Eye Cancer Symptoms in Hindi: Aankho Ke Nasur Ke Lakshan
Aajkal aankho mai cancer hona bhi bahut logo mai dekhne ko mil raha hai. Eye Cancer ko Ocular Cancer ke naam se bhi jana jata hai. Aankho ka cancer aankho ke sabhi hisse ko prabhavit kar sakta hai. Yeh aankho ke bithar se shuru hota hai.
Aesa kai mamlo mai dekha gaya hai ki jin logo ko stan aur fefdo mai cancer rehta hai unhe aankho mai cancer hone ki sambhavana jyada rehti hai. Aankho ke cancer ki samasya keval vayasko mai hi nahi balki baccho mai bhi teji se fail rahi hai.
Jin logo ko aankho ka cancer ho jata hai, unhe dikhai dene mai pareshani hoti hai. Aankho ki roshni ghatne lagti hai. Aankho ke samne kale dhabbe bhi dikhai padte hai. Aankho mai pidadayak dard bana rehta hai. Isliye jab bhi aapko iss tarah ke laskhan dikhai de apne chikitsak se jarur sampark kare.
Ham aapko yeh bhi batana chahte hai ki kabhi kabhi aankho mai cancer hone par bhi shuruwati tour par iska pata bhi nahi chal pata. Isliye jab bhi koi choti bhi pareshani aankho mai kai dino se bani hui ho to turant hi netra chikitsak ko dikha dena chahiye. Aaiye jante hai Eye Cancer Symptoms in Hindi aur isse bachav ke tariko ke bare mai.
Aankho Ki Dekhbal Ke Liye Jane Eye Cancer Symptoms in Hindi
Jin logo ko aankho ka cancer ho jata hai unme niche diye gaye lakshan dikhai padte hai.
- Thik tarah se dikahi nahi dena.
- Ek aankh ka ubhar jana.
- Aankho ke aakar mai parivartan hona.
- Thodi ya puri tarah dristi chale jana.
- Aankho mai ya aankho ke aaspas dard bane rehna.
- Aankho ka pila pad jana aur usme ganth ka pad jana.
- Aankho ke samne dhaabe ya lakiro ka dikhai dena.
- Aankho mai jalan ya fir aankho ka lal hona.
- Palko ka aakar badna ya fir palko mai ganth ka hona.
Kai bar upar diye gaye symptoms aankho ki dusri problem ke wajah se bhi ho sakte hai. Aesa jaruri nahi hai ki aapko upar di gayi pareshani hai matalb aapko Eye Cancer hi ho. Lekin aankho ke cancer mai bhi iss tarah ki stithiya aati hai. Isliye yeh behad jaruri hai ki jaise hi iss tarah ke lakshan dikhai pade, apne doctor se sampark kar liya jaye. Jitne jaldi aapko cancer ka pata chal payega, aap utni jaldi uska treatment kar payenge aur illaj safal hone ke chances badh jayenge.
Aankho ke cancer ki samasya kisi bhi umra mai ho sakti ho. Yeh samasya stri aur purush dono mai dekhi jaa sakti hai. Anuvansikata bhi iske hone wale karano mai se ek hai. Iske alawa yeh samasya jyadatar unn logo mai dekhi gayi hai jo log galat jivan sheli jite hai jaise ki sahi tarah ka khana naa khana aur vyayam ki kami, eye cancer hone ki sambhavana ko badha deti hai.
You May Also Like:- Janiye Breast Cancer Symptoms se Judhe Tathaye
Eye Cancer Ke Prakar
Hamari aankho ke vibhinna bhago mai cancer hota hai. Aur yeh sare cancer alag alag hote hai. Yeh hamari aankho ke netragolak(eyeball), melanoma, lymphoma, conjunctiva, palak(eyelid) aur anya bhago ko prabhavit kar sakte hai.
Sabse aam prakar ka cancer Melanoma Cancer hai. Jo sidhe aankho se ya sharir ke anya bhago se shuru ho sakta hai. Yeh cancer melanocytes kosikao ke banne se hota hai. Yeh cancer jyadatar vayasko mai hota hai. Iski sabse jyada samasya 50 saal se jyada umra ke vyaktiyo me dekhi gayi hai. Melanoma aankho ke Uvea, Choroid, Cojunctiva ke kai bhago ko prabhavit karta hai. Iss cancer ke hote hi, aankho mai achanak jalan hone lagti hai, ya kale dhabbe dikahi padte hai. kai bar iske yeh dono lakshan nahi bhi dikhai dete jikse chalte iss cancer ki jankari nahi mil pati. Isliye umra jyada hone par regular eyecheckup karwate rehna chahiye. Jisse iss samasya ka pata chal sake.
Aankho ka Lymphoma bhi cancer ho sakta hai. Yeh uss vyakti ko ho sakta hai, jiski pratiraksha paranali kamjor ho. Iske alwa jin logo ko Hiv Aids hai ya fir kisi ne anga pratayaropan kiya ho unn logo ko bhi iske hone ka khatra rehta hai.
Eye Cancer Treatment – Aankho Ke Cancer Ka Illaj
Chahe melanoma cancer ho ya Lymphoma Cancer iske upchar ke liye radiotherapy, chemotherapy aur surgery ki jati hai. Aapko kis tarah ka treatment diya jayega wo iss baat par depend karta hai ki
- Aapko konsa cancer hua hai.
- Aankho mai hui ganth ka aakar kya hai.
- Aapki umra aur swasth kaisa hai.
Aaj aapne jana Eye Cancer Symptoms in Hindi, iske prakar aur upcharo ke bare mai. Cancer jaisi samasyao se bachne ke liye aankho ki niyamit jaanch karwate rehna chahiye. Aur khaskar yadi aapki umra 40 se jyada ho tab aankho mai koi samasya nahi bhi ho tab bhi jaanch jarur karwate rahe.
Iss tarah ke test karne se aapko aankho ke cancer hone ki sambhavana kam ho jayegi. Aur agar aapki umra kam bhi hai to cancer jaisi khatarnak bimariyo se bachne ke liye saal mai do bar doctor se checkup karwane mai koi burai nahi hai.