Home Remedies for Skin Allergy in Hindi: Jane Aasan Upchar

Jab bhi ham khubsurti ki baat karte hai to sabse pehle swasth sundar twacha ka khayal aata hai. Swasth twacha hame aakarshit dikhne mai madad karti hai. Lekin yadi hame isi twacha par allergy ho jaye to hamari twacha badsurat dikh sakti hai.

Aapko twacha ki allergy bahut se karano se ho sakti hai. Jaise suraj ki dhup ke sampark mai aane se, kuch tarah ke kapdo se, yaha tak ki kisi kisi ko kuch sabjiyo se bhi allergy rehti hai. Iske atirikt kisi dawa, sabun, cosmetic ya perfume jaisi cheezo se bhi allergy hona aam baat hoti hai.

Hamari twacha bahut jyada sensitive hoti hai. Isliye jo chize ise suit nahi karti hai. Unka asar twacha par bahut jaldi dikhai dene lagta hai. Vaise to allergy wakt ke sath theek ho jati hai, lekin kai bar yeh apne aap thik nahi hoti, ise illaj ki jarurat hoti hai. Isliye twacha ko iske nuksan se bachane ke liye iska illaj aavyashak hai.

Agar aap iske liye prakratik upay ko apnayege to aapke liye bahut faydemand hoga. Gharelu chizo se twacha ki dekhbhal karne se aapko kisi prakar ke side effects ka khatra bhi nahi rehta hai to aaiye jante hai Home Remedies for Skin Allergy in Hindi.
 

Home Remedies for Skin Allergy in Hindi: Prabhavi Gharelu Upay

 
Gharelu-Nushke-for-Skin-Allergy
 

 

Apne Sharir Ki Safai Rakhe

Yadi aap twacha ke sankraman ko khatam karna chahte hai ya fir ham kahe ki aap chahte hai ki aapko kisi tarah ka koi sankraman naa ho to sabse pehle apni twacha ki saaf safai theek se rakhna shuru kare. Iske liye niyamit snan kare. Aur garmi ke dino mai to do baar snan karna bhi faydemand hota hai.

Nahana bhi ek prakar ka gharelu upchar hai. Isse twacha ki allergy bilkul theek ho jati hai. Kintu haa allergy ke douran garam pani se nahane se bache, kyoki isse aur bhi jyada jalan, becheni aur khujli hoti hai. Thanda pani allergy se rahat dilata hai. Isiliye thande pani se hi nahaye.
 

You may also like:- Psoriasis Treatment in Hindi – Twacha Sambandhit Ek Rog

 

Aushdhiya Guno Se Bharpur Neem

Neem anti-bacterial guno se bharpur hota hai. Isliye yeh twacha sambandhit kai pareshaniyo ko dur karta hai. Allergy ko theek karne ke liye neem ki pattiyo ko saat se aanth ghanto ke liye pani me bhigo kar rakh de aur fir pees le.

Bane huye paste ko sankramit sthan par aadha ghanta lagakar rakhe, fir paani se dho le. Isse aapko bahut jaldi fayda milega, kyoki yeh prabhavi Skin Allergy Treatment hai.
 

Nariyal Tel

Kai bar twacha mai rukhapan hone ke wajah se bhi khujli hone lagti hai. Waise to yeh kisi tarah ki allergy nahi hai par isme bhi kai bar twacha mai hone wali khujli se rashes ho jaate hai. Aesa thandi ke dino mai adhik hota hai. Isse bachne ke liye twacha par garam nariyal paani lagaye aur raat bhar lage rahne de. Yeh allergy wali kharab twacha ko saaf karke nikal deta hai. Yeh ek anti-bacterialoil hai.

Iske atirikt kai baar sarvajanik bathroom istemal karne se ya fir ghar mai ek hi toliya istemal karne se bahut si mahilao ko vaginal itching hoti hai. Iss sankraman se raahat pane ke liye nariyal tel mai kapur milaakar lagaye. Yeh twacha mai thandak dekar sankraman ko dur karta hai.
 

Nimbu aur Shahad

Nimbu aur shahad dono hi sharir ke liye faydemand hai. Aur, iske faydo ke list itni lambi hai ki hame aapko iska introduction dene ki jarurat nahi padegi.

Twacha ki allergy se bachne ke liye aadhe nimbu ka ras aur ek chammach shahad ko ek glass gungune pani mai mila de. Ise aap rojana kai mahino tak piye. Isse aapka pratirodhak tantra majboot ho jayega aur shayad hi aapko allergy ho.
 

You may also like:- Natural Acne Treatment in Hindi: Muhanso Ka Prakratik Upchar

 

Seb ka Sirka

Seb ke sirke mai bacteria se ladne ki kshamta hoti hai. Isliye twacha par bacteria ke karan huye allergy ko dur karne mai yeh madad karta hai. Seb ka sirke ko pani mai milakar prabhavi hisse mai lagane se aaram milta hai.
 

Anya Tarike Inhe Bhi Janiye:-

  1. Jaitun ke tel mai polyphenols anti oxidant moujud hota hai, jo free radical se twacha ki koshikao ko bachata hai. Skin Allergy hone par ise se turant aaram milta hai. Khastour par iska istemal allergy se hone wali jalan aur Itch Relief ke liye faydemand hai.
  2. Papita mai enzymes hote hai, jo mrit koshikao (dead cells) ko nikalkar twacha ko saaf aur komal banante hai. Allergy hone par papite ke gude ko masalkar chehre par lagaiye. Isse twacha ki allergy dur hone mai madad milti hai.
  3. Twacha mai sankraman hone ki stithi mai rojana gajar ka ras peena chahiye. Yadi aap gajar ka ras nahi peena chahte hai to mix phalo ka ras bhee pee sakte hai. Mix juice banane ke liye aap kheera, chukundar, gajar aadi le sakte hai. Isse allergy ki samasya theek hoti hai.

 
Upar aapne jana Home Remedies for Skin Allergy in Hindi. Yadi aapko bhi twacha mai allergy hai to upar diye gaye upayo ko apnaye. Aur yadi aapki allergy ki stithi vikrit hai ya fir upar kiye upcharo se aapko labh nahi mil raha hai to bina der kiye chikitsak ko dikhaye.

Loading...

You may also like...