Health Benefits of Camphor in Hindi: Janiye Kapur Ke Fayde

Bharat mai kapur ka prayog bahutayat kiya jata hai. Mukhya tour par Ise log ghar aur mandir ki aarati mai istemal karte hai. Yadi aap shastro ki mane to havankund mai bhi iska istemal vishesh mahatva rakhta hai.

Aapne bhi iska istemal puja path ke liye kiya hoga lekin kya aap jante hai ki yeh aapke swasth ke liye bhi bahut faydemand hai.

Jodo ke dard ya fir kisi tarah ki sharirik samasya hone par kapur ke tel se malish karne se aaram milta hai. Yeh gathiya ke rogiyo ke liye bhi faydemand hota hai. Aur yadi aapke hath pair hamesha dard karte rehte hai to ham aapko bata de ki yeh mashpeisyo ke dard se rahat dene mai bhi behtarin hai.

Ayurveda mai bhi kapur ke tel ka prayog kaafi hitkar mana jata hai. Yeh Jale kate nishaan ko thik karta hai. Yeh cough dosh nasak aur cholestrol leval ko sahi rakhne mai madadgar hai. Yeh aapko bajar mai badhi hi aasani se mil jata hai. Isliye aap iska prayog badi hi aasani se kar sakte hai. Purane jodo aur dard se chutkara dilane ke liye kapur upyogi aushadhi hai. Aaiye ham vistar se jante hai aur bhi kai Health Benefits of Camphor in Hindi.

Health Benefits of Camphor in Hindi: Swasth Ke Liye Faydemand
Benefits of Camphor

Kapur mukhyatah do prakar ke hote hai. Ek jo ki kapur ke ped se milta hai aur dusra kratim roop se chemical ki madad se taiyar kiya jata hai. Prakratik kapur ki baat ki jaye to aap ise desi kapur ke naam se jante hai. Isko yadi aap pehchaana chahte hai to bus ise pani mai dalde. Yadi yeh niche beth jata hai matlab ye prakratik kapur hai.

Yahi kapur hamare liye faydemand hota hai. Jise kapur ke vriksh ki patti, chhal aur lakdi ke aasvan vidhi dwara prapt kiya jata hai. Dawao ke sath sath iska istemal kai chizo mai kiya jata hai. Aaiye ham jante hai kuch Camphor Uses in Hindi.

Twacha Ki Samasyao mai Faydemand

Aapko iss bare mai thodi kam jankari ho sakti hai. Lekin kya aap jante hai ki kapur ka istemal kai beauty products mai kiya jata hai. Darahsal iska prayog khusbu aur thandak ke liye kiya jata hai. Iske atirikt bhi iske kamal ke fayde hai. Jante hai wo fayde kya hai?

Muhaso se Paye Chutkara

Jab bhi twacha sambandhi vishyao par baat karte hai. Hamara dhayan sabse pehle ek bedag, gori aur swasth twacha par jata hai. Lekin aaj ki bhagdour bhari jivan sheli mai koi apni twacha ka acche se khayal nahi rakhta hai. Jiske chalte acne, pimple aur phir unke daag aam si samasya ban gayi hai. Camphor ke chura karkar, use nariyal mai milakar chehre par lagane se muhase me kami aati hai tatha unke daag bhi dhire dhire kam hone lagte hai. Iske alawa kapur kai tarah ke twacha rog ko thik karne me bhi madad karta hai.

Twacha Ke Rashesh aur Lalima Dur Kare

Agar aapki twacha par har din laal rang ke rashes dikhai dete hai, to use thik karne ke liye kapur ko thode se paani me milakar paste bana le aur prabhavit sthan par lagae. Aisa kuch dino tak kare. Dhire-Dhire aapko positive result dikhne lagega. lekin yadi aapki twacha ki stithi bahut jyada gambhir hai to aese mai chikitsak ki salah lena hi sahi rahega.

