Glam Makeup Tips in Hindi: Party Look Ke Liye Ajmaye

Aaye din hame kisi na kisi party, samaroh, utsav mai jana padta hai. Function chahe koi bhi ho har mahila usme khubsoorat dikhna chahti hai. Lekin khubsoorat dikhne ke liye chehre ki twacha ka accha hona bhi jaruri hai.

Lekin vyastata bhari lifestyle hone ki wajah se ham khane pine par puri tarah se dhyaan nahi de pate hai. Aur iss wajah se hamare sharir ko jaruri protein nahi mil pate hai. Jiske chalte hamari twacha dheeli ho jati  hai. Aese mai jab party mai jana ho aap makeup ki madad se apna look change kar sakti hai.

Mahilaye har avsar ke liye ek naye rup mai dikhna chahti hai. Aur bheed mai alag dikhane ke liye alag prakar ki jewelry, paridhan ka chunav karti hai. Lekin kya aap jante hai sirf alag prakar ka paridhan ya jewelry se aap glamours look nahi pa sakti.

Iske liye aapko accha sa makeup karna bhi jaruri hai.
Glam Makeup isme aapki madad kar sakta hai. Party mai behtarin look pane ke liye yeh ek accha vikalp hai. Makeup ke jariye aap chehre ke daag dhabbe, jhurriya, dark circle aadi ko chupa sakti hai aur damakti hui twacha pa sakte hai. To aaiye jante hai Glam Makeup Tips in Hindi.
 

Ho Jaye Party Ready Glam Makeup Tips in Hindi Ki Madad Se

 
Glam Makeup Tips in Hindi
 
Makeup ko karne ke liye aapko sahi nirdesho ka janna aavyashak hai.  Yadi aap bina jankari ke chehre par makeup thop lenge to aapka look sanwarne ke baja ulta kharab ho jayeha. To aaiye jane makeup for indian skin ki step by step vistrit jankari:-
 

Chehra Saaf Karne Ke Liye Cleansing

Makeup Shuru karne se pehle chehre aur hath ko acche se dho le. Fir chehre par cleansing milk lagaye aur use cotton se saaf karle. Isse aapke chehre ki sari gandgi tatha dead skin nikal jayegi. Yadi aapki twcha sukhi hai to cream base wala cleanser le aur agar aapki twacha teliye hai, to moisturizer wala cleanser ka istemal kare.

Cleansing milk ko aap cotton mai le aur chehare aur gardan par laga ke saaf  karle. Dhyaan rakhe ki cleansing milk ka aap din me do bar se jayda upyog na kare.
 

Garam Pani Ki Bhap aur Scrubbing

Cleasing acche se karne ke bad aap chehre ko garam pani se dho le aur usse bhap le. Isse aapke chehre ke pores khul jayenge. Chehre ko andar se acche se saaf karne ka yeh badhiya tarika hai. Bhap(Steam) lene ke bad chehre ko toliye ki madad se halke hatho se pouche.

Steam lene ke bad aap scrub paste ko hath me leker dheere dheere chehre par lagaye. Yad rakhe ki chehre par ise jayda jor se na ragde. Scrub karne se aapke chehre ke sare black heads nikal jayenge aur aapka chehra smooth ho jayega. Yadi aapka chehre par black heads bahut jyada hote hai to aapka makeup bhi accha nahi lagta hai.
 

You May Also Like:- Vlcc Facial Tips in Hindi: Twacha Ki Khubsoorti Nikhare

 

Chehre Ke Anuroop Mild Facewash

Aab aap apne chehre ko facewash ki madad se dho le. Yeh aapki skin ke anuroop ho to accha hai. Aapko chehra dhone ke liye kabhi bhi sabun ka istemal nahi karna chahiye. Isse aapke chehre ki nami kho jati hai. Face wash ko sirf 1-2 minute tak hi clock se anticlock direction mai ghumaye. Fir chehre ko saaf pani se dho le.
 

Moisturizer Ka Istemal

Facewash ko dhone ke bad aap chehre par moisturizer ko lagaye. Moisturizer aapke chehre ko bahar udne vali dhool mitti se bachata hai. Sath hi ye aapki twacha ke pores ko khulne nahi deta hai. Aur chehre par nami banaye rakhta hai.
 

Primer – Twacha Ko Smooth Banaye

Ab aapka chehra makeup ke liye ekdum taiyar hai. Makeup ki shuruwat mai aap primer ka istemal kare. Primer aapke chehre ko even tone karta hai. Isko lagane ke bad aapki twacha silky aur smooth ho jati hai. Primer se aapke chehre par thakan nahi dikhti hai.
 

Concealer

Concealer ki madad se chehre ke daag dhabbe, dark circle aadi ko chupya jata hai. Isse aapka chehra bedaag dikhta hai. Isse chehre se lagate huye gradan tak acche se lagana chahiye, taki aapka chehra aur gardan ek jaisi lage.
 

Face Powder aur Blush

Ab apne makeup ko set rakhne ke liye powder ka istemal kare. Chick bone ko highlight karne ke liye pink blush lagaye.
 
