Janiye First Aid Box ke Bare Mai Kuch Jaruri Jankari

Kisi aapat stithi ka samna karne ke liye humesha First Aid Box tayar rakhna chahiye. Par kya aap jante hai ki isme kon kon si dawai ka hona bahut jaruri hai. Aaiye hum aapko batate hai ki aapko first aid kit mai kon-kon si dawai rakhni chahiye.

Ghar ho ya office yaha tak ki car mai bhi hum first aid box rakhte hai. Achanak huyi durghatna ya phir sehat bigadne par yeh bahut kaam aata hai. First Aid, wah chikitskiya madad hai jo chhte-mote hadse ke baad doctari madad milne se phel pidit ko uplabdh karaya ja sakta hai. Iske liye ghar par hi kuch jaruri dawai se bhari first aid kit banaye.

First Aid Box se Judi Kuch Jankari

First Aid Box

  • Balm:

Sar dard, sardi jukham, haath-pair aur Kamar Dard ke liye balm bahut hi upyogi hai. Balm iss prakar ke dard se turant rahat dilane mai bahut karagar hai. Chahe to muscle cream bhi rakhe, jisse mashpeshiyo mai khichav hone par madad mil sake.

  • Bandage:

Ghav ko khula rakhne se infection hone ka khatra badh jata hai. Isliye ghav mai bandage jarur lagaye. Mamuli katne-chilne par bhi bandage lagakar infection se bacha ja sakta hai. Ghav ko saaf karke turant lagan eke liye savlon, dettol ki shishi aadi rakhe.

  • Antiseptic Cream:

Katne ya chhilne par sabse pehle ghav ko saaf pani se dhoye. Iske baad hi kisi antiseptic cream ya solution ka istemaal karna sahi hai. Antiseptic ghav par bacteria panapne ke khatre ko kam karta hai. Isliye medical aid box mai ise jarur rakhe.

  • Antacid:

Bahar ka khana, oily aur baasi khana aksar pet dard, marod, kabj, gas, badhajmi jesi kai taklifo ka karan hota hai. Isse rahat pane mai antacid ki goli bahut madad karegi. Yeh pet ki samasyao se tatkal chutkara dilati hai.

You may also like:- Natural Pain Killers: Prakritik Dard Nivarak Upay

  • Electrol:

Garmi aur barish ke mousam mai aksar sharir mai namak aur minerals ki kami ho jati hai. Aise mai electrol ka ghol pina sharir ke liye bahut jaruri hota hai. Yeh sharir ko dehydration ki stithi se bachata hai.

  • Pepto Bismol:

Pet kaharb hona, dast, ubkai, apach, badhajmi ke liye pepto bismol ka istemal kiya jata hai. Eno, pudin hara, dygiene bhi rakhe. Paracetamol, Avomine, Corex jesi samanya dawaiya bhi kaam aati hai.

  • Thermometer:

Ghar mai bacche aur bujurg ho to Thermometer behad jaruri chiz hai. Kisi acchi company ka digital thermometer ghar mai humesha rakhe. Disposable gloves, pocket mask, plastic ki chimti, antiseptic wipes aur haath dhone ka sabun bhi iss kit mai rakh sakte hai.

  • Anti-Allergic:

Twacha par hone wali khujali aur chhakto se rahat pane ke liye anti allergic dawai, anti-fungal cream, aloevera gel aur burn cream rakhna bhi jaruri hai. Inn dawai ke prayog ke bare mai bhi puri jankari le. Katne, chilne aadi mai upchar ke liye soframycin jese anti bacterial ya anti biotic ointment rakhe.

Upar aapne jane First Aid Box mai kon-kon si chizo ko rakhna chahaiye aur unki jarurat hume kab kab pad sakti hai.

Loading...

You may also like...