Fat Loss Tips in Hindi: Jane Charbi Ghatane Ke Aasan Tarike

Aajkal har koi slim body pana chahta hai. Iske liye kai prayas kiye jate hai jaise gym jana, vyayam karna aur khana kam karna aadi. Lekin kya aap jante hai ki sirf khana kam karne aur vyayam karne se vanaj kam nhi hota hai. Vajan kam karne ke liye bahut si chizo par dhyan dena hota hai. Kyoki khana kam karne se vajan ghatne ke bajay aur bhi badh jata hai. Darahsal jab bhi koi motapa kam karne ke liye khana kam karta hai to wo patla to ho jata hai lekin jab bad mai apni purani diet wapis li jati hai to achanak se motapa badhna shuru ho jata hai.

Aajkal ke galat aur teliya yukt khan-pan aur din bhar baithkar kam karne ki wajeh se sharir ka motapa aur badhne lagta hai. Aese mai vyaktiyo ko apne aaharo ko kam karne ki bajay yeh janna jaruri hai ki aese koun se tarike hai jinse vajan ko kam kiya ja sakta hai? Yeh janne ke liye aaiye aaj iss article mai jane Fat Loss Tips in Hindi.

Jab bhi vyakti bahar ke junk food aur khadya padartho ka sevan karte hai to inme mila hua fat sharir mai jamne lagta hai aur dhire-dhire charbi ko badhana shuru kar deta hai. Iss jame huye fat aur toxins ko sharir se bahar nikalne ke liye kai prakar ke tarike hote hai jaise niyamit aur uchit khan-pan, vyayam, yoga aadi. Inn sabhi tips ki madad se sharir ke fat ko aasani se kam kiya ja sakta hai. To aaiye padhe Fat Loss Tips.
 

Fat Loss Tips in Hindi: Inn Tariko Se Kam Kare Sharir Ka Fat

 
Fat Loss Tips in Hindi
 
Kuch gharelu tariko ke dwara bhi sharir mai jame atirikt fat ko kam kiya ja sakta hai  to aaiye sabse pehle jane home remedies for Fat Loss.
 

Pey Yukt Padart

Apne sharir ki charbi ko kam karne ke liye sabse jaruri hota hai pey yukt padarth ka sevan jaise pani, nimbu pani, green tea, loki ka juice aadi. To aaiye jane fat loss drinks:-

  1. Sharir ki charbi ko kam karne ke liye hame khub pani pine ki jarurat hoti hai. Pani sharir se fat ko kam karne, apshisht padartho ko galane aur toxins ko bahar nikalne mai madad karta hai.
  2. Rojana subah khali pet 1 glass nimbu pani aur 1 chammach shahad ko milakar pine se sharir mai jama hua fat kam hone lagta hai.
  3. Cranberry mai moujud vitamin C aur antioxidant gun sharir se fat ko jalane mai madad karte hai. Iske sevan ke liye canberry ke juice mai nimbu ka ras aur sirka milakar pina chahiye.
  4. Rojana chay ki jagah green tea pine se sharir ki charbi ko kam kiya ja sakta hai. Isme mojud flavonoids sharir mai mojud toxins aur fat ko jalane mai madad karta hai sath hi yeh pet ki jwalansheelta ko bhi kam karne mai sahayak hota hai.

 

Khadya Padarth Ke Sevan Se

Fat ko kam karne ke liye kahne ki matra ko kam karne ki bajay hame aese aahao ka sevan karna chahiye jo ki fat ko kam karne mai sahayak hote hai. To aaiye jane fat loss foods.

  1. Fiber vasa ko galane mai madad karta hai isliye  sharir se charbi ko kam karne ke liye fiber yukt bhojan ka sevan karna chahiye.
  2. Badam mai mojud polyunsaturated aur Monounsaturated fat sharir ko overeating se bachane mai madad karta hai. Iske sath hi isme mojud fiber lambe samay tak bhuk ko lagne nahi deta hai.
  3. Tamatar mai mojud 9-oxa-ODA namak yogik khun se lipid aur fat ko kam karne mai sahayak hota hai. Isliye tamatar ka sevan charbi ko kam karne mai madadgar hota hai.
  4. Kheere mai mojud 96% pani sharir se fat ko kam karne mai sahayak hota hai.

Iske alava, ubli hui sabjiya, ajvain aadi ka sevan sharir se charbi ko kam karne mai sahayak hota hai.
 

You May Also Like:- Weight Loss Fruits in Hindi: Phalo Se Ghataye Apna Vajan

 

Inn Phalo Ke Sevan Se

Phal hamari sehat ke liye bahut hi faydemand hote hai. Kuch aese phalo bhi hote hai jo ki charbi ko kam karne mai sahayak hote hai to aaiye jane a Fat loss fruits ke bare mai.