Makeup Tips In Hindi for Parties
 

Eye Makeup – Aankho Ki Sundarta Badhaye

Ankhon ko bada tatha sundar dikhane ke liye eye makeup karte hai. Eye makeup ke antargat kai chije aati hai. Aaiye jane Eye Makeup Tips in Hindi.
 
Eyeliner: Eyeliner ko palko ke upar ki taraf lagaya jata hai. Aajkal iske kai color bajar mai uplabdh hai.  Jinko dress se mel jol karte huye lagaya jata hai. Bajar mai shining color ke liner bhi milte hai jisse aap party mai gorgeous look paa sakti hai.
 
Maskara: Maskara ko palko par lagaya jata hai. Masakara laga kar aapki palke ghani aur kali dikhai deti hai. Jisse aapki ankhen badi najar aati hai.
 
Kajal: Kajal ka istemal to kai ladkiya karti hai, ise aankho mai niche ki taraf lagaya jata hai. aajakl kajal me bhi blue, green, purple , brown color bajar mai asani se milte hai. Inhe aap aapki choice ke anusar laga sakti hai.
 
Eye shadow: Eye shadow ko aankhon ke upar ki taraf lagaya jata hai. Aap ise apne paridhan ke rang se milta julta laga sakte hai ya to fir shiney golden aur rose pink to hamesha se hi sadabahar hai. Isse aapki ankhen aur bhi jayda aakrshit lagegi. Yeh ek behtarin Makeup Tips in Hindi for Parties hai.
 
Eyebrow: Eyebrow pencil se aapki eyebrow ko aap jayda kali aur ghani dikhne me madad kar skate hai. Aur dhyan rakhe ki aapki eyebrow uchit tarike se bani ho, sath hi vo aakar mai ho.
 

You May Also Like:- Face Bleaching Benefits – Nikhare Chehre Ka Rang

 

Lip Makeup – Khubsoorat Hontho Ke Liye

Lip Liner:  Lip liner ko aap aapke hontho ke aakar ke anusaar bahari taraf se lagaye taki aapki lipstick faile nahi. Yeh lipstick ko base dene ka kaam karta hai. Yadi aapke hoth mote hai to aaapko hamesha patla liner lagana chaiye.
 
Lipstick: Lipstick aapke pure makeup ko final touch dene ka kaam karti hai. Lipstick ka shade hamesha vo lagaye jo aapke chehre aur dress ke sath suite kare. Red, orange color bahut kam logo par acche lagte hai. Jabki pink, violet, plump, wan color halke makeup ke sath fabte hai. Lipstick ko aap chahe to blusher ke rup mai bhi istemal kar sakti hai, kintu blusher ko kabhi bhi lipstick ke rup mai upyog na kare.

Aap lipstick ko kisi dusre shade ke sath mix karke bhi laga sakti hai. Lekin isse pehle dark liner ka base de, isse aapke hoth aur bhi jayada acche lagenge. Glossy look ke liye aap lipstick mai thoda sa vaseline ko milakr bhi laga sakti hai.
 
Lip gloss: –Aapke hontho ko glossy look dene ke liye aap lip gloss ka bhi istemal kar sakti hai. Kai bar aap collage ya fir kis chote chote function mai jane ke liye lipstick ka istemal karna utna sahi nahi lagta hai. Parntu aap ke lips to glossy dikhne chahiye . Tab aap lip gloss ka istemal kar sakti hai. Lip gloss se aapke honth aakarshit dikhai denge. Lip gloss se aapke honth naram and chamakdar lagte hai.
 

Aapke Baalo Ke Liye Hair Style

Makeup ke bad aapke baalo ka bhi accha style hona bahut jaruri hai. Aap aapke balo ki lamabi ke anusaar hair style bana sakti hai. Isse aapka look aur bhi jayda accha lagega.  Isliye kuch samay apne hair style ke liye bhi nikale. Dhyan rakhe aapki hair style aapke dress, makeup ke sath jana chahiye, jaise yadi aap traditional taiyar hui hai to juda ya chhoti kar sakti hai. Aur yadi aapne western dress pehna hai to aap khule baal ya koi aur style kar sakti hai.
 

Nakhuno Ke Liye Nail Paint

Jab aap puri tarah se taiyar ho jate hai, uske bad aap aapki style se match karta hua nail paint lagaye. Aajkal bajar mai kai tarah ke nail art bhi chal rahe hai. Jisse aap aapki dress ke anusar banva sakte hai. Aab aap puri tarah se tyaar hai party mai jane ke liye.
 
Upar aapne jana Glam Makeup Tips in Hindi. Iss glamour look se aap kisi bhi party mai ek alag hi chavvi bana sakti hai. Jaha sab aapko hi dekhte reh jayeng . Aur dhyan rakhe jab bhi aap party khtam karke ghar aaye sone se pehle make up remover ya cleanser se aapka pura make up clean karke chehre ko acche se dhole.

Loading...

You may also like...