Heart Diseases in Hindi: Janiye Hriday Ki Pramukh Bimariya
Aajkal ki kharab jivansheli ke chalte kai logo mai dil ki bimariyo ka khatra bad raha hai. Hriday ko swasth rakhne ke liye naa hi kisi ke pas vyayam ka samay hai aur na hi koi sehatmand aahar leta hai. Vyastata ke chalte log bhukh mitane ke liye fastfood ka sahara lete hai kyuki yeh jaldi bhi ban jate hai aur khane mai swadishat bhi hota hai.
Leki kya aap jante hai inn fastfood ke karan aapke sharir mai cholesterol ki matra bad jati hai aur bad cholesterol ikhtaa ho jata hai. Iss bad cholesterol se uccha raktchaap aadi samasya hoti hai jo aapke hriday ko nuksan pahuchati hai.
Isliye dil se judi kai bimariya hona din pratidin aam ho gaya hai. Shodkartao ki mane to hriday sambandhit 60 bimariya hai, jinke karan mrityu dar badti ja rahi hai. Inse ladne ke liye kai davai ki khoj bhi ki ja chuki lekin mritu dar badne ka mukhya karan iss bimari ki shuravati dour mai jankari na hona aur pareshani hone par turant doctor ke pas nahi pahuchna hota hai.
Sehatmand aur lamni aayu tak jine ke liye aaj hum aapko dil se judi bimariyo ke bare mai batane ja rahe hai to padhe Heart Diseases in Hindi taki inka anubhav hote hai aap apne dil ka khyal rakhe.
Heart Diseases in Hindi: Dil Ke Rogo Ko Pehchaniye
Dhamni Rog – Coronary Artery Disease
Coronary dhamni rog ko sankshep mai CAD bhi kaha jata hai. Yeh hriday ki ek gambhir bimari hai. Iss rog ke hone se heart attack ki samasya uttapan ho jati hai. Jab yeh rog hota hai hriday ki dhamniyo ke bhitar thakka jamne lagta hai aur dhamniya sikudne lag jati hai. Iske karan hriday tak khun ka pravah kam ho jata hai tatha yeh sine mai dard paida karta hai.
Yeh dard na sirf sine mai balki kandhe, gardan, pith tatha pet ke upari bhag mai bhi hota hai. Thakka ke tutune par dhamniyo ke andar khun ka jamav hone lagta hai aur rakt ka pravah band ho jata hai. Yadi kuch der mai khun ka pravah samanya nahi hua to vyakti ki mout bhi ho sakti hai.
You may also like:- Congenital Heart Disease in Hindi – Hriday Sambandhi Rog
Janmjat Rog – Birth Heart Problem
Jab baccha maa ke garbh mai ban raha hota hai tab bante samay uske hriday ang mai kuch kami hone ke karan yeh dosh hota hai. Yeh rog aisa bhi ho sakta hai ki uska iaalj kiya ja sake aur aisa bhi ho sakta hai ki illaj hona sambhav hi na ho, jisse rogi ko jindgi bhar dawaiyo ka sahara lena padta hai.
Iske hone ke kai karan ho sakte hai jaise anuvanshikta, garbhavati mahila ke khana pan ke tarike par dhyan na dena, kisi daeai ka dushparinaam se, maa mai hone wali madhumeh ki bimari, tatha maa ka jahrile padhartho jaise cigarette, tambaku aadi ka sevan karna.
Dil Ka Karya Karna Band Karna – Heart Failure
Jab kisi karan se dil ke kaam karne ki shamata mai kami aa jati hai aur hriday khun ko sahi tairke se pump karne ka kaam nahi karta to heart fail ki samasya utpanna ho jati hai. Kyoki khun ko suddha kar pure sharir mai rakt pahuchane ka kaam hriday ka hota hai, jab khun ki aapurti sahi se nahi ho pati hai to heart fail ho jata hai.
Heart fail hone par vyakti ko saans lene mai dikkat hoti hai aur dil ki kuch manspeshiya mar jati hai. Heart fail hone ka sabse mukhya karan sharab ka sevan karna hota hai iske alawa ucch rakt chaap, heart valve mai gadbadi hone se bhi dil kaam karna band kar deta hai.
Alind Vikampan – Atrial Fibrillation
Atrial fibrillation ko alind vikampan bhi kaha jata hai. Yeh bhi Type of Heart Disease hai. Dil ki dhamniyo mai teji se electronic aaveg hone par dil ki dhadkane aur tanuto mai samasya utpanna ho jati hai aur dil ki dhadkne samanya rup se nahi chalti hai. Jiske karan atrial fibrillation ki stithi ban jati hai tatha kuch logo mai iske hone ke koi lakshan nahi dikhai dete aur wo samjh hi nahi pate ki unhe alind vikampan jaisi bimari bhi hai.
Hriday Ki Peshiyo Ka Rog – Cardiomyopathy
Hriday mai khun ko pump karne wali manspeshiya tab kamjor ho jati hai jab raktvahikaye mai khun shuddha karne ki shamata kam ho jati hai, aur iska prabhav dil ki karya shamta par dheere dheere pratikul prabhav padta hai.
You may also like:- Heart Health Tips – Dil Ko Swasth Rakhne Ke Upay
Dil mai Sujan Hona – Heart Lumpiness
Vyayam karna wese to sharir ke liye bahut accha hota hai lekin kai bar jyada vyayam karne se aapke dil ko nuksaan bhi pahuchta hai aur aise mai aapki jaan bhi ja sakti hai yadi aapki dil ki manspeshiyo mai sujan aa jaye to aapko dil ka doura pad sakta hai. Jo vyakti jyada doud bhaag ya fir sharirik rup se jyada sakriya hote hai wo myocarditis ki bimari se pidit ho jate hai. Iss bimari se pidit vyaktiyo mai dil mai sujan aa jati aur hriday kaam karna dheema kar deta hai aur dheere dheere kamjor hone lagta hai.
Myocardium Infection
Myocardium infection ko rodhgalan bhi kaha jata hai. Yeh samasya tab paida hoti hai jab oxygen hriday ki manspeshiyo mai puti tarah pravahit nahi hoti hai. Isse hone wale nuksaan se parigalan ka karan banata hai. Rodhgalan hone ka karan corinal dhamniyo ke sukudane tatha unme aethan hona hota hai.
Upar aapne jana Heart Diseases in Hindi. Yadi aap chahte hai ki aapko uprokt bimariya naa ho to apni jivvan sheli sudhare aur wakt wakt par chikitsak se checkup karwate rahe.