  1. Tarbuj ka sevan kare. Isme mojud 91% pani, Vitamin B1, B6 aur C aur jaruri minerals jaise potassium aur magnesium sharir ke charbi ko kam karne mai madad karte hai.
  2. Seb (aaple) mai ucch matra mai mojud fiber, footstool, flavonoids aur beta-carotene sharir se badhi hui charbi ko kam karne mai sahayak hote hai. Iske sath hi isme pectin namak tatv bhi hota hai jo ki vajan ko kam karne mai madad karta hai.
  3. Ananas mai brome lane namak enzyme hota hai jo ki pet ko slim or flat banana mai madad karta hai.

 

Niyamit vyayam Yoga kare Gym jaye
Kya khaye Fruit, Dry fruits Low calorie aahar
Kya avoid kare Alcohol Ucch vasa yukt aahar
Kya piye Khub pani piye Antioxidant se bharpur pey padarth
Kya kare Sabra rakhe Apne pure efforts lagaye

 

Masalo Ke Sevan Se

Masalo mai dalchini ka prayog sharir se atirikt charbi ko kam karne mai madad karta hai. Ise rojana subah 1 glass pani mai 1 chammach shahad ke sath pine se sharir se fat kam karne mai madad milti hai. Iske alava pudine ke patte, kali mirch bhi faydemand hoti hai.
 

Niyamit Dincharya

Sharir se charbi ko kam karne ke liye apni dincharya ko niymit rup se sahi banana jaruri hota hai. Sahi samay par khana, nashta, dinner aur sahi aahar bhi fat ko kam karne mai madad karte hai.
 

Niyamit Kasrat

Rojana kisi bhi prakar ki kasrat bhi swasth aur fit body ke liye accha hoti hai. Isse sharir ka rakt sanchran, sahi rehta hai aur vasa ko kam karne mai bhi madad milti hai. Isliye rojana 30 minute ki kasrat jarur kare.
 

Parhej Bhi Hai Jaruri

Parhej ki baat ka matlab yeh nahi ki ham apne khane pine mai parhej kar de lekin aapko jyada teliya yukt, fast food aur bahar ke khane se parhej karna chahiye.
 

Vyayam Kare

Vyayam hamare sharir se atirikt charbi ko kam karne ke sath-sath swasth ke liye bhi accha hota hai. Isliye rojana vyayam ko hame apni niyamit dincharya mai shamil karna chahiye. Charbi ko kam karne ke liye hame koun-koun se vyayam karna chahiye iske liye yaha padhe Exercise for Weight Loss.
 

Nind Puri Kare

Jo log apni nind ko acchi tarah se puri nahi karte hai to unka fat badne lagta hai. Kyonki nind puri na hone par vyakti ko bhukh lagti hai aur wo har thodi der mai  kuch na kuch khata hai. Isi karan vyakti ka vajan badne lagta hai.

  • Yadi aap chahte hai ki aapka sharir ka fat kam ho jaye to karib 8 ghante ki nind jarur le.
  • Nind puri hone par aap swasth bhi rahegi aur aapke sharir ki aniyantrit charbi bhi kam ho jayegi.

 

Hasne Se Hoga Aapka Vajan Kam

Yadi aap sharir ki atirikt charbi ko kam karna chahte hai to khulkar hase. Hasne se na keval aapka vajan kam hoga balki tanav bhi dur hota hai jo ki vajan badhne ki mukhya vajah hai.

  • Ek shodh ke anusaar 10 se 15 minute hasne se 10 se 14 calorie ki khapat badti hai.
  • Rojana kuch der jor se hasne par aap 1 saal mai 2 kg vajan kam kar sakte hai.

Khulkar hasna aapke diet plan ki tarah hota hai jo aapka vajan kam karta hai.
 

Yoga Bhi Hai Faydemand

Yoga na keval hamare swasth ko behtar banane mai madad karta hai balki vajan aur sharir ki badhi hui charbi ko bhi kam karne mai sahayak hota hai.

Charbi ko kam karne ke liye kai prakar ke yoga aasan hote hai jaise Bhujangasana, balasana, pashchimottasana aadi. Inn sabhi yoga ke dwara ham sharir mai jame atirikt charbi ko kam kar body ko slim bana sakte hai.
 
Upar aapne jana Fat Loss Tips in Hindi. Yadi aap bhi apne sharir se atirikt charbi ko kam karna chahte hai to diye gaye tips ko apnaye aur dikhe fit.
 

Loading...

You may also like...