel payengi aur aapse thakan koso dur rahegi. Aap inn tips ka istemal kare aur apne garbe ko enjoy kare.