Estrogen Side Effects in Women: Aurto mai Iske Lakshan Jane

Sharir mai harmones ka bahut mahatva hota hai. Yeh aapke hriday se lekar dimag ko niyantrit karte hai. Usi tarah aurto mai Estrogen namak harmone paya jata hai. Vaise to sharir mai Estrogen ke 6 prakar mojud hote hai. lekin ‘Estradiol’, ‘Estrone’ aur ‘Estriol’ yeh aurto mai bahutayat roop mai paye jate hai.

Yeh tino jivan ke alag alag charno ke liye hai. Jaise mahilao ke prajnan varsho ke douran Estradiol Estrogen kaam karta hai. Rajoonivrtti(Menopause) ke douran Estrone estrogen, wahi garbhavastha ke douran Estriol Estrogen kaam karta hai.

Estrogens mahilao ke yon aur prajnan vikas ke liye behad mahatvapurn harmone hote hai. Isliye inhe female sex hormone ke roop mai bhi jana jata hai. Yeh masik dharm ke chakra ko niyantrit karta hai. Isliye jo mahilaye garbhavati nahi hai unke liye Estradiol Estrogen bahut mahatvapurn bhumika nibhata hai. Lekin Estrogen ka star kam jyada hone se iske side effects bhi hai, Yaha jane Estrogen Side Effects in Women.

Estrogen Side Effects: Helth Par Padne Wale Iske Prabhav

Estrogen Side Effects in Women

  1. Sar mai dard (Headches)
  2. Twacha ka kala padhna (Skin Darkening)
  3. Masik dharm ke douran dard (Painful Periods)
  4. Ulti aana (Vomiting)
  5. Yoni Strav (Vaginal Discharge)
  6. Matli (Nausea)
  7. Stano Ka Dhila Hona (Breast Tenderness)
  8. Pet mai Aethan (Abdominal Cramps)
  9. Halke Dast (Mild Diarrhea)

Iske alawa iske aur bhi dush parinam hai jo mahilao ki jivan sheli ko prabhavit karte hai.

You May Also Like:- Women Health Tips in Hindi: Mahilao ke Liye Swasth Laabh

High Estrogen Symptoms

Iss awastha ko Estrogen Dominance ke naam se bhi jana jata hai. Perimenopause hone wali mahilao mai yeh samasya dekhne ko milti hai. Isme hips aur sharir ke anya ango par charbi jama hone lagti hai. Jise ghatana bahut muskil hota hai. Iske alwa iske hone ke anya lakshan iss prakar hai.

  • Masik dharm mai aniyamitta
  • Muhase
  • Baalo ka adhik jhadna
  • Motapa
  • Sharir ka shape bigadna
  • HDL ka star kam hona
  • Uccha raktchaap

Agar aapko bhi uccha Estrogen ke lakshan apne andar dikahi de rahe hai. To turant hi apne chikitsak se paramarsh le aur unki salah ka palan kare. Shayad aapko aapke harmones ka star pata karne ke liye kuch janche karwana padhegi. Agar aapki reports mai kisi samasya ke hone ka sanket aata ho to aapko chikitsak dwara diye gaye nirdharit upcharo ka palan karna padhega.

Low Estrogen Symptoms

Yeh samasya unn aurto mai dekhne ko milti hai jinhe menopause(Jab aurto mai masik dharm aana band ho jate hai) hai ya iski stithi aane wali hai. Iske alawa iske hone ke aur bhi kai karan hai. Iske lakshan kuch iss prkar hai.

  • Masik dharm ka der se aana
  • Bahut jyada pasina aana
  • Anidra
  • Youn iccha ki kami
  • Yadast kamjor hona
  • Mutrashay ka sankraman
  • Sir dard
  • Baccha hone mai samasya
  • Sardard, Depression aadi

Kuch upcharo dwara iski samasya se nijad payi ja sakti hai. Iska sahi tarah se illaj karne ke liye ek acche salahkar se salah le, aur use apni sari samasyae acchi tarah se bataye taki sahi tarah se iska illaj ho sake. Mukhya roop se Estrogen chikitsa, Estrogen ke star ko badhane ke liye ki jati hai.

Iss samasya ke chalte khud ka acchi tarah khayal rakhna jaruri hai. Iss samasya se bachav ke liye santulit aur nutrients se bharpur khadya padhartho ka sevan karna chahiye. Lekin kisi bhi chiz ki ati na kare. Kisi bhi chiz ki ati hamare liye samasya hi paida karti hai. Iske alawa upar di gayi jankari ko acche se samjhe, doctor ki salah le. Iske alawa jab bhi kam ya High Estrogen Symptoms ke lakshan dikhe to ghabraye nahi.

Loading...

You may also like...