Exercises to Reduce Man Boobs: Fit Dikhne ke Effective Ways
Jholdar sine ke kai karan ho sakte hai. Yeh dawaiyo ke side effect ke karan ho sakta hai ya phir jyada khane se ho sakta hai aur yeh anuvanshik samasya bhi ho sakti hai. Par iska matlab yeh nahi ki iska koi ilaj nahi hai. Sahi exercise se jholdar sine ko kam kiya ja sakta hai. Aaiye jante hai kuch Exercises to Reduce Man Boobs.
Agar aapka breast size sahi nahi hai to ye aapke liye pareshani ka karan ban sakta hai. Isse aapko aapke kapde fit nahi aate hai aur aap pareshani me rehte hai.
Iss article me hum aapko un exercise ke bare me batayenge jinko karne se aapko jholdar sine se mukti milegi aur aap attractive, swasth aur fit dikhenge.
Par ek baat ka dhyaan rakhe ki yeh exercise tabhi kargar hogi jab aap oily khana aur mithai nahi khayenge aur roz sahi tarike se in sabhi exercise ko follow karenge. Agar aap aisa karne se chuk gaye to aapko sirf 40% result hi milega baki ka 60% nahi mil payega. To Pura 100% result pane ke liye jarur kare Exercises to Lose Man Boobs.
Exercises to Reduce Man Boobs: Purush Breast ko Kam Kare
1) Run Karna
Agar aap stan latakne ki samasya se jujh rahe hai to dodna aapke liye kafi faydemand ho sakta hai kyuki yeh aapke sharir me atirikt fat ko kam karne me madad karta hai. Fats Breast se hi nhi par sharir ke dusre hisse jese pet se bhi kam hoti hai. Hum yeh kahana chahte hai ki dodne se aapke sharir ka har ek ang hilta hai. Yeh aapke sharir se 70-80 % fat kam karne me madad karta hai.
You may also like: Increase Breast Size: Boobs Size ka Vikas Hua Bahut Aasan
Agar aap chest ki fat kam karna chahte hai to aapko pratidin 2 km dodna chahiye aur apne prati imandaar rehna chahiye.
2) Rassi Kudna
Yeh Jhulte huye breast ko kam karne ki dusra madadgar exercise hai. Yeh exercise bhi fat kam karne ke liye 100% karagar sabit hoti hai. Agar aap yeh exercise imandaari se kare to 1 month me aapko iska asar dikhai dega. Aap yeh exercise dodne ke baad kar sakte hai ya phir bina dode bhi kar sakte hai. Par dhayn rahe ki yeh exercise din me 2 baar kare.
3) Push Ups
Exercises to Reduce Man Boobs ki baat kare to Push Up sabse faydemand exercise hai, jisse aap aapke sine ko well built aakaar de sakte hai. Yeh exercise thodi kathin hai par mushkil nahi. Push upskhaskar sine ke liye bana hai aur sine ke fat ko kam karne me karagar sabit hota hai. Agar shuruaat me aapko iss exercise me kathinai hoti hai to aap pair ke alawa apne ghutno ka istemaal kar sakte hai par uss samay tak hi jab tak aapke arms me takat nahi aa jati. Uske baad aap iss exercise ko sahi tarike se shuru kar de. Dodne aur Rassi kudne ke baad aap iss exercise ko kar sakte hai.
4) Chin Up
Chin up uche darje ki exercise hoti hai aur mote logo ko ise karne me thodi kathinai aa sakti hai. Par yeh exercise aapke sharir ko takat deti hai aur ise well built aur attractive banati hai. Chin up karte samay aap dusro ki madad le sakte hai. Koi dusra aapke ghutne ko pakad kar aapki madad kar sakta hai. Thode din tak aap kisi ki madad le sakte hai parantu baad me iss exercise ko app khud hi kare, isse aapko bahut fayda hoga.
5) Dumbbell Flyes
Exercises to Lose Man Boobs ki baat kare to ye exercise aapke sine ko accha aakaar deti hai. Yeh aapke sine ki choudai (Breadth) ko badhati hai. Isko karne ke liye aapko table aur dumbbell ya bhari vastu ki jarurat hai jo aap haatho se bina apna niyantran khoye utha sakte hai.
6) Bench Press
Yeh bhi ek aisi exercise hai jo sine ki charbi ko hatane ka accha tarika hai aur ise sahi aakar deta hai. Bench Press kai tarike se ho sakte hai jese jhuka hua, dhala hua ya sidha. Aap apne sine ko sahi aakar me lane ke liye inn me se tino ya ek exercises bhi kar sakti hai.
7) Jump
Iss exercise me kudte huye aapko ghutno se apne chest ko chuna hota hai. Shuruaat me yeh exercise mushkil lag sakti hai par agar aap roz kudte hai aur rassi kudte hai to jald hi aap yeh exercise karne lagenge. Yeh kathin jarur hai par utni hi asardar bhi hai.
Upar aapne jane Exercises to Reduce Man Boobs, jisko niyamit karne se aap apni body ko fit aur attractive bana sakte hai.
See more details of Breast Size from Diet and Fitness.