You may also like:- Black Pepper Benefits: Kali Mirch ke Fayde Aapke Swasth ke Liye

Mahilao Ke Yoni Ki Twacha Par Khujli

Yadi aapko twacha par sankraman jaise ki twacha par swelling aur khujli ho to kapur use thik karta hai. Kuch mahilao ko yoni ke upari hisse par yeh samasya aksar hoti hai. Aesi samasyao mai kapur bahut faydemand hai. Aapko kapur ko nariyal ke tel mai milakar lagana hai aapki samasya thik ho jayegi.

Yadi aapki sharir ke kisi bhag par ghav ho gaya hai ya jal gaya ho to kapur iss jalan ko kam karne mai madad karta hai. Bus kapur ko sadhran pani mai ghol de, ghav ki jalan kam hogi aur thandak milegi.

Baalo Ko Bhi De Fayda

Kapur na keval twacha sambandhi samasyao mai faydemand hai balki Hair Care ke liye bhi kisi chamatkari aushdhi se kam nahi hai. Kapur ke tel ko kisi bhi tel ke saath mix kar ke sar par lagane se baal majboot bante hai. Yahi nahi yadi yeh mishran ko niyamit lagaya jaye to isse baal dubara bhi aane lagte hai.

Yeh baalo ko jad se majboot banata hai. Aap chahe to tel mai ande ka safed hissa aur dahi mila kar bhi sar mai laga sakte hai, phir 1-2 ghante ke baad baalo ko dho kar iska fayda dekh sakte hai. Kapur ke tel ka niyamit roop se sar par massge baalo ka girna rok deta hai.

Pet Ki Pareshani Se Rahat

Yadi kisi ko pet ki samasya aksar satati hai to uska illaj bhi kapur mai chupa hua hai. Pet dard hone par kapur, ajwain aur pudine ko sharbat mai milakar pine se dard minto mai dur ho jata hai.

Yaha tak ki aapko yadi dast ki samsaya hai to bhi kapur behad upyogi hai. Iss samaya mai kapur ka prayog karne ke liye kapur, ajwain aur pipermint ko pani mai dalkar dhup mai rakh de. Thode thode samay mai iss ghol ko hilate rahe. Fir iss mishran ki kuch bundo ko chini ke pani mai milakar dast ke rogiyo ko pilaye, jald hi aaram mil jayega.

Kapur Ke Fayde in HindiFati Aediya Ko Thik Kare

Kapur fati aediyo ki darar ko mulayam bana kar unhe bhar deta hai. Garam pani me thoda sa kapur daal le, usme pair bhigone ke baad scrub kare aur aisa hi kuch dino tak kare. Iske baad aidiyo par acchi cream laga le. Aapke pair aakarshit ho jayenge.

You may also like:- Fate Pairo ke Upchar ke Liye Gharelu Nuskhe

Sar Dard Ko Kahe Alvida

Yadi aapko tanav ya atyadhik parikshram ke chalte sar dard ho raha hai to aese mai aapke liye tel ki malish karna labhdayak siddha hoga. Isse aapko na keval sar dard se raahat milegi balki aapka tanav bhi dhire dhire kam ho jayega.

Sardi Jukham Thik Kare

Kya aap jante hai ham sardi jukham mai jin dawaiyo jaise ki vix ya baalm ka upyog karte hai. Unhe bhi kapur ka istemal kiya jata hai. Isliye yadi aapko sardi khasi jaise samasya ho rahi hai to bus thoda sa kapur sungh le.

Jodo mai Dard Se Rahat

Jodo mai dard ya fir kahe maspesiyo ke dard se raahat dilane mai bhi kapur kisi dwai se kam nahi hai. Yeh gathiya ke rogo ke liye faydemand hota hai. Dard se rahat pane ke liye Camphor Oil behtarin vikalp hai.

Kapur ka tel banana bahut aasan hai. Vaise to yeh bajaar mai Camphor Oil ke naam se bikta hi hai, lekin aap ghar par hi isse taiyar kar sakte hai. Iske liye nariyal tel mai kapur ke tukde dalkar ek air tight box me band kar de. Aur jab istemal karna chahte hai kar le.

Aaj aapne jana Health Benefits of Camphor in Hindi arthat Kapur ke dhero fayde jo aapko aapke jevan mai kai pareshaniyo mai madadgar ho sakte hai.

Loading...

You may also like...